SHAWORDS

jo ahd-e-nau mein khamir-e-bashar banaayaa jaae — Khalid Mubashshir

"jo ahd-e-nau mein khamir-e-bashar banaayaa jaae sinaan ko haath to neze ko sar banaayaa jaae shab-e-hayaat ko aise sahar banaayaa jaae ik aaftaab sar-e-chashm-e-tar banaayaa jaae mire havaas ko ye kaun hukm detaa hai ki us ko markaz-e-qalb-o-nazar banaayaa jaae main apne paikar-e-khaaki se mutmain hi nahin mire khudaa mujhe baar-e-digar banaayaa jaae darun-e-zaat kisi kaa ye jabr hai mujh par usi ko jaan usi ko jigar banaayaa jaae sukun-o-raahat-e-jaan ab kahin nahin mumkin tumhaare dil ko hi ab mustaqar banaayaa jaae jo ham-nafas bhi ho hamraaz bhi ho hamdam bhi usi ko kyon na bhalaa ham-safar banaayaa jaae bahut hi tang hain ye laa-makaan ke galiyaare so dasht-e-zaat ko hi rahguzar banaayaa jaae agar banaanaa hi laazim hai kuchh to ai 'khaalid' khud apni khaak ko ab ke guhar banaayaa jaae"
Urdu

جو عہد نو میں خمیر بشر بنایا جائے سناں کو ہاتھ تو نیزے کو سر بنایا جائے شب حیات کو ایسے سحر بنایا جائے اک آفتاب سر چشم تر بنایا جائے مرے حواس کو یہ کون حکم دیتا ہے کہ اس کو مرکز قلب و نظر بنایا جائے میں اپنے پیکر خاکی سے مطمئن ہی نہیں مرے خدا مجھے بار دگر بنایا جائے درون ذات کسی کا یہ جبر ہے مجھ پر اسی کو جان اسی کو جگر بنایا جائے سکون و راحت جاں اب کہیں نہیں ممکن تمہارے دل کو ہی اب مستقر بنایا جائے جو ہم نفس بھی ہو ہم راز بھی ہو ہمدم بھی اسی کو کیوں نہ بھلا ہم سفر بنایا جائے بہت ہی تنگ ہیں یہ لا مکاں کے گلیارے سو دشت ذات کو ہی رہ گزر بنایا جائے اگر بنانا ہی لازم ہے کچھ تو اے خالدؔ خود اپنی خاک کو اب کے گہر بنایا جائے

Hindi

जो अहद-ए-नौ में ख़मीर-ए-बशर बनाया जाए सिनाँ को हाथ तो नेज़े को सर बनाया जाए शब-ए-हयात को ऐसे सहर बनाया जाए इक आफ़्ताब सर-ए-चश्म-ए-तर बनाया जाए मिरे हवास को ये कौन हुक्म देता है कि उस को मरकज़-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र बनाया जाए मैं अपने पैकर-ए-ख़ाकी से मुतमइन ही नहीं मिरे ख़ुदा मुझे बार-ए-दिगर बनाया जाए दरून-ए-ज़ात किसी का ये जब्र है मुझ पर उसी को जान उसी को जिगर बनाया जाए सुकून-ओ-राहत-ए-जाँ अब कहीं नहीं मुमकिन तुम्हारे दिल को ही अब मुस्तक़र बनाया जाए जो हम-नफ़स भी हो हमराज़ भी हो हमदम भी उसी को क्यों न भला हम-सफ़र बनाया जाए बहुत ही तंग हैं ये ला-मकाँ के गलियारे सो दश्त-ए-ज़ात को ही रहगुज़र बनाया जाए अगर बनाना ही लाज़िम है कुछ तो ऐ 'ख़ालिद' ख़ुद अपनी ख़ाक को अब के गुहर बनाया जाए

jo ahd-e-nau meñ ḳhamīr-e-bashar banāyā jaa.e
Khalid Mubashshir
Khalid Mubashshir
Khalid Mubashshir
poet21 quotes

More by Khalid Mubashshir

View all →
Quote
"chashm ko saunpi gai khidmat-e-khvaab dil pe taari hai ajab haalat-e-khvaab khvaab ab ke na haqiqat ho jaae ab ke aisi hai miri shiddat-e-khvaab main ne paDh li hain tiri bhi aankhein sirf mujh par na lagaa tohmat-e-khvaab tujh ko muzhda ho miri aankh ki ab mujh mein baaqi na rahi himmat-e-khvaab khvaab makhfi hi rahe sab se yahaan kaun kartaa hai bhalaa izzat-e-khvaab meri aankhon mein guhar hain kitne mujh ko haasil hai bahut daulat-e-khvaab tum ki jalvat se gurezaan ho bahut ab to aa jaao ki hai khalvat-e-khvaab us ke pahre hain miri aankhon par us ko maalum hai kyaa quvvat-e-khvaab kitnaa be-khvaab kiyaa hai tu ne chhoD pichhaa miraa ai aafat-e-khvaab bas kaleja hi chabaa jaati hai kitni khunkhaar hai ye vahshat-e-khvaab kaaenaat aur hayaat ai 'khaalid' khvaab mein jaise koi saaat-e-khvaab"
Khalid MubashshirKhalid Mubashshir
Quote
"in dinon shaam aise aati hai mauj-e-khun mein nahaa ke jaati hai ek sahraa mujhe bulaataa hai ek vahshat gale lagaati hai pahle ham dhuup mein jhulaste the ab to ye chhaanv bhi jalaati hai kitni maasum hai vafaa apni bevafaai hansi uDaati hai ghair ki baat us se kyon puchhi us ki sachchaai ab rulaati hai kitne ishve hain ik mohabbat ke kitne pahlu se aazmaati hai ek din e'tibaar TuuTaa thaa ab to har chiiz TuuT jaati hai khvaab aankhon mein jab bhi aataa hai ek taabir munh chiDaati hai tiir kaisaa thaa jaane ai 'khaalid' ruuh zakhmon se chhaTpaTaati hai"
Khalid MubashshirKhalid Mubashshir
Quote
"sab log shaam hote hi jab apne ghar gae sahraa ko ham bhi shahr se phir lauT kar gae achchhe dinon ki aas mein jaane kidhar gae jitne the mere khvaab suhaane bikhar gae muusaa jo ban chale the avaami khitaab mein saahir ki rassiyon se vahi log Dar gae gahraai naapne mein the kuchh log munhamik kuchh log paaniyon mein bilaa khauf utar gae ahl-e-junun ki jab na rahi chaak-daamani shaahaan-e-khush-libaas se rishte sanvar gae aisaa mujassama thaa vo khush-pairahan ki bas nange gharib bachche vahin par Thahar gae ai khaak-e-hind bol ki tu jaanti hai sab kuchh to bataa kahaan mire laal-o-gohar gae kahte hain un se pahle ye gulshan thaa khaar-zaar vo kaun log the jo yahaan se guzar gae jis ke liye khirad ko thi sardaar ki talaash ahl-e-junun vo kaam sar-e-daar kar gae khud apne ehtisaab ki fursat kahaan mili kuchh bhi huaa to ghairon pe ilzaam dhar gae lashkar ko jaan de ke milaa bhi to kyaa milaa fath-o-zafar ke taaj to shaahon ke sar gae main ne kahaa mutaalba koi nahin miraa kahne lage ki aap to bilkul sudhar gae"
Khalid MubashshirKhalid Mubashshir
Quote
"miraa vajud usi ki visaal-gaah mein thaa usi kaa vird mire dil ki khaanqaah mein thaa tumhaare qaul-o-qasam par fareb kyaa khaataa tumhaaraa tarz-e-amal bhi miri nigaah mein thaa huruf-e-makr tire lab pe the magar zaalim mujhe fareb bhi khaanaa vafaa ki raah mein thaa tamaam sang-dili yaa ki phir ghurur-o-hasham kuchh aur us ke sivaa bhi jahaan-panaah mein thaa Tapak ke dida-e-nam se sadaaein detaa hai jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah mein thaa mujhe to raas ai 'khaalid' yahi zamin aai ye aur baat miraa zikr mehr-o-maah mein thaa"
Khalid MubashshirKhalid Mubashshir
Quote
"dil thaa dulhaa, duniyaa dulhan pahli hi ratiyaa ho gai an-ban main murlidhar, main man-mohan tu hai raadhaa, tu hai padman main huun saadhu, tu hai aasan main huun saperaa, tu hai naagan man hai jhelam tan sundarvan tu kashmiran, tu bangaalan meraa teraa kaisaa bandhan main TuuTaa dil, tu hai dhaDkan tujh se chipkun tujh se lipTun main huun naag aur tu hai chandan chandaa jaisaa mukhDaa teraa nadiyaa nadiyaa teraa joban tujh ko dekhun, khud ko dekhun tu hai jaise koi darpan"
Khalid MubashshirKhalid Mubashshir

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil