Quote
"na jaane kyaa miri vahshat ne khvaab dekhaa hai tamaam shahr pe raaton kaa sakht pahraa hai khud aaj apni lakiron mein DhunDhtaa hai panaah vo ek haath jo taqdir ko badaltaa hai ma’ishaton ke jahannum mein jal rahe hain badan jahaan mein ruuh ki aasudgi kaa charchaa hai kisi ko sirf shagufe kisi ko sirf sharar na jaane ab ke bahaaron kaa faiz kaisaa hai nahin hai ham mein sulaimaan koi magar ham se zamaana qaaf ki pariyon ki baat kartaa hai kuchh ab ke aur bhi zakhmon ki aag tez hui 'uruj' un ke tabassum mein zahr kaisaa hai"
