SHAWORDS

fasl-e-gul mein bhi vahi daur-e-khizaan hai ab ke — Ali Abbas Ummeed

"fasl-e-gul mein bhi vahi daur-e-khizaan hai ab ke kaisaa gham vaqt ke chehre se 'ayaan hai ab ke mash'alein hain na dhuaan hai na sadaa-e-naaqus kyaa khabar qaafila-e-dard kahaan hai ab ke zindagi vaqt ke dar tak jise le aai thi dhundlaa dhundlaa isi insaan kaa nishaan hai ab ke chaaraagar rahm na kar is ki zarurat kyaa hai meraa har zakhm mire dil ki zabaan hai ab ke laala-zaaron se to gul-rang lipaT aati thi dil ke viraane mein har samt dhuaan hai ab ke mujh pe vo saaneha guzraa hai asiraan-e-qafas apne saae se bhi vahshat kaa gumaan hai ab ke sar-ba-zaanu thiin tamannaaein na jaane kab se chashm-e-'ummid' bhi khun-naaba-fashaan hai ab ke"
Urdu

فصل گل میں بھی وہی دور خزاں ہے اب کے کیسا غم وقت کے چہرے سے عیاں ہے اب کے مشعلیں ہیں نہ دھواں ہے نہ صدائے ناقوس کیا خبر قافلۂ درد کہاں ہے اب کے زندگی وقت کے در تک جسے لے آئی تھی دھندلا دھندلا اسی انساں کا نشاں ہے اب کے چارہ گر رحم نہ کر اس کی ضرورت کیا ہے میرا ہر زخم مرے دل کی زباں ہے اب کے لالہ زاروں سے تو گل رنگ لپٹ آتی تھی دل کے ویرانے میں ہر سمت دھواں ہے اب کے مجھ پہ وہ سانحہ گزرا ہے اسیران قفس اپنے سائے سے بھی وحشت کا گماں ہے اب کے سر بہ زانو تھیں تمنائیں نہ جانے کب سے چشم امیدؔ بھی خوں نابہ فشاں ہے اب کے

Hindi

फ़स्ल-ए-गुल में भी वही दौर-ए-ख़िज़ाँ है अब के कैसा ग़म वक़्त के चेहरे से 'अयाँ है अब के मश'अलें हैं न धुआँ है न सदा-ए-नाक़ूस क्या ख़बर क़ाफ़िला-ए-दर्द कहाँ है अब के ज़िंदगी वक़्त के दर तक जिसे ले आई थी धुँदला धुँदला इसी इंसाँ का निशाँ है अब के चारागर रहम न कर इस की ज़रूरत क्या है मेरा हर ज़ख़्म मिरे दिल की ज़बाँ है अब के लाला-ज़ारों से तो गुल-रंग लिपट आती थी दिल के वीराने में हर सम्त धुआँ है अब के मुझ पे वो सानेहा गुज़रा है असीरान-ए-क़फ़स अपने साए से भी वहशत का गुमाँ है अब के सर-ब-ज़ानू थीं तमन्नाएँ न जाने कब से चश्म-ए-'उम्मीद' भी ख़ूँ-नाबा-फ़शाँ है अब के

fasl-e-gul meñ bhī vahī daur-e-ḳhizāñ hai ab ke
Ali Abbas Ummeed
Ali Abbas Ummeed
Ali Abbas Ummeed
poet9 quotes

More by Ali Abbas Ummeed

View all →
Quote
"varaq hai mere sahife kaa aasmaan kyaa hai rahaa ye chaand to shaayad tumhaaraa chehraa hai jo puchhtaa thaa miri umr us se kah denaa kisi ke pyaar ke mausam kaa ek jhonkaa hai simaT gayaa thaa andheron ko dekh kar lekin sahar ke saath mire raaste mein bikhraa hai jise bachaataa rahaa thaa main aabru ki tarah vo lamha aaj miri muTThiyon se phislaa hai fazaa ki shaakh pe lafzon ke phuul khilne do jise sukut samajhte ho zard patta hai abhi to mere garebaan mein hai tiri khushbu tire badan pe abhi meraa naam likkhaa hai har ek shakhs ko ummid bas usi se hai hamaare shahr mein vo ek hi to rusvaa hai"
Ali Abbas UmmeedAli Abbas Ummeed
Quote
"qazaa ke saath chale zindagi ke badle mein mili na chhaanv bhi ahal-e-amal ko raste mein javaab-e-shahr-e-khamoshaan har ek basti hai gulaab khilte nahin ab kisi dariche mein gham-e-hayaat ki paighambaraana ulfat ko na jaane kab se basaae hue hain siine mein pahunch chuke hain yaqin ki hudud mein phir bhi laraz rahe hain qadam saath saath chalne mein shuur-e-zist ki alhaD kiran nazar aai hayaat-e-nau ke simaTte hue dhundalke mein tumhaare qurb ki vo saaat-e-hasin ab bhi ravaan hai saath mire yaad ke safine mein har ek saans su-e-kahkashaan baDhi lekin qadam bhaTakte rahe umr bhar andhere mein nikal ke mahbas-e-shab-rang se junun vaale asiir hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein kare jo azm-e-safar us ko ye khabar kar do ki ik paDaav hain ham is tavil mele mein bahaa jo subh-e-bahaaraan ki justuju mein 'umid' usi lahu kaa hai partav har ik shagufe mein"
Ali Abbas UmmeedAli Abbas Ummeed
Quote
"raat tahriron ki ab yaksar khayaali ho gai lafz jab jaage 'ibaarat bhi niraali ho gai anginat chehre the shahr-e-dil mein lekin kyaa kahun vaqt kaa saaya paDaa basti ye khaali ho gai jin kaa ik ik lafz thaa muzhda nae mausam ke naam haif un safhaat ki surat bhi kaali ho gai dil ke mahbas se chale the qaafile yaadon ke par ik kiran palkon ki suuli par savaali ho gai ham-safar shaaistagi thi rahguzaar-e-zist mein phir bhi jis se baat ki har baat gaali ho gai haadson ki dhund se fankaar ne jis ko gaDhaa shukr hai us but ki peshaani ujaali ho gai kaise is mausam ko daur-e-gul kahun 'ummid' main rang se mahrum jab ik ek Daali ho gai"
Ali Abbas UmmeedAli Abbas Ummeed
Quote
"jab kabhi tark-e-gham-e-dil kaa savaal aataa hai ret par naam thaa meraa bhi khayaal aataa hai mauj-e-tufaan uThi bah chale khvaabon ke sadaf phir baraste hue baadal pe zavaal aataa hai ab mire khvaab ke hamraah vahi yaadein hain jin ko maalum na thaa shishe mein baal aataa hai jab simaT aayaa hai khud jism hi peshaani par kyon dar-e-dil pe dabe paanv malaal aataa hai kyaa tiraa zehn bhi lamhon ke safar mein hogaa teri baaraat mein rah rah ke khayaal aataa hai koi aisaa bhi hai jo naqsh-ba-divaar na ho ab ye taamir ki raahon mein savaal aataa hai ghanTiyaan vaqt ki bajti hain musalsal 'ummid' faasle kahte hain ik aur bhi saal aataa hai"
Ali Abbas UmmeedAli Abbas Ummeed
Quote
"tavil soch hai aur mukhtasar lahu meraa garaan safar mein hai zaad-e-safar lahu meraa vo raunaqein bhi gaiin us ke khushk hote hi sajaataa rahtaa thaa divaar-o-dar lahu meraa har ek lamha mujhe zindagi ne qatl kiyaa tamaam umr rahaa mere sar lahu meraa dayaar-e-ghair ko mahkaa gayaa hinaa ban kar ye vaaqia hai rahaa be-hunar lahu meraa vo ruuh thi jise ahd-e-vafaa kaa paas na thaa kabhi na chhoD sakaa apnaa ghar lahu meraa ujaal deinge andheron ki ye jabin ik din bikhertaa hai kuchh aise sharar lahu meraa ravaan hai qaafila-e-fikr su-e-dasht-e-junun dikhaa rahaa hai use rahguzar lahu meraa ravaani likhti rahi jin kaa naam aaTh pahar vahin bahaayaa gayaa khaak par lahu meraa na jaane kaun si rut aa gai 'umid' ab ke chhupaa na paai miri chashm-e-tar lahu meraa"
Ali Abbas UmmeedAli Abbas Ummeed

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui