SHAWORDS

kahaan aafaaq saaraa chaahiye thaa — Bhaskar Shukla

HomeBhaskar ShuklaGhazal
"kahaan aafaaq saaraa chaahiye thaa hamein bas ik sitaara chaahiye thaa jahaan dekhun vahaan aao nazar tum nazar ko vo nazaara chaahiye thaa meri khaamoshiyon kaa tu sabab thaa mujhe teraa ishaara chaahiye thaa dobaara chaahtaa thaa ishq karnaa mujhe tu hi dobaara chaahiye thaa ghazal likhne lagaa furqat mein teri koi dilkash sahaaraa chaahiye thaa"
Urdu

کہاں آفاق سارا چاہیے تھا ہمیں بس اک ستارہ چاہیے تھا جہاں دیکھوں وہاں آؤ نظر تم نظر کو وہ نظارہ چاہیے تھا میری خاموشیوں کا تو سبب تھا مجھے تیرا اشارہ چاہیے تھا دوبارہ چاہتا تھا عشق کرنا مجھے تو ہی دوبارہ چاہیے تھا غزل لکھنے لگا فرقت میں تیری کوئی دل کش سہارا چاہیے تھا

Hindi

कहाँ आफ़ाक़ सारा चाहिए था हमें बस इक सितारा चाहिए था जहाँ देखूँ वहाँ आओ नज़र तुम नज़र को वो नज़ारा चाहिए था मेरी ख़ामोशियों का तू सबब था मुझे तेरा इशारा चाहिए था दोबारा चाहता था इश्क़ करना मुझे तू ही दोबारा चाहिए था ग़ज़ल लिखने लगा फ़ुर्क़त में तेरी कोई दिलकश सहारा चाहिए था

kahāñ āfāq saarā chāhiye thā
Bhaskar Shukla
Bhaskar Shukla
Bhaskar Shukla
poet35 quotes

More by Bhaskar Shukla

View all →
Quote
"teri tasvir jo dekhi to khayaal aayaa hai meri ghazlon mein kahaan se ye kamaal aayaa hai teri aamad se bahaar aai hai viraane mein teri aankhon se manaazir mein jamaal aayaa hai maut aai hai ki niind aai hai kuchh lamhon ko aap aae hain ki phir khvaab-e-visaal aayaa hai ek lamhe ko nigah un ki hui thi mujh par yaad ik lamha mujhe saal-haa-saal aayaa hai tere hisse mein kisi aur kaa aayaa hai gulaal mere hisse mein kisi aur kaa gaal aayaa hai ab tiraa qurb bhi darkaar nahin hai mujh ko ab kahin jaa ke mohabbat kaa maaal aayaa hai raah duniyaa ki dikhaai hui chhoD aayaa hai dil khvaab manzil ke sar-e-raah uchhaal aayaa hai ab koi khauf nahin hai ki tiri galiyon mein 'bhaaskar' aakhiri Dar ko bhi nikaal aayaa hai"
Bhaskar ShuklaBhaskar Shukla
Quote
"kuchh roz dil-o-zehn pe taari to rahegi dekhi hain vo aankhein so khumaari to rahegi zinda na rahungaa main tire baa'd ye tai hai saanson ki mashaqqat vale jaari to rahegi chal paao agar is ko uThaa kar to uThaao gaThri hai miyaan 'ishq ki bhaari to rahegi us kaa baDaa ehsaan hai takhayyul pe hamaare kitne bhi kahein she'r udhaari to rahegi yaaraana magar pahle saa mumkin nahin hogaa kahne ke liye aap se yaari to rahegi naam aur kahin 'bhaaskar' aae ki na aae par us ke divaanon mein shumaari to rahegi"
Bhaskar ShuklaBhaskar Shukla

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud