"kaam kaa ek yahi kaam kiyaa ishq-dar-ishq subh-o-shaam kiyaa dil javaaban dhaDak rahaa thaa miraa tu ne aankhon se jab salaam kiyaa mujh ko tujh se baDi mohabbat hai le ye dil main ne tere naam kiyaa baiat-e-ishq toD di us ne jis ne duniyaa kaa ehtiraam kiyaa tab samajh aayaa khaal-o-khad kaa kalaam tujh se jab ru-ba-ru kalaam kiyaa meri bad-naamiyon se puchh tujhe kitni mushkil se nek-naam kiyaa ham payambar hain husn-e-jaanaan ke is shariat ko ham ne aam kiyaa dard ke ab vahaan khazaane hain main ne 'khaalid' jahaan qiyaam kiyaa"
khaak meri bikhar gai hai kyaa — Khalid Sajjad
"khaak meri bikhar gai hai kyaa aasmaan tak nazar gai hai kyaa kis liye tum udaas phirte ho dil se duniyaa utar gai hai kyaa apni marzi se dar-ba-dar huun main tu bataa apne ghar gai hai kyaa ai sabaa jis taraf hai phuul miraa ye bataa tu udhar gai hai kyaa ye jo din mein badal gai hai raat zulf teri sanvar gai hai kyaa tere maathe pe kyon pasina hai khvaab mein tu bhi Dar gai hai kyaa is tarah kyon udaas baiThe ho koi dil mein utar gai hai kyaa saari duniyaa ulaT gai meri tu idhar se udhar gai hai kyaa ye jo manzil hai paanv mein 'khaalid' justuju kaam kar gai hai kyaa"
خاک میری بکھر گئی ہے کیا آسماں تک نظر گئی ہے کیا کس لیے تم اداس پھرتے ہو دل سے دنیا اتر گئی ہے کیا اپنی مرضی سے در بدر ہوں میں تو بتا اپنے گھر گئی ہے کیا اے صبا جس طرف ہے پھول مرا یہ بتا تو ادھر گئی ہے کیا یہ جو دن میں بدل گئی ہے رات زلف تیری سنور گئی ہے کیا تیرے ماتھے پہ کیوں پسینہ ہے خواب میں تو بھی ڈر گئی ہے کیا اس طرح کیوں اداس بیٹھے ہو کوئی دل میں اتر گئی ہے کیا ساری دنیا الٹ گئی میری تو ادھر سے ادھر گئی ہے کیا یہ جو منزل ہے پاؤں میں خالدؔ جستجو کام کر گئی ہے کیا
ख़ाक मेरी बिखर गई है क्या आसमाँ तक नज़र गई है क्या किस लिए तुम उदास फिरते हो दिल से दुनिया उतर गई है क्या अपनी मर्ज़ी से दर-ब-दर हूँ मैं तू बता अपने घर गई है क्या ऐ सबा जिस तरफ़ है फूल मिरा ये बता तू उधर गई है क्या ये जो दिन में बदल गई है रात ज़ुल्फ़ तेरी सँवर गई है क्या तेरे माथे पे क्यों पसीना है ख़्वाब में तू भी डर गई है क्या इस तरह क्यों उदास बैठे हो कोई दिल में उतर गई है क्या सारी दुनिया उलट गई मेरी तू इधर से उधर गई है क्या ये जो मंज़िल है पाँव में 'ख़ालिद' जुस्तुजू काम कर गई है क्या

More by Khalid Sajjad
View all →"honTon ki hansi dard kaa darmaan to nahin hai meri hi tarah tu bhi pareshaan to nahin hai main tujh ko kabhi khud se alag kar nahin saktaa tu zid hai miri tu koi armaan to nahin hai kyaa jaaniye kyon dhuup nikal aai achaanak jo sar pe hai vo abr-e-gurezaan to nahin hai ai mujh pe umaD aae hue chaand bataa de ye chaandni ik raat ki mehmaan to nahin hai is baar tujhe saint ke siine mein rakhungaa tu dil hai tu ashk-e-sar-e-mizhgaan to nahin hai har ishq saliqe se kiyaa ham ne bhi 'khaalid' majnun ki tarah chaak-garebaan to nahin hai"
"ishq jab se azaab ho gayaa hai dil kaa khaana-kharaab ho gayaa hai mujh ko fursat nahin hai paDhne ki us kaa chehra kitaab ho gayaa hai puchh mat us ke lams kaa nashsha jism saaraa sharaab ho gayaa hai dhuup nikli hui hai chaaron taraf kaun ye be-hijaab ho gayaa hai apne hisse mein raat kyaa aai har koi aaftaab ho gayaa hai ishq jis se huaa mujhe 'khaalid' vo kali se gulaab ho gayaa hai"
"lahu mein jitni jaulaani rahegi safar mein utni aasaani rahegi mohabbat se gale milte hain yaaro kahaan nafrat pareshaani rahegi tujhe dekhe jo muddat ho gai hai nigaahon mein to viraani rahegi ai mere chaand gahnaaegaa tu bhi kahaan tak tujh mein taabaani rahegi"
"kaun ye aag liye roz yahaan aataa hai saans letaa huun to andar se dhuaan aataa hai ham ne to pyaas bujhaani hai faqat ashkon se dasht-e-hijraan se kahaan aab-e-ravaan aataa hai ye bhi kaafi hai ki vo yaad to kartaa hai mujhe koi milne ko bhalaa roz kahaan aataa hai hijr ik aisaa ilaaqa hai ki jis se aage girya-e-dil ke liye shahr-e-ziyaan aataa hai main tire jaane se naaraaz nahin huun ai dost peD jhaD jaate hain jab daur-e-khizaan aataa hai kaun si raah pe tu chhoD gayaa hai mujh ko khatm hotaa hai safar aur na makaan aataa hai is jagah kaise koi khvaab-e-mohabbat dekhe raat ke vaqt jahaan shor-e-sagaan aataa hai ye zamin is liye aabaad hai 'khaalid-sajjaad' ek dar hai ki jahaan saaraa jahaan aataa hai"
"apni ghazal ke taair-e-khun-naab ke liye kuchh zakhm le ke aayaa huun ahbaab ke liye phir yuun huaa ki daagh hi haathon mein rah gae rasta banaa rahaa thaa main mahtaab ke liye muddat se phir rahaa huun main baazaar-e-shauq mein ik lafz ki talaash hai aadaab ke liye khushbu shabaab husn ye dhoka hi ik sahi kuchh to bahaana chaahiye zahraab ke liye itni to aag dil mein hi jalti hai raat-din jis darja aag chaahiye zar-naab ke liye insaaniyat ke naam bhi kuchh kar ke dekhiye har kaam laazmi nahin surkhaab ke liye 'khaalid' haraa-bharaa vo rahe bhi to kis liye har phuul jis shajar kaa ho girdaab ke liye"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"