SHAWORDS

'ishq ki jis ke paas daulat hai — Aqib Javed

HomeAqib JavedGhazal
"'ishq ki jis ke paas daulat hai aise insaan ki ab zarurat hai aab se machhliyon ko nisbat hai keval un ki yahi to qismat hai laakh baazaar nafraton ke hon ho mohabbat sabhi se hasrat hai duur hote gae khudaa se tabhi zindagi mein bahut hi ghaflat hai dard mein ham sabhi ke shaamil hon zindagi ki yahi to 'azmat hai saans apni de jaae kab dhoka zindagi ki ye hi haqiqat hai dard-e-gham se hai aashnaai bhi zindagi kitni khub-surat hai"
Urdu

عشق کی جس کے پاس دولت ہے ایسے انساں کی اب ضرورت ہے آب سے مچھلیوں کو نسبت ہے کیول ان کی یہی تو قسمت ہے لاکھ بازار نفرتوں کے ہوں ہو محبت سبھی سے حسرت ہے دور ہوتے گئے خدا سے تبھی زندگی میں بہت ہی غفلت ہے درد میں ہم سبھی کے شامل ہوں زندگی کی یہی تو عظمت ہے سانس اپنی دے جائے کب دھوکہ زندگی کی یہ ہی حقیقت ہے درد غم سے ہے آشنائی بھی زندگی کتنی خوبصورت ہے

Hindi

'इश्क़ की जिस के पास दौलत है ऐसे इंसाँ की अब ज़रूरत है आब से मछलियों को निस्बत है केवल उन की यही तो क़िस्मत है लाख बाज़ार नफ़रतों के हों हो मोहब्बत सभी से हसरत है दूर होते गए ख़ुदा से तभी ज़िंदगी में बहुत ही ग़फ़लत है दर्द में हम सभी के शामिल हों ज़िंदगी की यही तो 'अज़्मत है साँस अपनी दे जाए कब धोका ज़िंदगी की ये ही हक़ीक़त है दर्द-ए-ग़म से है आश्नाई भी ज़िंदगी कितनी ख़ूबसूरत है

'ishq kī jis ke paas daulat hai
Aqib Javed
Aqib Javed
Aqib Javed
poet14 quotes

More by Aqib Javed

View all →
Quote
"hazaaron dard-o-gham ke darmiyaan ham the jahaan mein ab kahaan hain kal kahaan ham the taghaaful kijiye par soch lo itnaa tumhaari zindagi ki daastaan ham the tumhaari bad-zabaani chubh rahi lekin tumhaare honTh par shirin-zabaan ham the ye takht-o-taaj duniyaa mein bhalaa kab tak mohabbat ziist hai socho kahaan ham the mohabbat khaa gai hai bhiiD nafrat ki vo baDhte bhaai-chaare kaa gumaan ham the kahin nafrat kahin ulfat kahin dhokaa kahin jalte hue ghar be-zabaan ham the kuchal Daalaa hai jis ko vaqt ne yaaro zamin hain aaj par kal aasmaan ham the"
Aqib JavedAqib Javed
Quote
"paDaa huaa thaa ye kab se sanam idhar pardaa uDaa gai hai havaa aaj ye kidhar pardaa hai ibtidaa ye mohabbat ki tum samajh lete bujhaa bujhaa saa hi rahne lage agar pardaa qaraar aataa kahaan hai binaa unhein dekhe sharif itnaa huun lagtaa hai mo'tabar pardaa utaar kar zaraa apnaa naqaab vo rakh dein idhar-udhar bhi uDe jaae phir Thahar pardaa nibhaa rahaa thaa abhi saath kal talak vo bhi havaa chali to huaa hai kidhar kidhar pardaa nigaah ham ne jahaan se chhupaa ke rakkhaa hai churaa churaa ke nazar dekhaa thaa magar pardaa chhupi hui hai kisi dardmand ki ghairat hai qimti saa lage ham ko maal zar pardaa gunaah koi kahe ham savaab kahte hain nazar se chumte 'aaqib' hazaar gar pardaa"
Aqib JavedAqib Javed

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi