"kabhi charaagh kabhi raasta badal kar dekh bahut qarib hai manzil zaraa saa chal kar dekh tire hisaar se baahar nahin zamaan-o-makaan tu meri tarah kisi aaine mein Dhal kar dekh faqir ban ke vo aayaa hai teri chaukhaT par ye koi aur nahin hai zaraa sambhal kar dekh nigaar-khaana-e-gardun ko raakh karte hue zaraa si der kisi taaqche mein jal kar dekh zamin tang hui jaa rahi hai logon par hudud-e-qarya-e-jaan se kabhi nikal kar dekh ravaan-davaan hain kisi samt mein ki saakit hain phir ek baar sitaaron ki aankh mal kar dekh ajiib lutf hai tark-e-nashaat mein 'saajid' jo ho sake to miri baat par amal kar dekh"
jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gayaa — Ghulam Husain Sajid
"jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gayaa haasil-e-guftaar-e-sarmad khul gayaa TuuT kar aai hai us gul par bahaar jism lau dene lagaa qad khul gayaa subh laai hai rihaai ki naved aasmaan khulte hi gumbad khul gayaa kaar-zaar-e-ishq mein aane ke baad rang-e-miraas-e-ab-o-jad khul gayaa khud-bakhud aayaa hai lab par us kaa naam ruuh par unvaan-e-arshad khul gayaa reg-e-sahraa le uDi baad-e-shimaal dasht gum hote hi maabad khul gayaa aa gai 'saajid' zabaan par dil ki baat aaj aakhir un kaa maqsad khul gayaa"
جب طلسم قفل ابجد کھل گیا حاصل گفتار سرمد کھل گیا ٹوٹ کر آئی ہے اس گل پر بہار جسم لو دینے لگا قد کھل گیا صبح لائی ہے رہائی کی نوید آسماں کھلتے ہی گنبد کھل گیا کارزار عشق میں آنے کے بعد رنگ میراث اب و جد کھل گیا خود بخود آیا ہے لب پر اس کا نام روح پر عنوان ارشد کھل گیا ریگ صحرا لے اڑی باد شمال دشت گم ہوتے ہی معبد کھل گیا آ گئی ساجدؔ زباں پر دل کی بات آج آخر ان کا مقصد کھل گیا
जब तिलिस्म-ए-क़ुफ़्ल-ए-अबजद खुल गया हासिल-ए-गुफ़्तार-ए-सरमद खुल गया टूट कर आई है उस गुल पर बहार जिस्म लौ देने लगा क़द खुल गया सुब्ह लाई है रिहाई की नवेद आसमाँ खुलते ही गुम्बद खुल गया कार-ज़ार-ए-इश्क़ में आने के बा'द रंग-ए-मीरास-ए-अब-ओ-जद खुल गया ख़ुद-बख़ुद आया है लब पर उस का नाम रूह पर उन्वान-ए-अरशद खुल गया रेग-ए-सहरा ले उड़ी बाद-ए-शिमाल दश्त गुम होते ही मा'बद खुल गया आ गई 'साजिद' ज़बाँ पर दिल की बात आज आख़िर उन का मक़्सद खुल गया

More by Ghulam Husain Sajid
View all →"dayaar-e-khvaab ko niklungaa sar uThaa kar main ki shaad rahtaa huun ranj-e-safar uThaa kar main charaagh jal na sakegaa jo us ki aankhon mein dharungaa us ko kisi taaq par uThaa kar main sunaa hai takht muqaddar se haath aataa hai khajil huun raahat-e-tegh-o-sipar uThaa kar main chale jo sarv-o-saman mein bhi saath chal dungaa khaDaa rahungaa na baar-e-samar uThaa kar main tire bahisht mein dil lag nahin rahaa meraa ki saath laa nahin paayaa huun ghar uThaa kar main ulajh rahaa ho agar ghair ki nigaahon se lapeT letaa huun taar-e-nazar uThaa kar main alag nahin huun main apni tarah ke logon se paDaa huun zahmat-e-divaar-o-dar uThaa kar main nahin sunungaa nasihat kisi siyaane ki rahungaa tohmat-e-nau-e-bashar uThaa kar main yaqin kaise nahin aaegaa unhein mujh par vafaa mein fard huun khauf-o-khatar uThaa kar main kahin visaal ki surat agar dikhaai di nikal paDungaa na sham-e-sahar uThaa kar main kisi pari ke tasavvur mein chuum letaa huun kisi gulaab ko baar-e-digar uThaa kar main bahut hain chaahne vaale mire jahaan-bhar mein girafta dil nahin baar-e-hunar uThaa kar main makaan chhoD to duun us hasin ke kahne par gali mein laaungaa kyaa kyaa magar uThaa kar main mujhe vo taish dilaate rahe agar 'saajid' to gundh dungaa ye saaraa nagar uThaa kar main"
"miri subh-e-khvaab ke shahr par yahi ik javaaz hai jabr kaa ki mire vajud ke baagh mein abhi koi phuul hai sabr kaa kisi baadbaan ki oT mein kahin aasmaan ke saamne ye ziyaa hai mishal-e-khvaab ki ki koi charaagh hai abr kaa kisi subh khvaahish-e-marg se bhi numud paati hai zindagi kisi shaam apne vajud par bhi gumaan hotaa hai qabr kaa miri sham-e-nur ke us taraf miri khaak-e-sabz ke is taraf ye nai zamin hai jabr ki ye nayaa gulaab hai sabr kaa mire aaine se judaa huaa jo charaagh-e-hijr to ye khulaa chaman-e-sitaara-o-rang mein bhi kahin qayaam hai abr kaa"
"honTon par hai baat kaDi taazirein bhi khaamoshi kaa rang huiin taqrirein bhi khauf yahi hai aane vaali naslon ko ek ajuba hongi ye tahrirein bhi mausam ke sau ruup magar in aankhon mein khvaab vahi hain khvaabon ki taabirein bhi aainda ke saans hamaare apne hain TuuT chukin is vaade ki zanjirein bhi ek ajab hairat mein gum-sum rahti hain divaarein divaaron par tasvirein bhi paani ki khaamosh sadaaein kaun sune khatm huiin jab miTTi ki taasirein bhi"
"aaine mein aks khiltaa hai gul-e-hairat nahin log sach kahte hain aankhon si koi neamat nahin ab bahar-surat sar-e-maidaan utarnaa hai mujhe kaar-zaar-e-ishq se paspaai ki surat nahin us ke hone se hui hai apne hone ki khabar koi dushman se ziyaada laaeq-e-izzat nahin sair karnaa chaahtaa huun main jahaan-aabaad ki aur ruk kar dekh lene ki mujhe fursat nahin ishq par faaez huun auron ki tarah lekin mujhe vasl kaa lapkaa nahin hai hijr se vahshat nahin raat vo aansu bahaae hain ki mere qalb par subh kaa aaghosh vaa karnaa miri ujrat nahin jis qadar mahmez kartaa huun main 'saajid' vaqt ko us qadar be-sabr rahne ki use aadat nahin"
"ridaa-e-raahat-e-kaun-o-makaan oDh ke dekh zamin oDh ke dekh aasmaan oDh ke dekh tilism TuuT chukaa jab charaagh-e-zulmat kaa kabhi sabaahat-e-naam-o-nishaan oDh ke dekh paDaa rahegaa kahaan tak tu apne tarkash mein khadang-e-jasta agar hai kamaan oDh ke dekh qarib aa hi gayaa hai agar vo abr-e-karam safar mein aaj yahi saaebaan oDh ke dekh havaa-e-shahr haqiqat mein saans lete hue nigaar-khaana-e-vahm-o-gumaan oDh ke dekh phir ek baar kisi jang par nikalte hue fazaa-e-qarya-e-amn-o-amaan oDh ke dekh nayaa libaas pahanne kaa vaqt hai 'saajid' shikoh oDh ke dekh aan-baan oDh ke dekh"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"