SHAWORDS

khaar-o-gul kaa faisla hone ko hai — Krishn Soni Nisha

"khaar-o-gul kaa faisla hone ko hai nazm-e-gulshan ab nayaa hone ko hai zakhm phir bharne ko aae hain nadim koi taaza haadsa hone ko hai khair-maqdam ki mire tayyaariyaan ab haram bhi mai-kada hone ko hai khairiyat guzre baruz-e-ehtisaab un kaa meraa saamnaa hone ko hai aashiyaan se duur TuTin bijliyaan ab 'nishaa' be-aasraa hone ko hai"
Urdu

خار و گل کا فیصلہ ہونے کو ہے نظم گلشن اب نیا ہونے کو ہے زخم پھر بھرنے کو آئے ہیں ندیم کوئی تازہ حادثہ ہونے کو ہے خیر مقدم کی مرے تیاریاں اب حرم بھی میکدہ ہونے کو ہے خیریت گزرے بروز احتساب ان کا میرا سامنا ہونے کو ہے آشیاں سے دور ٹوٹیں بجلیاں اب نشاؔ بے آسرا ہونے کو ہے

Hindi

ख़ार-ओ-गुल का फ़ैसला होने को है नज़्म-ए-गुलशन अब नया होने को है ज़ख़्म फिर भरने को आए हैं नदीम कोई ताज़ा हादसा होने को है ख़ैर-मक़्दम की मिरे तय्यारियाँ अब हरम भी मै-कदा होने को है ख़ैरियत गुज़रे बरूज़-ए-एहतिसाब उन का मेरा सामना होने को है आशियाँ से दूर टूटीं बिजलियाँ अब 'निशा' बे-आसरा होने को है

ḳhār-o-gul kā faisla hone ko hai
K
Krishn Soni Nisha
Krishn Soni Nisha
poet6 quotes

More by Krishn Soni Nisha

View all →
Quote
"'nishaa' ghabraa ke kaashaanon se viraanon mein aa pahunche bahaar aai to ahl-e-dil bayaabaanon mein aa pahunche hamaari kyaa khataa hai ye khataa dair-o-haram ki hai khudaa kaa ghar na raas aaya to mai-khaanon mein aa pahunche hamaari gumrahi aakhir hamein raste pe le aai khirad ke dasht-o-dar se chal ke insaanon mein aa pahunche gulon ki baaryaabi kaa sabab rang-o-lataafat hai ye kaanTe kis tarah aakhir gulistaanon mein aa pahunche qarin jab aa gai manzil to jaane kyaa hamein sujhi palaT kar az-sar-e-nau phir unhin raahon mein aa pahunche abhi hai duur faiz-e-sohbat-e-ikhlaas ki duniyaa jo mai-khvaaron tak aa jaae to insaanon mein aa pahunche na aataa thaa na aae vo kuchh aisi baat thi lekin ye kyaa kam hai dabe paanv mire sheron mein aa pahunche"
K
Krishn Soni Nisha
Quote
"ab koi chiiz baais-e-raahat nahin mujhe yuun zindagi se koi adaavat nahin mujhe rahtaa huun ajnabi saa gul-o-gulsitaan mein main rang-o-bahaar se koi raghbat nahin mujhe girti ho jis pe barq taDap kar na ham-nashin us aashiyaan se koi bhi nisbat nahin mujhe rah rah ke yaad aati hain teri navaazishein ai chashm-e-naaz tujh se shikaayat nahin mujhe letaa huun chhup ke naam tiraa hasraton se main phir se machal na jaaein ye hasrat nahin mujhe aadat si ho gai hai taDapne ki ai 'nishaa' koi bhi haadisa ho qayaamat nahin mujhe"
K
Krishn Soni Nisha
Quote
"chaman kaa zikr hi kyaa husn-e-laa-zavaal ke baad khayaal-e-khuld karein kyaa tire khayaal ke baad khabar nahin mujhe kyaa un ke qalb par guzri ki sharmsaar huaa huun main arz-e-haal ke baad na chhoD gardish-e-dauraan ab ek aalam par koi to haal ho meraa shikasta-haal ke baad kuchh aur ho na saki un se guftugu aage ki aa gae the vo sakte mein ik savaal ke baad nigaah-o-dil kaa hamaare bhi hai vahi aalam huaa jo tuur pe nazzaara-e-jamaal ke baad hain aks-e-paa-e-nigaaraan pe sajda-haa-e-mudaam uThaa hi karte hain dast-e-duaa hilaal ke baad vo aaj sarhad-e-lafz-o-bayaan se baahar hai 'nishaa' mujhe jo masarrat hui malaal ke baad"
K
Krishn Soni Nisha
Quote
"haasil dil-e-tabaah ko raahat kabhi na ho ham ko gham-e-firaaq se fursat kabhi na ho ab chaunktaa nahin huun tumhaare sitam pe main ye bhi hai kyaa maqaam ki hairat kabhi na ho gar haal-e-dil sunaaein to kis ko sunaaiye aisi to dushmanon ki bhi qismat kabhi na ho ghabraa ke haadsaat se daaman bachaa sake itni dil-e-tabaah ki jurat kabhi na ho ham muntazir hon aur gurezaan hon bijliyaan aisi nigaah-e-naaz qayaamat kabhi na ho qaaem rahe ye rabt gham-o-dard se 'nishaa' sochein agar mafar ki bhi surat kabhi na ho"
K
Krishn Soni Nisha
Quote
"main chalaa huun DhunDhtaa manzilein mujhe aashnaa ki talaash hai miri is jabin-e-niyaaz ko tire naqsh-e-paa ki talaash hai vo fazaa-e-ishq pe hai nazar jo vasia se ho vasia-tar abhi intihaa kaa hai zikr kyaa abhi ibtidaa ki talaash hai jo nisaar paa-e-hasin huaa jo ghubaar ban ke bhi uD chukaa rah-e-be-khudi mein mujhe usi dil-e-mubtalaa ki talaash hai sabhi rahmatein jo sameT le jo huaa na ho kisi aur se mujhe us gunaah ki hai justuju mujhe us khataa ki talaash hai main hi sar-ba-sajda rahaa karun main tavaaf-e-shauq kiyaa karun jo khudaa na ho kisi aur kaa mujhe us khudaa ki talaash hai abhi mai-kade se hain nisbatein abhi hain sukun ki kaavishein abhi khaam hai miraa soz-e-gham mujhe intihaa ki talaash hai ye bajaa ki husn ko naaz hai ye durust ishq ko fakhr hai jo saraapaa khud ho jalaa 'nishaa' mujhe us vafaa ki talaash hai"
K
Krishn Soni Nisha

More on Gul

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar