"varaq hai mere sahife kaa aasmaan kyaa hai rahaa ye chaand to shaayad tumhaaraa chehraa hai jo puchhtaa thaa miri umr us se kah denaa kisi ke pyaar ke mausam kaa ek jhonkaa hai simaT gayaa thaa andheron ko dekh kar lekin sahar ke saath mire raaste mein bikhraa hai jise bachaataa rahaa thaa main aabru ki tarah vo lamha aaj miri muTThiyon se phislaa hai fazaa ki shaakh pe lafzon ke phuul khilne do jise sukut samajhte ho zard patta hai abhi to mere garebaan mein hai tiri khushbu tire badan pe abhi meraa naam likkhaa hai har ek shakhs ko ummid bas usi se hai hamaare shahr mein vo ek hi to rusvaa hai"
jab kabhi tark-e-gham-e-dil kaa savaal aataa hai — Ali Abbas Ummeed
"jab kabhi tark-e-gham-e-dil kaa savaal aataa hai ret par naam thaa meraa bhi khayaal aataa hai mauj-e-tufaan uThi bah chale khvaabon ke sadaf phir baraste hue baadal pe zavaal aataa hai ab mire khvaab ke hamraah vahi yaadein hain jin ko maalum na thaa shishe mein baal aataa hai jab simaT aayaa hai khud jism hi peshaani par kyon dar-e-dil pe dabe paanv malaal aataa hai kyaa tiraa zehn bhi lamhon ke safar mein hogaa teri baaraat mein rah rah ke khayaal aataa hai koi aisaa bhi hai jo naqsh-ba-divaar na ho ab ye taamir ki raahon mein savaal aataa hai ghanTiyaan vaqt ki bajti hain musalsal 'ummid' faasle kahte hain ik aur bhi saal aataa hai"
جب کبھی ترک غم دل کا سوال آتا ہے ریت پر نام تھا میرا بھی خیال آتا ہے موج طوفان اٹھی بہہ چلے خوابوں کے صدف پھر برستے ہوئے بادل پہ زوال آتا ہے اب مرے خواب کے ہم راہ وہی یادیں ہیں جن کو معلوم نہ تھا شیشے میں بال آتا ہے جب سمٹ آیا ہے خود جسم ہی پیشانی پر کیوں در دل پہ دبے پاؤں ملال آتا ہے کیا ترا ذہن بھی لمحوں کے سفر میں ہوگا تیری بارات میں رہ رہ کے خیال آتا ہے کوئی ایسا بھی ہے جو نقش بہ دیوار نہ ہو اب یہ تعمیر کی راہوں میں سوال آتا ہے گھنٹیاں وقت کی بجتی ہیں مسلسل امیدؔ فاصلے کہتے ہیں اک اور بھی سال آتا ہے
जब कभी तर्क-ए-ग़म-ए-दिल का सवाल आता है रेत पर नाम था मेरा भी ख़याल आता है मौज-ए-तूफ़ान उठी बह चले ख़्वाबों के सदफ़ फिर बरसते हुए बादल पे ज़वाल आता है अब मिरे ख़्वाब के हमराह वही यादें हैं जिन को मा'लूम न था शीशे में बाल आता है जब सिमट आया है ख़ुद जिस्म ही पेशानी पर क्यों दर-ए-दिल पे दबे पाँव मलाल आता है क्या तिरा ज़ेहन भी लम्हों के सफ़र में होगा तेरी बारात में रह रह के ख़याल आता है कोई ऐसा भी है जो नक़्श-ब-दीवार न हो अब ये ता'मीर की राहों में सवाल आता है घंटियाँ वक़्त की बजती हैं मुसलसल 'उम्मीद' फ़ासले कहते हैं इक और भी साल आता है

More by Ali Abbas Ummeed
View all →"qazaa ke saath chale zindagi ke badle mein mili na chhaanv bhi ahal-e-amal ko raste mein javaab-e-shahr-e-khamoshaan har ek basti hai gulaab khilte nahin ab kisi dariche mein gham-e-hayaat ki paighambaraana ulfat ko na jaane kab se basaae hue hain siine mein pahunch chuke hain yaqin ki hudud mein phir bhi laraz rahe hain qadam saath saath chalne mein shuur-e-zist ki alhaD kiran nazar aai hayaat-e-nau ke simaTte hue dhundalke mein tumhaare qurb ki vo saaat-e-hasin ab bhi ravaan hai saath mire yaad ke safine mein har ek saans su-e-kahkashaan baDhi lekin qadam bhaTakte rahe umr bhar andhere mein nikal ke mahbas-e-shab-rang se junun vaale asiir hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein kare jo azm-e-safar us ko ye khabar kar do ki ik paDaav hain ham is tavil mele mein bahaa jo subh-e-bahaaraan ki justuju mein 'umid' usi lahu kaa hai partav har ik shagufe mein"
"fasl-e-gul mein bhi vahi daur-e-khizaan hai ab ke kaisaa gham vaqt ke chehre se 'ayaan hai ab ke mash'alein hain na dhuaan hai na sadaa-e-naaqus kyaa khabar qaafila-e-dard kahaan hai ab ke zindagi vaqt ke dar tak jise le aai thi dhundlaa dhundlaa isi insaan kaa nishaan hai ab ke chaaraagar rahm na kar is ki zarurat kyaa hai meraa har zakhm mire dil ki zabaan hai ab ke laala-zaaron se to gul-rang lipaT aati thi dil ke viraane mein har samt dhuaan hai ab ke mujh pe vo saaneha guzraa hai asiraan-e-qafas apne saae se bhi vahshat kaa gumaan hai ab ke sar-ba-zaanu thiin tamannaaein na jaane kab se chashm-e-'ummid' bhi khun-naaba-fashaan hai ab ke"
"raat tahriron ki ab yaksar khayaali ho gai lafz jab jaage 'ibaarat bhi niraali ho gai anginat chehre the shahr-e-dil mein lekin kyaa kahun vaqt kaa saaya paDaa basti ye khaali ho gai jin kaa ik ik lafz thaa muzhda nae mausam ke naam haif un safhaat ki surat bhi kaali ho gai dil ke mahbas se chale the qaafile yaadon ke par ik kiran palkon ki suuli par savaali ho gai ham-safar shaaistagi thi rahguzaar-e-zist mein phir bhi jis se baat ki har baat gaali ho gai haadson ki dhund se fankaar ne jis ko gaDhaa shukr hai us but ki peshaani ujaali ho gai kaise is mausam ko daur-e-gul kahun 'ummid' main rang se mahrum jab ik ek Daali ho gai"
"main to ik lamha-e-parida rahaa jaane kyuun vo bahut kashida rahaa ru-ba-ru zikr-e-naa-shunida rahaa uTh gayaa to miraa qasida rahaa main bhi banda hi thaa khudaa ki qasam ye alag hai ki barguzida rahaa aur to koi gham na thaa us ko bas miri chaah mein tapida rahaa shab ki peshaani kaa main jhumar thaa kyaa huaa gar havaa-guzida rahaa mere hisse mein us sahife kaa ik varaq thaa vahi darida rahaa koi ummid bar na aati thi zindagi bhar sitam-rasida rahaa"
"tavil soch hai aur mukhtasar lahu meraa garaan safar mein hai zaad-e-safar lahu meraa vo raunaqein bhi gaiin us ke khushk hote hi sajaataa rahtaa thaa divaar-o-dar lahu meraa har ek lamha mujhe zindagi ne qatl kiyaa tamaam umr rahaa mere sar lahu meraa dayaar-e-ghair ko mahkaa gayaa hinaa ban kar ye vaaqia hai rahaa be-hunar lahu meraa vo ruuh thi jise ahd-e-vafaa kaa paas na thaa kabhi na chhoD sakaa apnaa ghar lahu meraa ujaal deinge andheron ki ye jabin ik din bikhertaa hai kuchh aise sharar lahu meraa ravaan hai qaafila-e-fikr su-e-dasht-e-junun dikhaa rahaa hai use rahguzar lahu meraa ravaani likhti rahi jin kaa naam aaTh pahar vahin bahaayaa gayaa khaak par lahu meraa na jaane kaun si rut aa gai 'umid' ab ke chhupaa na paai miri chashm-e-tar lahu meraa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"