SHAWORDS

'ishq kaa pukhta nahin thaa koi dar divaar par — Mohammed Asif Ashaj

"'ishq kaa pukhta nahin thaa koi dar divaar par 'mir' kaa saaya abhi tak hai magar divaar par ab sadaa-e-kun tiri jaanib se laazim hai khudaa ghar samajh baiThaa hai bachcha likh ke ghar divaar par titliyaan har samt se aa baiThti hain is jagah do ghaDi us ne Tikaai thi kamar divaar par dil-farebon kaa na hogaa khuun se bhi dil aashnaa aur phir kab tak diye jaaeinge sar divaar par zindagi bhaTkaa rahi hai maut ke dar se mujhe ik nishaan-e-samt be-jaa khinch kar divaar par"
Urdu

عشق کا پختہ نہیں تھا کوئی در دیوار پر میرؔ کا سایہ ابھی تک ہے مگر دیوار پر اب صدائے کن تری جانب سے لازم ہے خدا گھر سمجھ بیٹھا ہے بچہ لکھ کے گھر دیوار پر تتلیاں ہر سمت سے آ بیٹھتی ہیں اس جگہ دو گھڑی اس نے ٹکائی تھی کمر دیوار پر دل فریبوں کا نہ ہوگا خوں سے بھی دل آشنا اور پھر کب تک دئے جائیں گے سر دیوار پر زندگی بھٹکا رہی ہے موت کے در سے مجھے اک نشان سمت بیجا کھینچ کر دیوار پر

Hindi

'इश्क़ का पुख़्ता नहीं था कोई दर दीवार पर 'मीर' का साया अभी तक है मगर दीवार पर अब सदा-ए-कुन तिरी जानिब से लाज़िम है ख़ुदा घर समझ बैठा है बच्चा लिख के घर दीवार पर तितलियाँ हर सम्त से आ बैठती हैं इस जगह दो घड़ी उस ने टिकाई थी कमर दीवार पर दिल-फ़रेबों का न होगा ख़ूँ से भी दिल आश्ना और फिर कब तक दिए जाएँगे सर दीवार पर ज़िंदगी भटका रही है मौत के दर से मुझे इक निशान-ए-सम्त बे-जा खींच कर दीवार पर

'ishq kā puḳhta nahīñ thā koī dar dīvār par
Mohammed Asif Ashaj
Mohammed Asif Ashaj
Mohammed Asif Ashaj
poet5 quotes

More by Mohammed Asif Ashaj

View all →
Quote
"ye fitnon ke sabab kitne mareinge khudaa-yaa kyaa kabhi fitne mareinge hamein ye 'ishq miThaa zahr hogaa tumhaare dil mein rah rah ke mareinge hamein parhez Thahri intizaari ham apne vaqt se pahle mareinge kisi din maut laTkegi vahaan par sitam-gar rassiyaan pankhe mareinge sikhaa jaaungaa naslon ko main apni udaasi mein saliqe se mareinge ham aison kaa yahi to masala hai ham aison ke sabhi rishte mareinge ye tuk-bandi samaa'at khaa rahi hai mire ash'aar phir bhuke mareinge"
Mohammed Asif AshajMohammed Asif Ashaj
Quote
"hazaar haif ke imkaan baandh letaa thaa tiri jo zulf-e-pareshaan baandh letaa thaa vo kyaa zahin thaa ijaad ghar kiyaa jis ne baDe se pinjre mein insaan baandh letaa thaa vo maskhara to thaa anjaam se magar vaaqif junun ke tasmon se muskaan baandh letaa thaa hadaf thaa vajh talaashein ki khud-kushi kyon ki zamaana laDki pe bohtaan baandh letaa thaa shadid pyaas mein jyuun hi kare vo honT qarin gilaas lams ke armaan baandh letaa thaa mire vujud pe hanstaa thaa ‘aks-e-aaina so haar maan ke main kaan baandh letaa thaa ghazab vazifa 'ashaj' hai ye aayatal-kursi zaraa saa bachcha bhi shaitaan baandh letaa thaa"
Mohammed Asif AshajMohammed Asif Ashaj

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari