"kisi qimat adab se main daghaa-baazi nahin kartaa zamin-e-shaa'iri mein sirf laffaazi nahin kartaa jo 'aalim hain na jaaein ghair-islaami nikaahon mein kuchh aisaa faisla hargiz koi qaazi nahin kartaa jo 'arz-e-haal hai us haal se vaaqif zamaana hai isi khaatir bayaan main qissa-e-maazi nahin kartaa tamanna chhoD de vo raahat-e-duniyaa-o-uqbaa ki khudaa-e-paak ko jo shakhs bhi raazi nahin kartaa samajh letaa huun ai 'sajjaad' pahle haqq-o-baatil ko andhere mein kabhi main tir-andaazi nahin kartaa"
kahin ham na honge to kyaa kijiyegaa — Mir Sajjad
"kahin ham na honge to kyaa kijiyegaa kisi aur se dil lagaa lijiyegaa miri yaad aae to logon se bach kar akele mein aansu bahaa lijiyegaa agar pyaas se main lab-e-jaan Thahrun nigaahon se thoDaa pilaa dijiyegaa agar phir kisi moD par saamnaa ho zaraa pyaar se muskuraa dijiyegaa salaamat rahe aap ki bevafaai hamaare liye bhi du'aa kijiyegaa hamein aap ki dosti par yaqin hai jo chaahegaa dil vo sazaa dijiyegaa hamaare tabib-e-mohabbat se kahnaa zaraa dil lagaa kar davaa kijiyegaa bhari bazm se uTh ke 'sajjaad' saahib diyaa ghar ke andar jalaa lijiyegaa"
کہیں ہم نہ ہوں گے تو کیا کیجئے گا کسی اور سے دل لگا لیجئے گا مری یاد آئے تو لوگوں سے بچ کر اکیلے میں آنسو بہا لیجئے گا اگر پیاس سے میں لب جان ٹھہروں نگاہوں سے تھوڑا پلا دیجئے گا اگر پھر کسی موڑ پر سامنا ہو ذرا پیار سے مسکرا دیجئے گا سلامت رہے آپ کی بے وفائی ہمارے لیے بھی دعا کیجئے گا ہمیں آپ کی دوستی پر یقیں ہے جو چاہے گا دل وہ سزا دیجئے گا ہمارے طبیب محبت سے کہنا ذرا دل لگا کر دوا کیجئے گا بھری بزم سے اٹھ کے سجادؔ صاحب دیا گھر کے اندر جلا لیجئے گا
कहीं हम न होंगे तो क्या कीजिएगा किसी और से दिल लगा लीजिएगा मिरी याद आए तो लोगों से बच कर अकेले में आँसू बहा लीजिएगा अगर प्यास से मैं लब-ए-जान ठहरूँ निगाहों से थोड़ा पिला दीजिएगा अगर फिर किसी मोड़ पर सामना हो ज़रा प्यार से मुस्कुरा दीजिएगा सलामत रहे आप की बेवफ़ाई हमारे लिए भी दु'आ कीजिएगा हमें आप की दोस्ती पर यक़ीं है जो चाहेगा दिल वो सज़ा दीजिएगा हमारे तबीब-ए-मोहब्बत से कहना ज़रा दिल लगा कर दवा कीजिएगा भरी बज़्म से उठ के 'सज्जाद' साहिब दिया घर के अंदर जला लीजिएगा
More by Mir Sajjad
View all →"tamaam 'umr yahi aarzu kiye jaao mile vo yaa na mile justuju kiye jaao nahin surur to yaad-e-surur kyaa kam hai tum aaj zikr-e-sharaab-o-subu kiye jaao yaqin karo ki milegi zarur manzil-e-dost magar ye shart bhi hai justuju kiye jaao kisi ki shokh nazar se nazar jo mil jaae zabaan khamosh rahe guftugu kiye jaao farishte rashk kareinge falak pe ai 'sajjaad' tum apne daaman-e-tar se vuzu kiye jaao"
"zehn jab fikr-saaz hotaa hai khuub raaz-o-niyaaz hotaa hai 'ishq nazzaara-baaz hotaa hai husn majbur-e-naaz hotaa hai fitratan ibtidaa-e-ulfat mein ek rang-e-majaaz hotaa hai har nazar ke khamosh naghmon mein mahshar-e-soz-o-saaz hotaa hai kaun kyaa hai yahaan pe ai 'sajjaad' aaj bhi imtiyaaz hotaa hai"
"duniyaa mire daaman ki havaa maang rahi hai din raat sanvarne ki du'aa maang rahi hai khud zindagi jiine ki du'aa maang rahi hai gesu se tiri kaali du'aa maang rahi hai gulshan ki kali mauj-e-sabaa maang rahi hai har shaakh ke honTon pe sadaa maang rahi hai khvaabon se khayaalon se khataa maang rahi hai ye raat bilaa jurm sazaa maang rahi hai ne'mat thi miri jaan magar maang rahi hai jiine ke liye rab se du'aa maang rahi hai khushbu se mohabbat se 'inaayat se karam se phir vaadi-e-dil ThanDi havaa maang rahi hai har saans ghanimat hai yahaan aaj bhi 'sajjaad' har saans miri rab ki razaa maang rahi hai"
"yuun lag rahaa hai josh mein Dhalne lagi hai shaam aur vaqt kaa mizaaj badalne lagi hai shaam chaTTaan ban ke saamne aai hai kaali raat aangan mein mere jab se Tahalne lagi hai shaam fasl-e-bahaar aa gai phir bazm-e-yaar mein kis kis adaa se dekh machalne lagi hai shaam dukh dard ne har ik su lagaa di hai kaisi aag aahon ki garmiyon se pighalne lagi hai shaam kis tarh bach sakegi vatan teri aabru nafrat kaa zahr kaise ugalne lagi hai shaam 'sajjaad' ne diyaa hai mohabbat bharaa payaam is pyaar ki sadaa pe machalne lagi hai shaam"
"pyaar mein shart kisi tarh ki manzur nahin ham agar duur nahin tum bhi to majbur nahin vaqt aane do bahut log mileinge tum ko kyaa samajhte ho ki ab 'sarmad'-o-'mansur' nahin maantaa huun ki adaaein hain tiri tauba-shikan jo bhi hai phir bhi tu jannat ki koi huur nahin chal paDo to nahin is baat kaa hogaa ehsaas duur hai manzil-e-maqsud magar duur nahin vo jo chaahe to har ik chiiz ko haasil kar le ‘mir-sajjaad' jise kahte hain maa'zur nahin"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"