SHAWORDS

jism jab maail-e-parvaaz-e-digar hotaa hai — Ghalib Ahmad

HomeGhalib AhmadGhazal
"jism jab maail-e-parvaaz-e-digar hotaa hai manzil-e-shauq ko phir meraa safar hotaa hai saahil-e-hosh pe hai dard ki divaar aziim aankh jhapkaao to divaar mein dar hotaa hai dil samajhtaa hai ki lo aa gai manzil apni qaafila yaad ki vaadi mein magar hotaa hai dil ne is vaadi-e-viraan ko kyon apnaayaa aisi sunsaan jagah bhi koi ghar hotaa hai kaun jaane ki yahaan vo kabhi milne aae kaun jaane ki yahaan us kaa guzar hotaa hai"
Urdu

جسم جب مائل پرواز دگر ہوتا ہے منزل شوق کو پھر میرا سفر ہوتا ہے ساحل ہوش پہ ہے درد کی دیوار عظیم آنکھ جھپکاؤ تو دیوار میں در ہوتا ہے دل سمجھتا ہے کہ لو آ گئی منزل اپنی قافلہ یاد کی وادی میں مگر ہوتا ہے دل نے اس وادیٔ ویران کو کیوں اپنایا ایسی سنسان جگہ بھی کوئی گھر ہوتا ہے کون جانے کہ یہاں وہ کبھی ملنے آئے کون جانے کہ یہاں اس کا گزر ہوتا ہے

Hindi

जिस्म जब माइल-ए-परवाज़-ए-दिगर होता है मंज़िल-ए-शौक़ को फिर मेरा सफ़र होता है साहिल-ए-होश पे है दर्द की दीवार अज़ीम आँख झपकाओ तो दीवार में दर होता है दिल समझता है कि लो आ गई मंज़िल अपनी क़ाफ़िला याद की वादी में मगर होता है दिल ने इस वादी-ए-वीरान को क्यों अपनाया ऐसी सुनसान जगह भी कोई घर होता है कौन जाने कि यहाँ वो कभी मिलने आए कौन जाने कि यहाँ उस का गुज़र होता है

jism jab mā.il-e-parvāz-e-digar hotā hai
G
Ghalib Ahmad
Ghalib Ahmad
poet14 quotes

More by Ghalib Ahmad

View all →
Quote
"manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de jaa rahaa hai ye musaafir to udhar jaane de teri aavaaz ki parvaaz mein hai meraa vajud apni guftaar ke pardon mein bikhar jaane de na koi chashm-e-tamannaa na koi dast-e-duaa zindagi tu mujhe be-laus guzar jaane de tere qaabil bhi nahin tere muqaabil bhi nahin ham-safar saath mujhe apne magar jaane de tu to hai husn-e-azal aur miraa rang-e-ghazal meri aavaaz mein bhi kuchh to asar jaane de mere ashaar mein sadiyon ke talaatum kaa shuur kaash tu un ko zaraa dil mein utar jaane de"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makaan bhi hai ishq hamein un se nahin jin kaa gumaan bhi jo jism ke zarron mein khudaa DhunD rahi hai yusuf ki zulekhaa mein hai vo ruh-e-tapaan bhi is mohr-e-khamoshi mein nihaan ruh-e-takallum is soe hue shahr ki hai apni zabaan bhi har lahr ke siine se lipaTtaa hai miraa dil manjdhaar ke is paar ho saahil kaa nishaan bhi kyon vaqt ki lahrein mujhe le jaaein kisi or daaim dil-e-dariyaa huun main maujon mein ravaan bhi ham ziist ki sarhad pe mile maut se lekin hai dasht-e-talab bhi vahi aur manzil-e-jaan bhi"
G
Ghalib Ahmad

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb