"kuchh zindagi mein lutf kaa saamaan nahin rahaa dil aisaa bujh gayaa koi armaan nahin rahaa vo josh-e-be-khudi kaa hai aalam ki aaj-kal zindaan mein ham nahin hain ki zindaan nahin rahaa vo dil hi kyaa khalish hi na ho jis mein dard ki vo gul hi kyaa jo zinat-e-daamaan nahin rahaa har inqalaab vaqt ke saanche mein Dhal gayaa markaz pe apne ab koi insaan nahin rahaa har ek apnaa khuun piye jaa rahaa hai aaj insaan is zamaane mein insaan nahin rahaa hoti hai ab tarannum-e-dilkash pe vaah vaah bazm-e-sukhan mein koi sukhan-daan nahin rahaa laayaa hai us ko khinch ke shauq-e-adab yahaan 'faizi' kabhi bhi daad kaa khvaahaan nahin rahaa"
jaada-e-haq mein use saabit-qadam hone to do — Faizi Nizam Puri
"jaada-e-haq mein use saabit-qadam hone to do aadmi ko aadmi hi kam se kam hone to do imtiyaaz-e-in-o-aan baaqi kahaan rah jaaegaa ek markaz par zaraa dair-o-haram hone to do zindagi kyaa hai samajh mein khud-bakhud aa jaaegaa pahle apne dil ko misl-e-jaam-e-jam hone to do be-khudi-e-shauq mein bhi gosh-bar-aavaaz huun har nafas ko naghma-e-saaz-e-alam hone to do shauq se ai bijliyo aanaa sajaane ke liye tinke tinke shaakh par pahle baham hone to do ik na ik din DhunDhti aaegi khud manzil hamein pahle raah-e-shauq mein saabit-qadam hone to do khun-e-dil se ho rahi hai daastaan-e-gham raqam paDh hi leinge shauq ki nazron se ham hone to do zindagi ki raah mein tanhaa safar achchhaa nahin saath apne ik hujum-e-yaas-o-gham hone to do dil se naakaami kaa ye ehsaas bhi jaataa rahe bekas-o-majbur par itnaa sitam hone to do us jafaa-ju ko kareinge ham vafaa se aashnaa pahle puuraa us kaa armaan-e-sitam hone to do 'faizi'-e-shoala-bayaan ki bhi ghazal ho jaaegi haan murattab daastaan-e-dard-o-gham hone to do"
جادۂ حق میں اسے ثابت قدم ہونے تو دو آدمی کو آدمی ہی کم سے کم ہونے تو دو امتیاز این و آں باقی کہاں رہ جائے گا ایک مرکز پر ذرا دیر و حرم ہونے تو دو زندگی کیا ہے سمجھ میں خود بخود آ جائے گا پہلے اپنے دل کو مثل جام جم ہونے تو دو بے خودیٔ شوق میں بھی گوش بر آواز ہوں ہر نفس کو نغمۂ ساز الم ہونے تو دو شوق سے اے بجلیو آنا سجانے کے لئے تنکے تنکے شاخ پر پہلے بہم ہونے تو دو اک نہ اک دن ڈھونڈھتی آئے گی خود منزل ہمیں پہلے راہ شوق میں ثابت قدم ہونے تو دو خون دل سے ہو رہی ہے داستان غم رقم پڑھ ہی لیں گے شوق کی نظروں سے ہم ہونے تو دو زندگی کی راہ میں تنہا سفر اچھا نہیں ساتھ اپنے اک ہجوم یاس و غم ہونے تو دو دل سے ناکامی کا یہ احساس بھی جاتا رہے بیکس و مجبور پر اتنا ستم ہونے تو دو اس جفا جو کو کریں گے ہم وفا سے آشنا پہلے پورا اس کا ارمان ستم ہونے تو دو فیضیؔٔ شعلہ بیاں کی بھی غزل ہو جائے گی ہاں مرتب داستان درد و غم ہونے تو دو
जादा-ए-हक़ में उसे साबित-क़दम होने तो दो आदमी को आदमी ही कम से कम होने तो दो इम्तियाज़-ए-ईन-ओ-आँ बाक़ी कहाँ रह जाएगा एक मरकज़ पर ज़रा दैर-ओ-हरम होने तो दो ज़िंदगी क्या है समझ में ख़ुद-बख़ुद आ जाएगा पहले अपने दिल को मिस्ल-ए-जाम-ए-जम होने तो दो बे-ख़ुदी-ए-शौक़ में भी गोश-बर-आवाज़ हूँ हर नफ़स को नग़्मा-ए-साज़-ए-अलम होने तो दो शौक़ से ऐ बिजलियो आना सजाने के लिए तिनके तिनके शाख़ पर पहले बहम होने तो दो इक न इक दिन ढूँढती आएगी ख़ुद मंज़िल हमें पहले राह-ए-शौक़ में साबित-क़दम होने तो दो ख़ून-ए-दिल से हो रही है दास्तान-ए-ग़म रक़म पढ़ ही लेंगे शौक़ की नज़रों से हम होने तो दो ज़िंदगी की राह में तन्हा सफ़र अच्छा नहीं साथ अपने इक हुजूम-ए-यास-ओ-ग़म होने तो दो दिल से नाकामी का ये एहसास भी जाता रहे बेकस-ओ-मजबूर पर इतना सितम होने तो दो उस जफ़ा-जू को करेंगे हम वफ़ा से आश्ना पहले पूरा उस का अरमान-ए-सितम होने तो दो 'फ़ैज़ी'-ए-शो'ला-बयाँ की भी ग़ज़ल हो जाएगी हाँ मुरत्तब दास्तान-ए-दर्द-ओ-ग़म होने तो दो

More by Faizi Nizam Puri
View all →"gulon ke chehra-e-rangin pe vo nikhaar nahin bahaar aai magar aalam-e-bahaar nahin jo haath aataa hai daaman to chhoD detaa huun junun-navaaz abhi mausam-e-bahaar nahin kisi ki yaad kaa 'aalam na puchhiye mujh se kabhi qaraar hai dil ko kabhi qaraar nahin ye baankpan ye adaa ye shabaab kaa 'aalam tum aa gae to kisi kaa ab intizaar nahin bahaar par bhi khizaan hi kaa rang ghaalib hai havaa zamaane ki gulshan ko saazgaar nahin hamaare saamne vo hain kahin ye khvaab na ho ab apni aankhon pe bhi ham ko e’tibaar nahin khud aa gae hain simaT kar nigaah mein jalve visaal-e-dost hai ye ranj-e-intizaar nahin miraa mazaaq uDaataa hai aaina lekin miri haqiqat-e-gham us pe aashkaar nahin hamaari aabla-paai kaa faiz kyaa kahiye vo kaun saa hai bayaabaan jo laala-zaar nahin buton ko puuj rahaa hai tire tasavvur mein gunaah kar ke bhi 'faizi' gunaahgaar nahin"
"tasavvur mein koi aayaa sukun-e-qalb-o-jaan ho kar mohabbat muskuraati hai bahaar-e-jaavedaan ho kar chaman mein jab kabhi jaataa huun un ki yaad aati hai tamannaa chuTkiyaan leti hai pahlu mein javaan ho kar dil-e-vahshat-asar ko hosh jab aayaa to dekhaa hai havaa ke dosh par uDtaa hai daaman dhajjiyaan ho kar sanobar saa hai qad nargis si aankhein phuul saa chehra vo mere saamne phirte hain aksar gulsitaan ho kar sharaab-o-sher-o-naghma ke sivaa kyaa chaahiye 'faizi' balaa se zindagi jaae mataa-e-raaegaan ho kar"
"hamaaraa zikr bhi aane lagaa rangin bayaanon mein ki ham khun-e-jigar se rang bharte hain fasaanon mein koi maane na maane is ko lekin ye haqiqat hai ki urdu hai bahut pyaari zabaan saari zabaanon mein bahaaron ne chaman mein phir gulon kaa saaz chheDaa hai anaadil kis tarah khaamosh baiThein aashiyaanon mein gulon se pyaar khaaron se jinhein nafrat rahi aksar kuchh aisi hastiyaan bhi hain chaman ke paasbaanon mein jabin-e-shauq jis ke vaaste pahron machalti hai tumhaaraa aastaan vo aastaan hai aastaanon mein sadaa dil ke qarin rah kar nazar se duur rahtaa hai ik aisaa mehrbaan bhi hai hamaare mehrbaanon mein mazaaq-e-sher ne ham ko kahaan pahunchaa diyaa 'faizi' hamaari dhuum hai sher-o-sukhan ke qadr-daanon mein"
"afsaana-e-junun-e-mohabbat sunaae kaun aansu bahaae kaun kisi ko rulaae kaun maangein panaah jis ki nigaahon se bijliyaan us ki nazar se apni nazar ko milaae kaun hai chaak chaak pairahan-e-gul bahaar mein kaanTon se daaman apnaa chaman mein bachaae kaun tere sivaa hai kis mein ye eajaaz ai bahaar ghunche ko phuul phuul ko gulshan banaae kaun 'faizi' hai Dubnaa hi agar haasil-e-vafaa girdaab-e-gham se apnaa safina bachaae kaun"
"nazar itaab saraapaa mizaaj barham hai zahe-nasib ye ehsaan-e-husn kyaa kam hai nafas nafas mein kai inqalaab pinhaan hain nazar nazar mein tiri bijliyon kaa aalam hai ham apni koshish-e-paiham se baaz kyon aaein abhi to pesh-e-nazar ye nizaam-e-aalam hai umiid thi ki masarrat ke giit gaaeinge magar hanuz zabaan par fasaana-e-gham hai kabhi to yaas ki duniyaa badal hi jaaegi ye dekhnaa hai hamaaraa bhi azm mohkam hai urus-e-dahr ki zulfein sanvaarne vaalo kuchh apne haal-e-pareshaan kaa bhi tumhein gham hai nikal rahi hai har ik dil se aah ai 'faizi' tiri ghazal kaa har ik sher nashtar-e-gham hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"