SHAWORDS

kal khud mujhe rusvaa sar-e-baazaar karoge — Basheer Ahmad Basheer

"kal khud mujhe rusvaa sar-e-baazaar karoge tum subh se pahle miraa inkaar karoge khair ab to hue maskh rivaayat ke khare daam kyaa kal bhi yahi jhuuT kaa byopaar karoge tufaan to umDaa chalaa aataa hai saron par phir shahr ko kis lamhe khabar-daar karoge aakhir ko to miTTi hain ye miTTi ke gharaunde taa'mir kahaan tak dar-o-divaar karoge loge na khabar dil ke kharaabe ki magar haan zebaaish-e-har-kucha-o-baazaar karoge main ab to khaTaktaa huun magar duur nahin vaqt baatein miri parkhoge mujhe pyaar karoge hai apne liye shahr 'bashir' apnaa yahi dasht kyaa jaa ke bhalaa shahr mire yaar karoge"
Urdu

کل خود مجھے رسوا سر بازار کرو گے تم صبح سے پہلے مرا انکار کرو گے خیر اب تو ہوئے مسخ روایت کے کھرے دام کیا کل بھی یہی جھوٹ کا بیوپار کرو گے طوفان تو امڈا چلا آتا ہے سروں پر پھر شہر کو کس لمحے خبردار کرو گے آخر کو تو مٹی ہیں یہ مٹی کے گھروندے تعمیر کہاں تک در و دیوار کرو گے لو گے نہ خبر دل کے خرابے کی مگر ہاں زیبائش ہر کوچہ و بازار کرو گے میں اب تو کھٹکتا ہوں مگر دور نہیں وقت باتیں مری پرکھو گے مجھے پیار کرو گے ہے اپنے لیے شہر بشیرؔ اپنا یہی دشت کیا جا کے بھلا شہر مرے یار کرو گے

Hindi

कल ख़ुद मुझे रुस्वा सर-ए-बाज़ार करोगे तुम सुब्ह से पहले मिरा इंकार करोगे ख़ैर अब तो हुए मस्ख़ रिवायत के खरे दाम क्या कल भी यही झूट का ब्योपार करोगे तूफ़ान तो उमडा चला आता है सरों पर फिर शहर को किस लम्हे ख़बर-दार करोगे आख़िर को तो मिट्टी हैं ये मिट्टी के घरौंदे ता'मीर कहाँ तक दर-ओ-दीवार करोगे लोगे न ख़बर दिल के ख़राबे की मगर हाँ ज़ेबाइश-ए-हर-कूचा-ओ-बाज़ार करोगे मैं अब तो खटकता हूँ मगर दूर नहीं वक़्त बातें मिरी परखोगे मुझे प्यार करोगे है अपने लिए शहर 'बशीर' अपना यही दश्त क्या जा के भला शह्र मिरे यार करोगे

kal ḳhud mujhe rusvā sar-e-bāzār karoge
Basheer Ahmad Basheer
Basheer Ahmad Basheer
Basheer Ahmad Basheer
poet25 quotes

More by Basheer Ahmad Basheer

View all →
Quote
"vajh-e-khalish hai baa’is-e-aasudgi bhi hai ye bo'd jis mein lazzat-e-hamsaaegi bhi hai kuchh dasht ke bagule bhi hain baa'is-e-fishaar kuchh khud mizaaj-e-khaak mein aavaargi bhi hai basti koi 'ajib hai ye is jagah ke log khanda-ba-lab hain chehron pe aazurdagi bhi hai vaise bhi kuchh yahaan se tabi'at hai ab uchaaT yuun dil ko is dayaar se vaabastagi bhi hai is apni gosha-giri ke hain aur bhi sabab ik vajh past-himmaton ki khvaajgi bhi hai vo aatishin kurah hai ye dil jis ke har taraf taariki-e-khalaa bhi hai yakh-bastagi bhi hai phir mujh se qaum karti hai kyon mo'jize talab jab taa’n-e-sehr-o-tohmat-e-divaangi bhi hai maujudgi tiri muta’ayyan na ho saki ai tu ki har jagah tiri maujudgi bhi hai kyaa kijiye 'bashir' shu'ur-e-anaa ke saath hukm-e-sujud-o-'aajizi-o-bandagi bhi hai"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer
Quote
"har chand tere shahr ke ab kucha-gard hain lekin is apne daur mein ham log fard hain samjhe nahin zabaan ghazaalon ki aaj tak ham bhi jo ek 'umr se sahraa-navard hain guzre hain ham bhi pech-o-kham-e-raah-e-zist se yaa'ni ki ham bhi vaaqif-e-har-garm-o-sard hain kyaa kyaa hain ikhtiyaar-o-iraada ki tohmatein ham par bisaat-e-jabr ki jo ek nard hain jis se gudaaz-o-garm zamir-e-vajud hai ham sina-e-hayaat ki vo aah-e-sard hain dekhaa hai aaj ham ne bhi jaa kar 'bashir' ko be-shak abhi zamaane mein kuchh ahl-e-dard hain"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer
Quote
"kaisi kaisi thiin unhi galiyon mein zebaa suratein yaad ik ik moD pe aati hain kyaa kyaa suratein nim-shab hote hain vaa jis dam dariche yaad ke kis adaa se jhaankti hain ab vo raaanaa suratein suratein kuchh dekh kar aisaa bhi aataa thaa khayaal khaak se aisi kahaan hoti hain paidaa suratein luuT kar pahle-pahal aae the jab us shahr se ajnabi lagti thiin aankhon ko shanaasaa suratein aaj tak vo dil ki divaaron pe kanda hain 'bashir' phir nazar aaein nahin jo maah-simaa suratein"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer
Quote
"in chaTakhte pattharon par paanv dharnaa dhyaan se Dhal chuki hai shaam vaadi mein utarnaa dhyaan se jaamid-o-saakit sahi divaar-o-dar bahre nahin ghar ki tanhaai ho phir bhi baat karnaa dhyaan se kaan mat dharnaa kisi aavaaz par kaisi bhi ho koi roke bhi to raste mein Thaharnaa dhyaan se dekhnaa saaya kahin koi taaaqub mein na ho shahr ki viraan galiyon se guzarnaa dhyaan se raah mein dekho koi manzar to rakhnaa zehn mein phir kahin fursat mile to rang bharnaa dhyaan se kitne suraj tum se pahle is safar mein jal-bujhe is jahaan-e-tira-khaatir par ubharnaa dhyaan se vaqt ke saath apne andaaze ghalat nikle 'bashir' kis qadar mushkil hai pyaaron kaa utarnaa dhyaan se"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer
Quote
"har gaam pe aavaargi-o-dar-ba-dari mein ik dhyaan kaa saaya hai miri ham-safari mein taa-hadd-e-nazar pighli hui ret kaa dariyaa kis samt nikal aae hain ye be-khabari mein kis ki tarab-andaaz-nazar ghol rahi hai andoh-o-gham-o-soz mizaaj-e-bashari mein kyaa koi kahin kunj-e-khayaabaan-e-sukun hai ai dasht-e-gham-e-zist tiri be-shajari mein ai qarya-e-dil dekh guzarti hai isi taur har shahr pe barbaadi-o-zer-o-zabari mein ahl-e-talab-o-shauq zamaanon se paDe hain arsa-gah-e-khud-sozi-o-hairaan-nazari mein lahraae na lahraae vo ab barq-e-khad-o-khaal ab ham nahin khaar-e-khas-e-aashufta-sari mein ik hamdam-e-derina ki yaadon ki kasak hai khushbu-e-khush-anfaasi-e-baad-e-sahari mein nigaraan miri jaanib nigah-e-khush-hunraan hai kuchh to hunar aakhir hai miri be-hunari mein ik tesha-e-sad-paara ki surat hain 'bashir' ab haasil yad-e-tula thaa jinhein shisha-gari mein"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer
Quote
"giraft-e-zist mein huun qaid-e-be-hisaar mein huun azaab-e-arsa-gah-e-jabr-o-ikhtiyaar mein huun khayaal hai to abhi DhunDh phir milun na milun abhi main tere uDaae hue ghubaar mein huun bhaDak rahaa hai badan ruuh ko khabar bhi nahin ye kyaa maqaam hai ye kaise shoala-zaar mein huun main kaun huun tire nazdik ye savaal nahin hubaab huun ki sadaf bahar-e-be-kanaar mein huun khud apne aap se har dam huun barsar-e-paikaar main apni zaat ke maidaan-e-kaar-zaar mein huun mein bhed kyaa tujhe duun be-karaan khalaaon ke ki main azal se isi halqa-e-madaar mein huun talaash kis ki hai mujh ko abhi ye kyaa sochun 'bashir' abhi to main apne hi intizaar mein huun"
Basheer Ahmad BasheerBasheer Ahmad Basheer

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud