SHAWORDS

jaane kis ki thi khataa yaad nahin — Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

"jaane kis ki thi khataa yaad nahin ham hue kaise judaa yaad nahin ek shoala saa uThaa thaa dil mein jaane kis ki thi sadaa yaad nahin ek naghma saa sunaa thaa main ne kaun thaa shoala-navaa yaad nahin roz dohraate the afsaana-e-dil kis tarah bhuul gayaa yaad nahin ik faqat yaad hai jaanaa un kaa aur kuchh is ke sivaa yaad nahin tu miri jaan-e-tamannaa thi kabhi ai miri jaan-e-vafaa yaad nahin ham bhi the teri tarah aavaara kyaa tujhe baad-e-sabaa yaad nahin ham bhi the teri navaaon mein sharik taair-e-naghma-saraa yaad nahin haal-e-dil kaise 'tabassum' ho bayaan jaane kyaa yaad hai kyaa yaad nahin"
Urdu

جانے کس کی تھی خطا یاد نہیں ہم ہوئے کیسے جدا یاد نہیں ایک شعلہ سا اٹھا تھا دل میں جانے کس کی تھی صدا یاد نہیں ایک نغمہ سا سنا تھا میں نے کون تھا شعلہ نوا یاد نہیں روز دہراتے تھے افسانۂ دل کس طرح بھول گیا یاد نہیں اک فقط یاد ہے جانا ان کا اور کچھ اس کے سوا یاد نہیں تو مری جان تمنا تھی کبھی اے مری جان وفا یاد نہیں ہم بھی تھے تیری طرح آوارہ کیا تجھے باد صبا یاد نہیں ہم بھی تھے تیری نواؤں میں شریک طائر نغمہ سرا یاد نہیں حال دل کیسے تبسمؔ ہو بیاں جانے کیا یاد ہے کیا یاد نہیں

Hindi

जाने किस की थी ख़ता याद नहीं हम हुए कैसे जुदा याद नहीं एक शोला सा उठा था दिल में जाने किस की थी सदा याद नहीं एक नग़्मा सा सुना था मैं ने कौन था शोला-नवा याद नहीं रोज़ दोहराते थे अफ़्साना-ए-दिल किस तरह भूल गया याद नहीं इक फ़क़त याद है जाना उन का और कुछ इस के सिवा याद नहीं तू मिरी जान-ए-तमन्ना थी कभी ऐ मिरी जान-ए-वफ़ा याद नहीं हम भी थे तेरी तरह आवारा क्या तुझे बाद-ए-सबा याद नहीं हम भी थे तेरी नवाओं में शरीक ताइर-ए-नग़मा-सरा याद नहीं हाल-ए-दिल कैसे 'तबस्सुम' हो बयाँ जाने क्या याद है क्या याद नहीं

jaane kis kī thī ḳhatā yaad nahīñ
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
poet23 quotes

More by Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

View all →
Quote
"sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aai duniyaa ki vahi raunaq dil ki vahi tanhaai ik lahza bahe aansu ik lahza hansi aai sikhe hain nae dil ne andaaz-e-shakebaai is mausam-e-gul hi se bahke nahin divaane saath abr-e-bahaaraan ke vo zulf bhi lahraai har dard-e-mohabbat se uljhaa hai gham-e-hasti kyaa kyaa hamein yaad aayaa jab yaad tiri aai charke vo diye dil ko mahrumi-e-qismat ne ab hijr bhi tanhaai aur vasl bhi tanhaai dekhe hain bahut ham ne hangaame mohabbat ke aaghaaz bhi rusvaai anjaam bhi rusvaai ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat mein divaane bhi shaidaai farzaane bhi shaidaai"
Sufi Ghulam Mustafa TabassumSufi Ghulam Mustafa Tabassum
Quote
"aise bhi the kuchh haalaat dil se chhupaai dil ki baat har ik ne ik baat kahi koi na samjhaa dil ki baat shaam-o-sahar kaa naam na thaa aise bhi dekhe din aur raat ishq ki baazi kyaa kahiye soch samajh kar khaai maat dil ke haathon ham majbur dil ki laaj paraae haat husn ke tevar kyaa kahne har lahza ik taaza baat ashkon kaa tufaan uThaa gham mein Duub gai barsaat tum bhi zabt karo ham bhi ishq hai kis ke bas ki baat sahmi sahmi si vo nigaah badle badle se haalaat bhuul gayaa hai sab kuchh dil yaad aai hai kaun si baat ek tabassum ashk-aalud bhigi bhigi dard ki baat"
Sufi Ghulam Mustafa TabassumSufi Ghulam Mustafa Tabassum
Quote
"is aalam-e-viraan mein kyaa anjuman-aaraai do roz ki mahfil hai ik 'umr ki tanhaai phaili hain fazaaon mein is tarah tiri yaadein jis samt nazar uTThi aavaaz tiri aai ik naaz bhare dil mein ye 'ishq kaa hangaama ik gosha-e-khalvat mein ye dasht ki pahnaai auron ki mohabbat ke dohraae hain afsaane baat apni mohabbat ki honTon pe nahin aai afsun-e-tamannaa se bedaar hui aakhir kuchh husn mein be-taabi kuchh 'ishq mein zebaai vo mast nigaahein hain yaa vajd mein raqsaan hai tasnim ki lahron mein firdaus ki raa'naai in madh-bhari aankhon mein kyaa sehr 'tabassum' thaa nazron mein mohabbat ki duniyaa hi simaT aai"
Sufi Ghulam Mustafa TabassumSufi Ghulam Mustafa Tabassum

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui