"jab jazba ik baar jigar mein aataa hai phir sab apne aap hunar mein aataa hai sab ki zad mein ik meraa hi ghar hai kyaa roz nayaa ik patthar ghar mein aataa hai kal mere saae mein us ki shakl dikhi manzar aise pas-manzar mein aataa hai main tanhaa aataa huun mahfil mein yaaron baaqi har insaan lashkar mein aataa hai lahja us kaa har jaanib hai musallat yuun vo banda har baar khabar mein aataa hai dahshat us lamhe ki dil mein itni hai aksar hi vo lamha Dar mein aataa hai 'mit' sabhi kaa saath yahaan par detaa hai jo koi bhi biich safar mein aataa hai"
is miTTi ko aise khel khilaayaa ham ne — Amit Sharma Meet
"is miTTi ko aise khel khilaayaa ham ne khud ko roz bigaaDaa roz banaayaa ham ne jo sochaa thaa vo to ham se banaa nahin phir jo ban paayaa us se ji bahlaayaa ham ne gham ko phir se tanhaai ke saath mein mil kar hanste hanste baaton mein uljhaayaa ham ne naa-mumkin thaa is ko haasil karnaa phir bhi puuri shiddat se ye ishq nibhaayaa ham ne us ki yaadein bojh na ban jaaein saanson par so yaadon se apnaa dil dhaDkaayaa ham ne kah dete to shaayad achchhe ho jaate par khaamoshi se apnaa maraz baDhaayaa ham ne us kaa chehra dekh liyaa thaa ek dafa phir in aankhon se saalon qarz chukaayaa ham ne"
اس مٹی کو ایسے کھیل کھلایا ہم نے خود کو روز بگاڑا روز بنایا ہم نے جو سوچا تھا وہ تو ہم سے بنا نہیں پھر جو بن پایا اس سے جی بہلایا ہم نے غم کو پھر سے تنہائی کے ساتھ میں مل کر ہنستے ہنستے باتوں میں الجھایا ہم نے نا ممکن تھا اس کو حاصل کرنا پھر بھی پوری شدت سے یہ عشق نبھایا ہم نے اس کی یادیں بوجھ نہ بن جائیں سانسوں پر سو یادوں سے اپنا دل دھڑکایا ہم نے کہہ دیتے تو شاید اچھے ہو جاتے پر خاموشی سے اپنا مرض بڑھایا ہم نے اس کا چہرہ دیکھ لیا تھا ایک دفعہ پھر ان آنکھوں سے سالوں قرض چکایا ہم نے
इस मिट्टी को ऐसे खेल खिलाया हम ने ख़ुद को रोज़ बिगाड़ा रोज़ बनाया हम ने जो सोचा था वो तो हम से बना नहीं फिर जो बन पाया उस से जी बहलाया हम ने ग़म को फिर से तन्हाई के साथ में मिल कर हँसते हँसते बातों में उलझाया हम ने ना-मुम्किन था इस को हासिल करना फिर भी पूरी शिद्दत से ये इश्क़ निभाया हम ने उस की यादें बोझ न बन जाएँ साँसों पर सो यादों से अपना दिल धड़काया हम ने कह देते तो शायद अच्छे हो जाते पर ख़ामोशी से अपना मरज़ बढ़ाया हम ने उस का चेहरा देख लिया था एक दफ़ा फिर इन आँखों से सालों क़र्ज़ चुकाया हम ने

More by Amit Sharma Meet
View all →"na khuli aankhon se dahshat kaa nazaaraa dekhnaa jo hamaaraa hai use auron kaa hotaa dekhnaa ru-ba-ru us ko nazar bhar dekh bhi sakte nahin haae kitnaa dukh bharaa hai khud ko aisaa dekhnaa kyaa ajab saa rog binaai ko meri lag gayaa har kisi chehre mein bas us kaa hi chehra dekhnaa ishq mein pathraa chuki aankhon se hai mushkil bahut chaand ko Thahre hue paani mein chaltaa dekhnaa haae kyaa manzar-kashi ubhri hai is tasvir mein roti aankhon se kisi pyaase kaa dariyaa dekhnaa raat bhar bechainiyaan sone nahin detin mujhe aur din bhar raat ke hone kaa rasta dekhnaa maut ham se do qadam ke faasle par hai khaDi ab bahut dilchasp hogaa ye tamaashaa dekhnaa"
"yuun apne dil ko bahlaane lage hain lipaT kar khud ke hi shaane lage hain hamein to maut bhi aasaan nahin thi so ab zinda nazar aane lage hain udaasi is qadar haavi thi ham par ki khush hone pe itraane lage hain jo dekhi ik shikaari ki udaasi parinde lauT kar aane lage hain saliqe se lipaT kar paaon se ab ye gham zanjir pahnaane lage hain ghamon ki dhuup baDhti jaa rahi hai khushi ke phuul murjhaane lage hain faqat ab chand qadmon pe hai manzil magar ham hain ki sustaane lage hain"
"duniyaa ko jab nazdiki se dekhaa hai tab samjhaa ye sab kuchh khel-tamaasha hai haathon ki do-chaar lakirein paDh kar vo mujh se bolaa aage sab kuchh achchhaa hai us se bas ik baar milaa par hairaan huun dil mein tab se ghar kar ke vo baiThaa hai kaaghaz par dil ki tasvir banaai jab us ne puchhaa ye kis shai kaa naqsha hai soch rahaa huun main is kaa saudaa kar duun us ki yaadon kaa jo dil mein malba hai donon pahlu mein hi haar chhipi is mein mere haathon mein ab ye jo sikka hai is khaatir main roz mashaqqat kartaa huun aasaani se kyaa haasil ho paataa hai jab qudrat ne thoDaa aaj navaazaa to saare mujh se puchhe hain tu kaisaa hai 'mit' yahaan apne to naam ke apne hain an-jaanon se rishta dil kaa gahraa hai"
"mujh mein hai kuchh dard bachaa so zinda huun chaaragar ne bol diyaa so zinda huun main bas marne hi vaalaa thaa phir us ne honTon par ik lams rakhaa so zinda huun mujh ko ek faqir ne sikke ke badle di hogi bharpur duaa so zinda huun sochaa thaa ab maut si niind main soungaa khvaab mein kuchh naayaab dikhaa so zinda huun jiinaa vo bhi hosh mein rah ke mushkil thaa kartaa huun ab roz nasha so zinda huun us ne bolaa yaad mujhe tum mat karnaa main ne bhi phir maan liyaa so zinda huun khvaab mein us se roz milaa kartaa thaa 'mit' lekin sach mein nahin milaa so zinda huun"
"jism ko jiine ki aazaadi deti hain saansein har pal hi qurbaani deti hain raatein saari karvaT mein hi biit rahin yaadein bhi kitni bechaini deti hain jo raahein khud mein hi be-manzil si hon aisi raahein naakaami hi deti hain kaise bhi par mujh ko kuchh sapne to dein aankhein kyaa keval binaai deti hain 'mit' mujhe aksar raaton mein lagtaa hai ruhein mujh ko aavaazein si deti hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"