"vahi tevar vahi lahja abhi tak meraa qaatil nahin badla abhi tak nigaahon mein vahi jaadu hai qaaem hamein hai jaan kaa khatra abhi tak hamaare beach mein shikve gile hain ye rishta hai tabhi gahraa abhi tak tumhein uDnaa mubaarak ho falak par zamin se hai miraa rishta abhi tak vahi mushkil safar rasta andheraa hamaaraa kuchh nahin badla abhi tak"
jab ham us se mil kar aayaa karte the — Dr. Bhawana Srivastava
"jab ham us se mil kar aayaa karte the saaraa din saahir ko gaayaa karte the jab jab dukh ke baadal chhaayaa karte the ham peDon se milne jaayaa karte the ham mil kar sailaab banaate the pahle phir ham donon naav banaayaa karte the chhoTi baat pe khil uThte the bachchon saa pinjre se panchhi ko uDaayaa karte the divaaron darvaazon aur darichon ko sab ko us ki baat bataayaa karte the raatein kaT jaati thiin jise banaane mein din mein vo tasvir chhupaayaa karte the khaamoshi jab bhi zaae' ho jaati thi sahraa mein jaa kar chillaayaa karte the"
جب ہم اس سے مل کر آیا کرتے تھے سارا دن ساحر کو گایا کرتے تھے جب جب دکھ کے بادل چھایا کرتے تھے ہم پیڑوں سے ملنے جایا کرتے تھے ہم مل کر سیلاب بناتے تھے پہلے پھر ہم دونوں ناؤ بنایا کرتے تھے چھوٹی بات پہ کھل اٹھتے تھے بچوں سا پنجرے سے پنچھی کو اڑایا کرتے تھے دیواروں دروازوں اور دریچوں کو سب کو اس کی بات بتایا کرتے تھے راتیں کٹ جاتی تھیں جسے بنانے میں دن میں وہ تصویر چھپایا کرتے تھے خاموشی جب بھی ضائع ہو جاتی تھی صحرا میں جا کر چلایا کرتے تھے
जब हम उस से मिल कर आया करते थे सारा दिन साहिर को गाया करते थे जब जब दुख के बादल छाया करते थे हम पेड़ों से मिलने जाया करते थे हम मिल कर सैलाब बनाते थे पहले फिर हम दोनों नाव बनाया करते थे छोटी बात पे खिल उठते थे बच्चों सा पिंजरे से पंछी को उड़ाया करते थे दीवारों दरवाज़ों और दरीचों को सब को उस की बात बताया करते थे रातें कट जाती थीं जिसे बनाने में दिन में वो तस्वीर छुपाया करते थे ख़ामोशी जब भी ज़ाए' हो जाती थी सहरा में जा कर चिल्लाया करते थे

More by Dr. Bhawana Srivastava
View all →"milnaa hamaaraa kam huaa phir baat kam hui qiston mein mujh gharib ki khairaat kam hui yunhi na ham udaas hue ek roz mein aamad tumhaare khvaab ki har raat kam hui jis din se khud ko bhiiD kaa hissa banaa liyaa us din se meri khud se mulaaqaat kam hui ik aarzu ki bel lagaai thi is baras aur is baras hi jaane kyon barsaat kam hui har-vaqt chaand taare to rahte hain saath par raaton ke man ki tirgi kis raat kam hui"
"zaraa dekhiye to ghazab Dhaa rahe hain ghazal ke bahaane sunaa kyaa rahe hain kitaabon mein jo phuul murjhaa gae the baghaavat ke parcham nazar aa rahe hain kabhi zindagi kaa ujaalaa hamin the hamin aankh mein ab chubhe jaa rahe hain karein kaise chaaragaron pe bharosaa maraz kaun saa hai bataa kyaa rahe hain safina hamaaraa khudaa ke havaale hamein kyaa khabar bas chale jaa rahe hain"
"manzur kar le faisla parvardigaar kaa jab masala nahin hai tere ikhtiyaar kaa qismat ki hai ye baat ki bantaa hai kis se kyaa sab dekhte hain khvaab kisi shaahkaar kaa basti mein chikh chikh ke chup ho gayaa thaa sach kartaa yaqin kaun kisi be-dayaar kaa samjhaa liyaa hai khud ko kisi taur haan magar hotaa nahin hai kuchh bhi dil-e-be-qaraar kaa guzregi duur hi se ki Thahregi shahr mein dilchasp hogaa faisla ab ki bahaar kaa"
"zamaane ki tarah hamdam na honaa khataaon par meri barham na honaa masaail duriyaan hargiz nahin thiin masaail duriyon kaa come na honaa yahi to raat hone kaa sabab hai zamin kaa shams kaa baaham na honaa chale aao mohabbat kaa hai mausam dobaara ye hasin mausam na honaa 'ajab basti tumhaare dil ki basti kisi gham kaa jahaan maatam na honaa mire dil ki yahi taklif Thahri bichhaDte vaqt aankhein nam na honaa ishaara hai ye shaam-e-zindagi kaa mire dil mein tumhaaraa gham na honaa"
"ajab uljhan mein paDte jaa rahe hain kidhar ye saare raste jaa rahe hain baDhi hai haisiyat phir bhi magar kyon mere armaan ghaTte jaa rahe hain unhin kei pairvi kartaa hai ye dil jirah jo ham se karte jaa rahe hain idhar mahfil tumhein raas aa gai hai udhar ham khud se kaTte jaa rahe hain buraa lagtaa nahin mausam koi ho nai rangat mein Dhalte jaa rahe hain koi shikva nahin is baat se ab ki ham hisson mein baTte jaa rahe hain"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"