SHAWORDS

jo chaand ko aaghosh mein lene pe aDaa thaa — Badr Shamsi

HomeBadr ShamsiGhazal
"jo chaand ko aaghosh mein lene pe aDaa thaa har chand vo bachcha thaa magar dil kaa baDaa thaa jab apni hi pahchaan se ran apnaa paDaa thaa ham aise jiyaalon pe bhi vo vaqt kaDaa thaa tufaan se laDne ki 'alaamat thaa jo socho yuun kahne ko miTTi kaa vo ik kachchaa ghaDaa thaa khul kar mujhe ik saans kaa lenaa bhi thaa mushkil haalaat kaa neza mire siine mein gaDaa thaa vo tiir chalaataa rahaa nazdik samajh kar lekin main nishaane se bahut duur khaDaa thaa dekhaa to hamein Tuut ke do TukDe hue the dushman ki safon mein bhi hamaaraa hi dhaDaa thaa har dhuup mein jalnaa hi rahaa us kaa muqaddar divaar kaa saaya pas-e-divaar paDaa thaa hangaama-e-jaan shor-e-anaa dil ki qayaamat main kitne mahaazon pe akelaa hi laDaa thaa har zakhm jo bakhshaa thaa mujhe us ki nazar ne ai 'badr' nagine ki tarah dil mein jaDaa thaa"
Urdu

جو چاند کو آغوش میں لینے پہ اڑا تھا ہر چند وہ بچہ تھا مگر دل کا بڑا تھا جب اپنی ہی پہچان سے رن اپنا پڑا تھا ہم ایسے جیالوں پہ بھی وہ وقت کڑا تھا طوفان سے لڑنے کی علامت تھا جو سوچو یوں کہنے کو مٹی کا وہ اک کچا گھڑا تھا کھل کر مجھے اک سانس کا لینا بھی تھا مشکل حالات کا نیزہ مرے سینے میں گڑا تھا وہ تیر چلاتا رہا نزدیک سمجھ کر لیکن میں نشانے سے بہت دور کھڑا تھا دیکھا تو ہمیں ٹوٹ کے دو ٹکڑے ہوئے تھے دشمن کی صفوں میں بھی ہمارا ہی دھڑا تھا ہر دھوپ میں جلنا ہی رہا اس کا مقدر دیوار کا سایہ پس دیوار پڑا تھا ہنگامۂ جاں شور انا دل کی قیامت میں کتنے محاذوں پہ اکیلا ہی لڑا تھا ہر زخم جو بخشا تھا مجھے اس کی نظر نے اے بدرؔ نگینے کی طرح دل میں جڑا تھا

Hindi

जो चाँद को आग़ोश में लेने पे अड़ा था हर चंद वो बच्चा था मगर दिल का बड़ा था जब अपनी ही पहचान से रन अपना पड़ा था हम ऐसे जियालों पे भी वो वक़्त कड़ा था तूफ़ान से लड़ने की 'अलामत था जो सोचो यूँ कहने को मिट्टी का वो इक कच्चा घड़ा था खुल कर मुझे इक साँस का लेना भी था मुश्किल हालात का नेज़ा मिरे सीने में गड़ा था वो तीर चलाता रहा नज़दीक समझ कर लेकिन मैं निशाने से बहुत दूर खड़ा था देखा तो हमें टूट के दो टुकड़े हुए थे दुश्मन की सफ़ों में भी हमारा ही धड़ा था हर धूप में जलना ही रहा उस का मुक़द्दर दीवार का साया पस-ए-दीवार पड़ा था हंगामा-ए-जाँ शोर-ए-अना दिल की क़यामत मैं कितने महाज़ों पे अकेला ही लड़ा था हर ज़ख़्म जो बख़्शा था मुझे उस की नज़र ने ऐ 'बद्र' नगीने की तरह दिल में जड़ा था

jo chāñd ko āġhosh meñ lene pe aḌā thā
Badr Shamsi
Badr Shamsi
Badr Shamsi
poet30 quotes

More by Badr Shamsi

View all →
Quote
"har lamha bahr-e-vaqt ki tughyaaniyon mein huun Thahrun kahaan ki bahte hue paaniyon mein huun bikhraa huaa huun TuuTe hue khvaab ki tarah dekhaa gayaa huun jab se pareshaaniyon mein huun haalaat ki salib pe laTkaa huaa huun main masruf apne aap ki qurbaaniyon mein huun ye qaid Tuut jaae to shaayad sukun mile main apne hi vajud ke zindaaniyon mein huun ab zakhm zakhm hai mire ehsaas kaa badan shisha huun pattharon ki nigahbaaniyon mein huun aabaad mujh se hai mire khvaabon ki kaaenaat main vus’at-e-khayaal ki viraaniyon mein huun kyaa khush-libaas log hain shahr-e-libaas mein mahsus ho rahaa hai ki ‘uryaaniyon mein huun ai 'badr' soz-e-gham kaa ujaalaa hai har taraf main zulmaton mein rah ke bhi taabaaniyon mein huun"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"tasvir-e-masarrat hai ki gham khoe hue hain kuchh ashk sar-e-dida-e-nam khoe hue hain mil kar bhi judaa rahnaa hai taqdir-e-mohabbat vo saamne aae hain to ham khoe hue hain hain zakhm-e-jigar mahv-e-munaajaat-e-mohabbat yaa zikr-e-ilaahi mein sanam khoe hue hain is vaqt na paaegi hamein gardish-e-dauraan is vaqt tiri yaad mein ham khoe hue hain in jaagti aankhon mein sulagte hain abhi tak kuchh khvaab jo khud apnaa bharam khoe hue hain khud se bhi mulaaqaat nahin tujh se bichhaD kar ham bhi tiri yaadon ki qasam khoe hue hain hai koi jo aa kar tire kuche kaa pata de kuchh log sar-e-dair-o-haram khoe hue hain ehsaas ko alfaaz kaa paikar nahin miltaa tahrir ki vaadi mein qalam khoe hue hain ab dil mein nahin 'badr' koi naqsh-e-tamannaa saae pas-e-divaar-e-haram khoe hue hain"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"guzri hui bahaar kaa koi pataa nahin is peD mein to ek bhi pattaa haraa nahin main khud bhi apne gosh-e-samaa'at pe baar huun vo harf huun jise tiraa lahja milaa nahin is bhiiD mein hain sab vahi derina ajnabi mere liye to ek bhi chehra nayaa nahin naaraaz mujh se shahr ke bachche hain is liye main un ke haath ban ke khilaunaa rahaa nahin pheinkaa hai kis ke haath ne patthar mein dekh lo patthar se baDh ke aur koi aaina nahin kis hausle se khud ko sameTe hue huun main TuuTaa huaa zarur huun bikhraa huaa nahin us se bichhaD ke milti koi raushni to kyaa ai 'badr' mujh ko khud miraa saae milaa nahin"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"aaina-e-khayaal mein khvaabon ke silsile dariyaa mein maujzan hain saraabon ke silsile mahke hain dil mein yuun tiri yaadon ke zakhm bhi jaise khile hon taaza gulaabon ke silsile phulon ki anjuman mein sitaaron ki chhaanv mein bikhre kahaan kahaan mire khvaabon ke silsile har shakhs hai khud apne khayaalaat kaa rasul chehre bhi hain khudaa ki kitaabon ke silsile ham bhi phire hain dasht-e-tamannaa mein sar-ba-kaf milte hain ham se khaana-kharaabon ke silsile ham hain savaal-e-‘arz-e-tamanna ki baazgasht ham par hue hain khatm javaabon ke silsile jaltaa huun zindagi ke jahannum mein raat-din jaari hain har nafas pe 'azaabon ke silsile apni haqiqaton ko chhupaae hue hain log chehre hain yaa hasin naqaabon ke silsile ai 'badr' zakhm-e-dil hain gham-e-dil pe khanda-zan dariyaa se khelte hain habaabon ke silsile"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"karam huaa bhi to kitne takallufaat ke baa'd 'ataa huaa gham-e-jaanaan gham-e-hayaat ke baa'd tire sitam ki qayaamat bhi dil pe guzri hai tiri nigaah-e-'inaayat ke haadsaat ke baa'd nazar nazar tiraa jalva nafas nafas khushbu 'ajib haal hai tark-e-ta'alluqaat ke baa'd khud apni shakl nazar aai un ki surat mein nazar uThi jo hijaab-e-ta’yyunaat ke baa'd kahin milaa na vo saaya ki dil Thahar jaataa tumhaare gham ki kaDi dhuup se najaat ke baa'd ye raushni unhin taarikiyon se phuTi hai yaqin dil ko milaa hai tavahhumaat ke baa'd hui hai 'badr' unhein zahmat-e-taghaaful bhi magar mire dil-e-paamaal-e-iltifaat ke baa'd"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"naadida manzilon ke payambar bahut mile ham ko hamaari raah ke patthar bahut mile dard-aashnaa khulus ke paikar bahut mile zakhmon ko DhunDte hue nashtar bahut mile siine se ham lagaae hue the mataa’-e-dard ham se mile bhi log to bach kar bahut mile kis kis ko apne dil mein ham aakhir utaarte jo ham pe mehrbaan the vo khanjar bahut mile yaadon ke zakhm dil kaa lahu dard-e-be-kasi kuche mein zindagi ke sitamgar bahut mile dekhaa jidhar lagi thi shikasta dilon ki bhiiD aabaadiyon mein ujDe hue ghar bahut mile palkon pe apni khuub ugi aansuon ki fasl in khushk Daaliyon pe gul-e-tar bahut mile bheje hain us ne kitne mohabbat-bhare khutut ham ko hamaare qatl ke mahzar bahut mile ai 'badr' dil ke daagh the raaton ko zau-fishaan tira-shabi mein chaand se paikar bahut mile"
Badr ShamsiBadr Shamsi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud