"dil-e-khush-fahm ko naakaam nahin hone diyaa us ko bhi shahr mein badnaam nahin hone diyaa is liye hai ye andheraa saa gali kuchon mein aap ne raushni ko 'aam nahin hone diyaa jo milaa ham se sadaa ham ne tiri baatein kiin tujh ko itnaa kabhi gumnaam nahin hone diyaa apne malbon ke tale dafn the jo dafn rahe shahr vaalon ne koi kaam nahin hone diyaa bik gae ham sar-e-baazaar-e-anaa phir bhi 'rashid' 'ishq bad-zaat ko nilaam nahin hone diyaa"
mere ash'aar kaa mafhum nahin khultaa hai — Rasheed Sandeelvi
"mere ash'aar kaa mafhum nahin khultaa hai jaise kam-bakht kaa maqsum nahin khultaa hai jis qadar chaahun main ikhlaas ki baatein kar luun itnaa jaldi koi maghmum nahin khultaa hai uD ke zindaan se rahtaa hai muqayyad phir bhi apne maahaul mein mahkum nahin khultaa hai dil mein hasrat hai ki main apne khudaa ko paaun mujh pe lekin kabhi maa'dum nahin khultaa hai main use uljhi 'ibaarat ki tarah paDhtaa huun mahv-e-hairat huun ki marqum nahin khultaa hai"
میرے اشعار کا مفہوم نہیں کھلتا ہے جیسے کم بخت کا مقسوم نہیں کھلتا ہے جس قدر چاہوں میں اخلاص کی باتیں کر لوں اتنا جلدی کوئی مغموم نہیں کھلتا ہے اڑ کے زندان سے رہتا ہے مقید پھر بھی اپنے ماحول میں محکوم نہیں کھلتا ہے دل میں حسرت ہے کہ میں اپنے خدا کو پاؤں مجھ پہ لیکن کبھی معدوم نہیں کھلتا ہے میں اسے الجھی عبارت کی طرح پڑھتا ہوں محو حیرت ہوں کہ مرقوم نہیں کھلتا ہے
मेरे अश'आर का मफ़्हूम नहीं खुलता है जैसे कमबख़्त का मक़्सूम नहीं खुलता है जिस क़दर चाहूँ मैं इख़्लास की बातें कर लूँ इतना जल्दी कोई मग़्मूम नहीं खुलता है उड़ के ज़िंदान से रहता है मुक़य्यद फिर भी अपने माहौल में महकूम नहीं खुलता है दिल में हसरत है कि मैं अपने ख़ुदा को पाऊँ मुझ पे लेकिन कभी मा'दूम नहीं खुलता है मैं उसे उलझी 'इबारत की तरह पढ़ता हूँ महव-ए-हैरत हूँ कि मर्क़ूम नहीं खुलता है

More by Rasheed Sandeelvi
View all →"tire jamaal kaa main ne fusun bhi dekhaa hai baDe hi zabt se apnaa junun bhi dekhaa hai gulaab hai miri nazron mein zindagi varna zamin pe bahtaa huaa main ne khuun bhi dekhaa hai jabin pe jis ke na dekhi thi koi bhi uljhan usi ke haal ko aksar zubun bhi dekhaa hai khudaa kaa shukr ki is ghar mein mo'jiza bhi huaa fasurda chehron pe main ne sukun bhi dekhaa hai kisi ke hijr mein mar mar ke zindagi karnaa so ek raasta jiine kaa yuun bhi dekhaa hai"
"ye kaisaa khvaab dikhaayaa gayaa tavaatur se mujhe havaa mein uDaayaa gayaa tavaatur se alam-nasib thaa kis se shikaayatein kartaa bujhaa bujhaa ke jalaayaa gayaa tavaatur se hamein nahin thi ijaazat ki aah bhi bhar lein fazaa mein shor machaayaa gayaa tavaatur se kisi maqaam pe main us ki lai nahin bhulaa ik aisaa naghma sunaayaa gayaa tavaatur se tire 'alaava koi samt hi nahin sujhi badal ke naqsha dikhaayaa gayaa tavaatur se"
"bahut udaas thaa suraj ghurub hotaa huaa qarib main bhi khaDaa thaa vahin pe rotaa huaa koi bhi pahunchaa nahin hai zamaan ke peinde tak main us maqaam pe pahunchaa sukun se sotaa huaa bikhar to saktaa nahin main kisi ke marne se main ji rahaa huun magar kirchiyaan chubhotaa huaa muhib raat ke aaseb-rang 'aalam mein fanaa ki jhiil se niklaa main daagh dhotaa huaa kisi darakht ke saae mein yaad karnaa mujhe main tere shahr se guzrungaa biij botaa huaa"
"jab shaam kaa suraj abhi gharqaab huaa ho tu meri mulaaqaat ko betaab khaDaa ho har ruup mein paayaa hai tujhe main ne anokhaa titli ho kali ho ki koi baad-e-sabaa ho jab niind mein jhaankun tiri guftaar sunun main jab aankh zaraa kholun tu hi jalva-numaa ho is vaaste kuchh khuun varidon mein bachaayaa shaayad tiraa naakhun kabhi muhtaaj-e-hinaa ho insaanon ki basti mein rahaa huun yuun akelaa viraane mein jis tarh koi phuul khilaa ho"
"kisi sabab na kisi justuju se sikhaa hai hunar ye main ne usi tund-khu se sikhaa hai hamein kab aate the aadaab baat karne ke mukaalima to tiri guftugu se sikhaa hai vazaahatein nahin hotin koi tahaarat ki vuzu bhi main ne kisi be-vuzu se sikhaa hai tamaam khubiyaan hain aaine ke hi dam se dikhaai denaa khat-e-ru-baru se sikhaa hai shikast de ke usi ko gale lagaa lenaa sabaq ye main ne kisi surkh-ru se sikhaa hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"