SHAWORDS

jo mazaa apne yaar mein dekhaa — Naeem Dehlavi

HomeNaeem DehlaviGhazal
"jo mazaa apne yaar mein dekhaa na kabhu vo bahaar mein dekhaa khvaab mein shab ko sarv dekhaa thaa subh tujh ko kanaar mein dekhaa na kabhu ham ne dekhaa bismil mein jo dil-e-be-qaraar mein dekhaa vasl ne ye mazaa kahaan paayaa lutf jo intizaar mein dekhaa lutf-e-gulzaar-o-laala-baagh 'naim' sina-e-daagh-daar mein dekhaa"
Urdu

جو مزا اپنے یار میں دیکھا نہ کبھو وہ بہار میں دیکھا خواب میں شب کو سرو دیکھا تھا صبح تجھ کو کنار میں دیکھا نہ کبھو ہم نے دیکھا بسمل میں جو دل بے قرار میں دیکھا وصل نے یہ مزا کہاں پایا لطف جو انتظار میں دیکھا لطف گلزار و لالہ باغ نعیمؔ سینۂ داغدار میں دیکھا

Hindi

जो मज़ा अपने यार में देखा न कभू वो बहार में देखा ख़्वाब में शब को सर्व देखा था सुब्ह तुझ को कनार में देखा न कभू हम ने देखा बिस्मिल में जो दिल-ए-बे-क़रार में देखा वस्ल ने ये मज़ा कहाँ पाया लुत्फ़ जो इंतिज़ार में देखा लुत्फ़-ए-गुलज़ार-ओ-लाला-बाग़ 'नईम' सीना-ए-दाग़-दार में देखा

jo mazā apne yaar meñ dekhā
N
Naeem Dehlavi
Naeem Dehlavi
poet6 quotes

More by Naeem Dehlavi

View all →
Quote
"naiim aaj main is shakl ko javaan dekhaa khudaa ko surat-e-insaan mein ayaan dekhaa tu hi hai kaaba mein aur tu hi but-kade mein hai gharaz ki tujh ko bhi ham ne kahaan kahaan dekhaa karoge jaur kisi aur par to jaanoge abhi to zulm kaa tum ne mazaa kahaan dekhaa ham apni dil ki tilaavat ko yaad kar roe kisi ke haal pe gar tujh ko mehrbaan dekhaa gire ham aan ke tab tere aastaane par jahaan mein koi na jab tujh saa qadr-daan dekhaa agarche yaar to tere hazaar hoveinge koi bhi ham saa bhalaa yaar jaan-fishaan dekhaa yaqin 'naim' ke ahvaal kaa na thaa tujh ko gayaa na ji hi se aakhir ai bad-gumaan dekhaa"
N
Naeem Dehlavi
Quote
"milte hi dil ne ham ko giraftaar kar diyaa rusvaa-e-shahr-o-kucha-o-baazaar kar diyaa pyaare qasam le le ho dobaara agar nazar haan yak nigaah tum ne gunahgaar kar diyaa go ham zalil-o-khvaar hue khalq mein miyaan aalam ko aap kaa to talabgaar kar diyaa karne lagi ho ab jo mire saath ye suluk shaayad kisi ne tum ko khabar-daar kar diyaa jo kuchh suluk ham se karo tum bajaa hai yaar chuke hamin jo tum ko numudaar kar diyaa jaate hi madrase mein kal us but ne ai 'naim' tasbih-e-shaikh rishta-e-zunnaar kar diyaa"
N
Naeem Dehlavi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud