SHAWORDS

jab sar-e-baam vo khurshid-jamaal aataa hai — Charkh Chinioti

"jab sar-e-baam vo khurshid-jamaal aataa hai zarre zarre pe qayaamat kaa jalaal aataa hai phuul muskaate hain lahraati hai Tahni Tahni fasl-e-gul aate hi har shai pe jamaal aataa hai vo janam-din pe bulaate hain hamesha mujh ko har nayaa saal ba-andaaz-e-visaal aataa hai kyuun tire honT mujhe dete hain manfi mein javaab mere honTon pe ye rah rah ke savaal aataa hai jab savaali koi aa jaataa hai dar par to mujhe us ki bakhshi hui neamat kaa khayaal aataa hai un ke khilte hue joban ko vo murjhaa na sakaa aane ko daur-e-khizaan saal-ba-saal aataa hai mujhe jachti hi nahin aur kisi ki surat jab khayaal aataa hai teraa hi khayaal aataa hai taare ginvaati hain phir hijr ki kaali raatein jab mujhe yaad koi zohra-jamaal aataa hai yuun rukh-e-zard chamak uThtaa hai aane pe tire jaise holi mein koi mal ke gulaal aataa hai apne haathon ke pale log jo ho jaaein khilaaf un ke akhlaaq pe ai 'charkh' malaal aataa hai"
Urdu

جب سر بام وہ خورشید جمال آتا ہے ذرے ذرے پہ قیامت کا جلال آتا ہے پھول مسکاتے ہیں لہراتی ہے ٹہنی ٹہنی فصل گل آتے ہی ہر شے پہ جمال آتا ہے وہ جنم دن پہ بلاتے ہیں ہمیشہ مجھ کو ہر نیا سال بانداز وصال آتا ہے کیوں ترے ہونٹ مجھے دیتے ہیں منفی میں جواب میرے ہونٹوں پہ یہ رہ رہ کے سوال آتا ہے جب سوالی کوئی آ جاتا ہے در پر تو مجھے اس کی بخشی ہوئی نعمت کا خیال آتا ہے ان کے کھلتے ہوئے جوبن کو وہ مرجھا نہ سکا آنے کو دور خزاں سال بہ سال آتا ہے مجھے جچتی ہی نہیں اور کسی کی صورت جب خیال آتا ہے تیرا ہی خیال آتا ہے تارے گنواتی ہیں پھر ہجر کی کالی راتیں جب مجھے یاد کوئی زہرہ جمال آتا ہے یوں رخ زرد چمک اٹھتا ہے آنے پہ ترے جیسے ہولی میں کوئی مل کے گلال آتا ہے اپنے ہاتھوں کے پلے لوگ جو ہو جائیں خلاف ان کے اخلاق پہ اے چرخؔ ملال آتا ہے

Hindi

जब सर-ए-बाम वो ख़ुर्शीद-जमाल आता है ज़र्रे ज़र्रे पे क़यामत का जलाल आता है फूल मुस्काते हैं लहराती है टहनी टहनी फ़स्ल-ए-गुल आते ही हर शय पे जमाल आता है वो जनम-दिन पे बुलाते हैं हमेशा मुझ को हर नया साल ब-अंदाज़-ए-विसाल आता है क्यूँ तिरे होंट मुझे देते हैं मंफ़ी में जवाब मेरे होंटों पे ये रह रह के सवाल आता है जब सवाली कोई आ जाता है दर पर तो मुझे उस की बख़्शी हुई ने'मत का ख़याल आता है उन के खिलते हुए जोबन को वो मुरझा न सका आने को दौर-ए-ख़िज़ाँ साल-ब-साल आता है मुझे जचती ही नहीं और किसी की सूरत जब ख़याल आता है तेरा ही ख़याल आता है तारे गिनवाती हैं फिर हिज्र की काली रातें जब मुझे याद कोई ज़ोहरा-जमाल आता है यूँ रुख़-ए-ज़र्द चमक उठता है आने पे तिरे जैसे होली में कोई मल के गुलाल आता है अपने हाथों के पले लोग जो हो जाएँ ख़िलाफ़ उन के अख़्लाक़ पे ऐ 'चर्ख़' मलाल आता है

jab sar-e-bām vo ḳhurshīd-jamāl aatā hai
Charkh Chinioti
Charkh Chinioti
Charkh Chinioti
poet20 quotes

More by Charkh Chinioti

View all →
Quote
"baat kahne ke liye baat banaai na gai ham se baaraat farebon ki sajaai na gai aaj bhi daar ke takhte se sadaa aati hai haq ki aavaaz sitamgar se dabaai na gai dost karte hain hasad is liye teri tasvir maa-sivaa dil ke kahin aur sajaai na gai gham ki tasvir banaane ko main jab bhi baiThaa un ki muskaan ubhar aai banaai na gai nai tahzib ke khaakon ko sanvaaraa ham ne ham se akhlaaq ki tasvir banaai na gai jaane kyaa sujhi miri qabr par aa kar un se gul chaDhaae na gae shama jalaai na gai main to baat aai gai kar ke chalaa aayaa thaa ho gai baat paraai vo dabaai na gai us ne hangaamon se bahlaai hai apni duniyaa vaqt se amn ki shahnaai bajaai na gai 'charkh' dekhe jo javaani ke ubharte jalve zindagi apni gunaahon se bachaai na gai"
Charkh ChiniotiCharkh Chinioti
Quote
"main ik ik aashnaa se aashnaa huun khulus un mein hai kitnaa jaantaa huun tiri baat aai thi lab par zaraa si zamaane bhar ki baatein sun rahaa huun ye koi jaani-pahchaani jagah hai achaanak chalte chalte ruk gayaa huun tamaashaa hai ye meri be-khudi kaa main apne aap mein gum ho gayaa huun miri aankhein hain goyaa un ki aankhein jidhar vo dekhte hon dekhtaa huun tire khvaabon ki duniyaa saamne hai main jhuTi niind shaayad so rahaa huun tire kuche mein mela lag rahaa hai main ik viraan raste par khaDaa huun ye mil kar phir kabhi milti nahin hain tiri nazron ko main pahchaantaa huun sitam ho yaa karam ai 'charkh' kuchh ho mohabbat kaa main sadqa ban gayaa huun"
Charkh ChiniotiCharkh Chinioti
Quote
"teri zulfon ne kiyaa kis pe karam raat gae kis ke haathon se nikaale gae kham raat gae shab-e-vaa'da ke masaaib kaa nahin main hi shikaar ghaTne lagtaa hai sitaaron kaa bhi dam raat gae os paD jaati hai khushiyon pe na aane se tire sar uThaate hain baham ranj-o-alam raat gae zabt kartaa huun magar zabt ki had hoti hai ham se rukti nahin yalghaar-e-alam raat gae ruk gae saans mundi aankhein uDe hosh-o-havaas khul gayaa dil ke dilaason kaa bharam raat gae lagi-lipTi se vo hote hain mubarraa jazbaat jin pe fankaar uThaataa hai qalam raat gae raasta dekhti hain shaam se nazrein ai 'charkh' vo nahin aate to ho jaati hain nam raat gae"
Charkh ChiniotiCharkh Chinioti
Quote
"jalva-e-hosh-rubaa koi dikhaayaa jaae 'aalam-e-shauq ko divaana banaayaa jaae tu ne duniyaa hi badal di mire armaanon ki gham-e-dauraan tujhe siine se lagaayaa jaae jaagte jaagte qismat ko sulaa baiThaa huun miri soi hui qismat ko jagaayaa jaae aao ai khvaab-gah-e-naaz ki nindo ki tumhein jaagti raaton kaa andaaz dikhaayaa jaae hashr ko hashr uThaane ki zarurat na rahe hashr se pahle koi hashr uThaayaa jaae saaz-e-dil TuuT gayaa vaqt gayaa naghmon kaa ab javaani kaa koi nauha sunaayaa jaae aap jalvon ko sameTe hue kyon baiThe hain aabshaaron ki tarah nuur luTaayaa jaae mauja-e-zulf-e-mo'ambar kaa taqaazaa hai yahi nikhat-o-nur kaa tufaan uThaayaa jaae 'charkh' vo mai-kada-bar-dosh ghaTaaein aaiin hurmat-e-tauba ko khaatir mein na laayaa jaae"
Charkh ChiniotiCharkh Chinioti
Quote
"fazaa mein kaif-fashaan phir sahaab hai saaqi phir apne rang pe daur-e-shabaab hai saaqi ye talkh yaadein kam-az-kam bhulaa to deti hai sharaab kuchh bhi ho aakhir sharaab hai saaqi jo apni hasti ki masti miTaa ke aataa hai tire huzur vahi baaryaab hai saaqi gham-e-firaaq gham-e-zindagi gham-e-duniyaa sharaab saare ghamon kaa javaab hai saaqi tiri nigaahon se maikhaane jaam bharte hain tiri nigaahon kaa koi javaab hai saaqi ba-qaul-e-'charkh' yahaan mastiyaan ubharti hain ye mai-kada to jahaan-e-shabaab hai saaqi"
Charkh ChiniotiCharkh Chinioti

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb