SHAWORDS

kaisi aandhi ye chali hosh uDe jaate hain — Basit Jaleeli

HomeBasit JaleeliGhazal
"kaisi aandhi ye chali hosh uDe jaate hain ek ik kar ke diye saare bujhe jaate hain zabt-e-girya ne miri aankh ko rone na diyaa ashk kaanTon ki tarah dil mein chubhe jaate hain vaqt ki ret pe qadmon ke nishaan hain baaqi bhulne vaale tujhe yaad kiye jaate hain main ne sapnon se sajaa rakkhi thiin aankhein apni itnaa royaa huun ki ab khvaab bahe jaate hain jin ke dam se the zamaane mein ujaale 'baasit' vahi mahtaab tah-e-khaak hue jaate hain"
Urdu

کیسی آندھی یہ چلی ہوش اڑے جاتے ہیں ایک اک کر کے دیئے سارے بجھے جاتے ہیں ضبط گریہ نے مری آنکھ کو رونے نہ دیا اشک کانٹوں کی طرح دل میں چبھے جاتے ہیں وقت کی ریت پہ قدموں کے نشاں ہیں باقی بھولنے والے تجھے یاد کئے جاتے ہیں میں نے سپنوں سے سجا رکھی تھیں آنکھیں اپنی اتنا رویا ہوں کہ اب خواب بہے جاتے ہیں جن کے دم سے تھے زمانے میں اجالے باسطؔ وہی مہتاب تہ خاک ہوئے جاتے ہیں

Hindi

कैसी आँधी ये चली होश उड़े जाते हैं एक इक कर के दिए सारे बुझे जाते हैं ज़ब्त-ए-गिर्या ने मिरी आँख को रोने न दिया अश्क काँटों की तरह दिल में चुभे जाते हैं वक़्त की रेत पे क़दमों के निशाँ हैं बाक़ी भूलने वाले तुझे याद किए जाते हैं मैं ने सपनों से सजा रक्खी थीं आँखें अपनी इतना रोया हूँ कि अब ख़्वाब बहे जाते हैं जिन के दम से थे ज़माने में उजाले 'बासित' वही महताब तह-ए-ख़ाक हुए जाते हैं

kaisī āñdhī ye chalī hosh uḌe jaate haiñ
Basit Jaleeli
Basit Jaleeli
Basit Jaleeli
poet15 quotes

More by Basit Jaleeli

View all →
Quote
"tiraa harf harf kamaal ho mire yaar aisi ghazal kaho jo kisi kaa kahnaa muhaal ho mire yaar aisi ghazal kaho tiri chaahatein mire vaaste na judaa kabhi bhi hon raaste vo junub ho ki shumaal ho mire yaar aisi ghazal kaho main namaaz-e-'ishq adaa karun kabhi bhuul kar na qazaa karun miraa raabta jo bahaal ho mire yaar aisi ghazal kaho vo ghazal bhi ho ho vo giit bhi miri haar bhi miri jiit bhi vo nidaa-e-husn-o-jamaal ho mire yaar aisi ghazal kaho mire 'ishq ki ho vo daastaan miraa dard-o-gham ho miri fughaan miri hasraton kaa malaal ho mire yaar aisi ghazal kaho sar-e-shaam aaj main so gayaa ki vo khvaab kaa jo hai silsila tiraa meraa yunhi visaal ho mire yaar aisi ghazal kaho na kisi ne aisaa kahaa kabhi na kisi ne aisaa sunaa kabhi na kisi kaa aisaa khayaal ho mire yaar aisi ghazal kaho vo jo sahn-e-yaar mein din Dhale vo jo khalvaton ke hain silsile mire har javaaz ki Dhaal ho mire yaar aisi ghazal kaho tire 'ishq mein yuun dhamaal ho mujhe saans lenaa muhaal ho miraa ang ang nihaal ho mire yaar aisi ghazal kaho"
Basit JaleeliBasit Jaleeli
Quote
"hai zabaan-bandi kaa mausam bastiyaan khaamosh hain saare dar khaamosh hain rahdaariyaan khaamosh hain khauf-o-gham ki is fazaa mein ji rahe hain is tarah tum vahaan khaamosh ho aur ham yahaan khaamosh hain ye khamoshi pesh-khema hai kisi tufaan kaa zakhm nauhagar hain mere siskiyaan khaamosh hain ham uThaa leinge tumhein bhi had se jo aage baDhin ye sunaa to maaein bahnein beTiyaan khaamosh hain faisla vo hi karegaa ye huaa hai faisla jis ke Dar se shahr ki sab hastiyaan khaamosh hain"
Basit JaleeliBasit Jaleeli
Quote
"jiine ki aarzu mein vo shiddat nahin rahi kaise kahun ki ab vo mohabbat nahin rahi main bhi kisi kaa ho chukaa tu bhi kisi kaa hai ik dusre ki ab hamein haajat nahin rahi hain apne hi jahaan mein kuchh is tarah se gum kuchh saa'aton ki bhi hamein fursat nahin rahi tere hi dam se raunaq-e-bazm-e-hayaat thi jo tu nahin rahaa miri jannat nahin rahi vo bhi to din the aankh se haTtaa nahin thaa vo ab ye bhi din hain milne ki chaahat nahin rahi apni madad kaa aap hi qaail huaa huun main 'baasit' mujhe kisi ki zarurat nahin rahi"
Basit JaleeliBasit Jaleeli

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar