"dast-baston ko ishaara bhi to ho saktaa hai ab vahi shakhs hamaaraa bhi to ho saktaa hai main ye aise hi nahin chhaan rahaa huun ab tak khaak mein koi sitaara bhi to ho saktaa hai ain mumkin hai ki binaai mujhe dhoka de ye jo shabnam hai sharaara bhi to ho saktaa hai is mohabbat mein har ik shai bhi to luT sakti hai is mohabbat mein khasaara bhi to ho saktaa hai gar hai saanson kaa tasalsul miri qismat mein 'khayaal' phir ye girdaab kinaaraa bhi to ho saktaa hai"
junun ko rakht kiyaa khaak ko libaada kiyaa — Ahmad Khayal
"junun ko rakht kiyaa khaak ko libaada kiyaa main dasht dasht bhaTakne kaa jab iraada kiyaa main naasehaan ki suntaa huun aur Taaltaa huun so qurb-e-husn chhuTaa aur na tark-e-baada kiyaa mahakte phuul sitaare damaktaa chaand dhanak tire jamaal se kitnon ne istifaada kyaa hazaar rang mein jalva-numaa thaa husn-o-jamaal dil aur shokh huaa us ko jitnaa saada kiyaa vo de rahaa thaa talab se sivaa sabhi ko 'khayaal' so main ne daaman-e-dil aur kuchh kushaada kiyaa"
جنوں کو رخت کیا خاک کو لبادہ کیا میں دشت دشت بھٹکنے کا جب ارادہ کیا میں ناصحان کی سنتا ہوں اور ٹالتا ہوں سو قرب حسن چھٹا اور نہ ترک بادہ کیا مہکتے پھول ستارے دمکتا چاند دھنک ترے جمال سے کتنوں نے استفادہ کیا ہزار رنگ میں جلوہ نما تھا حسن و جمال دل اور شوخ ہوا اس کو جتنا سادہ کیا وہ دے رہا تھا طلب سے سوا سبھی کو خیالؔ سو میں نے دامن دل اور کچھ کشادہ کیا
जुनूँ को रख़्त किया ख़ाक को लिबादा किया मैं दश्त दश्त भटकने का जब इरादा किया मैं नासेहान की सुनता हूँ और टालता हूँ सो क़ुर्ब-ए-हुस्न छुटा और न तर्क-ए-बादा किया महकते फूल सितारे दमकता चाँद धनक तिरे जमाल से कितनों ने इस्तिफ़ादा क्या हज़ार रंग में जल्वा-नुमा था हुस्न-ओ-जमाल दिल और शोख़ हुआ उस को जितना सादा किया वो दे रहा था तलब से सिवा सभी को 'ख़याल' सो मैं ने दामन-ए-दिल और कुछ कुशादा किया

More by Ahmad Khayal
View all →"jaisi honi ho vo raftaar nahin bhi hoti raah is samt ki hamvaar nahin bhi hoti main tahi-dast laDaai ke hunar sikhtaa huun kabhi is haath mein talvaar nahin bhi hoti phir bhi ham log the rasmon mein aqidon mein judaa gar yahaan biich mein divaar nahin bhi hoti vo miri zaat se inkaar kiye rakhtaa hai gar kabhi surat-e-inkaar nahin bhi hoti jis ko bekaar samajh kar kisi kone mein rakhein aisaa hotaa hai ki bekaar nahin bhi hoti dil kisi bazm mein jaate hi machaltaa hai 'khayaal' so tabiat kahin be-zaar nahin bhi hoti"
"dasht o junun kaa silsila mere lahu mein aa gayaa ye kis jagah pe main tumhaari justuju mein aa gayaa vo sarv-qaamat ho gayaa hai dekhte hi dekhte jaane kahaan se zor saa us ki numu mein aa gayaa bas chand lamhe pesh-tar vo paanv dho ke palTaa hai aur nuur kaa sailaab saa is aabju mein aa gayaa chaaron taraf hi titliyon ke raqs hone lag gae tu aa gayaa to baagh saaraa rang-o-bu mein aa gayaa main jhumte hi jhumte 'ahmad' tamaashaa ban gayaa jab aks us ke raqs kaa mere subu mein aa gayaa"
"sukut toDne kaa ehtimaam karnaa chaahiye kabhi-kabhaar khud se bhi kalaam karnaa chaahiye adab mein jhuknaa chaahiye salaam karnaa chaahiye khirad tujhe junun ko imaam karnaa chaahiye ulajh gae hain saare taar ab mire khudaa tujhe tavil daastaan kaa ikhtitaam karnaa chaahiye tamaam log nafraton ke zahr mein bujhe hue mohabbaton ke silsilon ko aam karnaa chaahiye mire lahu tu chashm aur ashk se gurez kar tujhe ragon ke darmiyaan khiraam karnaa chaahiye"
"un ko mein karbalaa ke mahine mein laaungaa kuufa ke saare log madine mein laaungaa ye zar bhi ek roz dafine mein laaungaa saare jahaan ke dard ko siine mein laaungaa miTTi kuchh ajnabi se jaziron ki laazmi lauTaa tu apne saath safine mein laaungaa pahle karungaa chhat pe bahut der guftugu phir is ke baad chaand ko ziine mein laaungaa ji bhar ke mein ne khaak uDaa li nagar nagar ab zindagi ko ek qarine mein laaungaa"
"koi an-dekhi fazaa tasvir karnaa chaahiye khvaab ki buniyaad par taa'mir karnaa chaahiye main bhaTaktaa phir rahaa huun vaahimon ke darmiyaan gard lipTi ruuh ki tathir karnaa chaahiye jin dinon divaangi Thahri hui ho zaat mein ek duniyaa un dinon taskhir karnaa chaahiye jis sadaa mein sau tarah ke rang jhilmil karte hon vo sadaa har haal mein tasvir karnaa chaahiye jald-baazi de gai hai rat-jagon ke silsile faisle mein thoDi si taakhir karnaa chaahiye ab bagule mujh mein hain aur main bagulon mein 'khayaal' dasht mein divaangi zanjir karnaa chaahiye"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"