SHAWORDS

kaj-kulaahi ki adaa yaad aai — Gopal Mittal

HomeGopal MittalGhazal
"kaj-kulaahi ki adaa yaad aai ku-e-qaatil ki havaa yaad aai dil ko shaayad nahin yaaraa-e-vafaa varna kyuun teri jafaa yaad aai us ki bedaad ke har zikr ke saath us ki ek ek adaa yaad aai dil ke khuun hone ki jab baat chali us ki khushbu-e-hinaa yaad aai shukriya naaseh-e-mushfiq ki phir aaj apni rudaad-e-vafaa yaad aai"
Urdu

کج کلاہی کی ادا یاد آئی کوئے قاتل کی ہوا یاد آئی دل کو شاید نہیں یاراۓ وفا ورنہ کیوں تیری جفا یاد آئی اس کی بیداد کے ہر ذکر کے ساتھ اس کی ایک ایک ادا یاد آئی دل کے خوں ہونے کی جب بات چلی اس کی خوشبوئے حنا یاد آئی شکریہ ناصح مشفق کہ پھر آج اپنی روداد وفا یاد آئی

Hindi

कज-कुलाही की अदा याद आई कू-ए-क़ातिल की हवा याद आई दिल को शायद नहीं यारा-ए-वफ़ा वर्ना क्यूँ तेरी जफ़ा याद आई उस की बेदाद के हर ज़िक्र के साथ उस की एक एक अदा याद आई दिल के ख़ूँ होने की जब बात चली उस की ख़ुशबू-ए-हिना याद आई शुक्रिया नासेह-ए-मुश्फ़िक़ कि फिर आज अपनी रूदाद-ए-वफ़ा याद आई

kaj-kulāhī kī adā yaad aa.ī
Gopal Mittal
Gopal Mittal
Gopal Mittal
poet42 quotes

More by Gopal Mittal

View all →
Quote
"svaang ab tark-e-mohabbat kaa rachaayaa jaae us ke pindaar ko aaina dikhaayaa jaae vaza-daari-e-mohabbat ke munaafi hai to ho aaj collar pe nayaa phuul sajaayaa jaae sher mein tazkira-e-dasht-o-bayaabaan ho magar ik baDe shahr mein ghar apnaa basaayaa jaae balcony vo kai din se hai viraan yaaro us gali mein koi hangaama uThaayaa jaae sar ye kahtaa hai gavaaraa nahin ab baarish-e-sang dil ye kahtaa hai usi kuche mein jaayaa jaae ham hi pichhe rahein kyuun daavaa-e-jaan-baazi mein kyaa zaruri hai ki mar kar bhi dikhaayaa jaae shaairi mein na rahaa jazba-o-ehsaas ko dakhl ab use qaum ki khidmat pe lagaayaa jaae"
Gopal MittalGopal Mittal
Quote
"rangini-e-havas kaa vafaa naam rakh diyaa khuddaari-e-vafaa kaa jafaa naam rakh diyaa insaan ki jo baat samajh mein na aa saki insaan ne us kaa haq ki razaa naam rakh diyaa khud-gharziyon ke saae mein paati hai parvarish ulfat ko jis kaa sidq o safaa naam rakh diyaa be-mehri-e-habib kaa mushkil thaa e'tiraaf yaaron ne us kaa naaz o adaa naam rakh diyaa fitrat mein aadmi ki hai mubham saa ek khauf us khauf kaa kisi ne khudaa naam rakh diyaa ye ruuh kyaa hai jism kaa aks-e-latif hai ye aur baat hai ki judaa naam rakh diyaa muflis ko ahl-e-zar ne bhi kyaa kyaa diye fareb apni jafaa kaa hukm-e-khudaa naam rakh diyaa"
Gopal MittalGopal Mittal
Quote
"svaang ab tark-e-mohabbat kaa rachaayaa jaae us ke pindaar ko aaina dikhaayaa jaae vaz’-daari-e-mohabbat ke munaafi hai to ho aaj collar pe nayaa phuul sajaayaa jaae she'r mein tazkira-e-dasht-o-bayaabaan ho magar ik baDe shahr mein ghar apnaa basaayaa jaae balcony vo kai din se hai viraan yaaro us gali mein koi hangaama uThaayaa jaae sar ye kahtaa hai gavaaraa nahin ab baarish-e-sang dil ye kahtaa hai usi kuche mein jaayaa jaae ham hi pichhe rahein kyon daa’vaa-e-jaan-baazi mein kyaa zaruri hai ki mar kar bhi dikhaayaa jaae shaa'iri mein na rahaa jazba-o-ehsaas ko dakhl ab ise qaum ki khidmat pe lagaayaa jaae"
Gopal MittalGopal Mittal
Quote
"kis ko hai husn-e-khudaa-daad kaa daavaa dekhein kis kaa chehra nahin minnat-kash-e-ghaaza dekhein jo muqaddar hai vo anjaam-e-tamannaa dekhein dil-e-vahshat-zada chal aaj use jaa dekhein dil ye kahtaa hai ki husn us kaa jahaan-taab bhi ho aur phir ye bhi hai ki ham hi use tanhaa dekhein aao kuchh jashn-e-shahaadat hi mein shirkat ho jaae apni khiDki hi se maqtal kaa nazaara dekhein kaun manjdhaar mein jaae sar-e-saahil baiThein duur se Dubne vaalon kaa tamaashaa dekhein ab bhi hotaa hai vahaan zikr hamaaraa ki nahin aalam us bazm kaa ab kyaa hai zaraa jaa dekhein"
Gopal MittalGopal Mittal

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi