Quote
"dil-e-khush-fahm ko naakaam nahin hone diyaa us ko bhi shahr mein badnaam nahin hone diyaa is liye hai ye andheraa saa gali kuchon mein aap ne raushni ko 'aam nahin hone diyaa jo milaa ham se sadaa ham ne tiri baatein kiin tujh ko itnaa kabhi gumnaam nahin hone diyaa apne malbon ke tale dafn the jo dafn rahe shahr vaalon ne koi kaam nahin hone diyaa bik gae ham sar-e-baazaar-e-anaa phir bhi 'rashid' 'ishq bad-zaat ko nilaam nahin hone diyaa"
