SHAWORDS

jab bhi khulti hai vo yaadon ki gali shaam ke baa'd — Rasheed Sandeelvi

"jab bhi khulti hai vo yaadon ki gali shaam ke baa'd khatm hoti nahin ashkon ki jhaDi shaam ke baa'd din to meraa bhi guzar jaataa hai ahbaab ke saath sirf kaTti hi nahin tira-shabi shaam ke baa'd ghar ke viraane mein hotaa hai bahaaron kaa nuzul baat jab karti hai tasvir tiri shaam ke baa'd yaad aataa hai mujhe jab bhi bichhaDnaa teraa rok saktaa nahin aankhon mein nami shaam ke baa'd din nikaltaa hai to rahtaa huun kisi jangal mein mere aangan mein utarti hai pari shaam ke baa'd"
Urdu

جب بھی کھلتی ہے وہ یادوں کی گلی شام کے بعد ختم ہوتی نہیں اشکوں کی جھڑی شام کے بعد دن تو میرا بھی گزر جاتا ہے احباب کے ساتھ صرف کٹتی ہی نہیں تیرہ شبی شام کے بعد گھر کے ویرانے میں ہوتا ہے بہاروں کا نزول بات جب کرتی ہے تصویر تری شام کے بعد یاد آتا ہے مجھے جب بھی بچھڑنا تیرا روک سکتا نہیں آنکھوں میں نمی شام کے بعد دن نکلتا ہے تو رہتا ہوں کسی جنگل میں میرے آنگن میں اترتی ہے پری شام کے بعد

Hindi

जब भी खुलती है वो यादों की गली शाम के बा'द ख़त्म होती नहीं अश्कों की झड़ी शाम के बा'द दिन तो मेरा भी गुज़र जाता है अहबाब के साथ सिर्फ़ कटती ही नहीं तीरा-शबी शाम के बा'द घर के वीराने में होता है बहारों का नुज़ूल बात जब करती है तस्वीर तिरी शाम के बा'द याद आता है मुझे जब भी बिछड़ना तेरा रोक सकता नहीं आँखों में नमी शाम के बा'द दिन निकलता है तो रहता हूँ किसी जंगल में मेरे आँगन में उतरती है परी शाम के बा'द

jab bhī khultī hai vo yādoñ kī galī shaam ke baa'd
Rasheed Sandeelvi
Rasheed Sandeelvi
Rasheed Sandeelvi
poet11 quotes

More by Rasheed Sandeelvi

View all →

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari