SHAWORDS

khud bhi sayyaad imtihaan mein hai — Aman Chandpuri

HomeAman ChandpuriGhazal
"khud bhi sayyaad imtihaan mein hai ek hi tiir ab kamaan mein hai dhuup ab aa gai munDeron par subh kaa shor mere kaan mein hai din miraa Dhal gayaa to gham kaisaa dhuup ab bhi bahut si lawn mein hai us ko mujh par yaqin nahin hotaa jaane vo kaun se gumaan mein hai aasmaan ki taraf hai us ki nazar jo bhi ab umr ki Dhalaan mein hain jo makin thaa kabhi mire dil kaa aaj-kal ghair ke makaan mein hai"
Urdu

خود بھی صیاد امتحان میں ہے ایک ہی تیر اب کمان میں ہے دھوپ اب آ گئی منڈیروں پر صبح کا شور میرے کان میں ہے دن مرا ڈھل گیا تو غم کیسا دھوپ اب بھی بہت سی لان میں ہے اس کو مجھ پر یقیں نہیں ہوتا جانے وہ کون سے گمان میں ہے آسماں کی طرف ہے اس کی نظر جو بھی اب عمر کی ڈھلان میں ہیں جو مکیں تھا کبھی مرے دل کا آج کل غیر کے مکان میں ہے

Hindi

ख़ुद भी सय्याद इम्तिहान में है एक ही तीर अब कमान में है धूप अब आ गई मुंडेरों पर सुब्ह का शोर मेरे कान में है दिन मिरा ढल गया तो ग़म कैसा धूप अब भी बहुत सी लॉन में है उस को मुझ पर यक़ीं नहीं होता जाने वो कौन से गुमान में है आसमाँ की तरफ़ है उस की नज़र जो भी अब उम्र की ढलान में हैं जो मकीं था कभी मिरे दिल का आज-कल ग़ैर के मकान में है

ḳhud bhī sayyād imtihān meñ hai
Aman Chandpuri
Aman Chandpuri
Aman Chandpuri
poet4 quotes

More by Aman Chandpuri

View all →
Quote
"kisi bhi sher mein achchhaa buraa kyaa bas itnaa dekhiye kis ne kahaa kyaa abhi insaan to ban paae nahin ho banoge aadmi se devtaa kyaa sitaaron mein ye kaisi khalbali hai falak par aa gayaa suraj nayaa kyaa kitaabon se use fursat nahin thi vo paDhtaa aap kaa chehra bhalaa kyaa tumhaari hi tarah ho jaaun yaani badal luun main bhi apnaa raasta kyaa taraqqi kar rahaa hai mulk be-shak taraqqi ne gharibon ko diyaa kyaa 'aman' ham to faqir-e-ishq Thahre faqiri mein khasaara faaeda kyaa"
Aman ChandpuriAman Chandpuri
Quote
"dasht mein pyaasi bhaTak kar tishnagi mar jaaegi ye huaa to ziist ki ummid bhi mar jaaegi rok sakte ho to roko mazhabi takraar ko khuun yuun bahtaa rahaa to ye sadi mar jaaegi phir usi kuche mein jaane ke liye machlaa hai dil phir usi kuche mein jaa kar be-khudi mar jaaegi bolnaa behad zaruri hai magar ye soch lo chikh jab hogi ayaan to khaamushi mar jaaegi nafraton ki tirgi phaili hui hai har taraf pyaar ke dipak jalein to tirgi mar jaaegi ranj-o-gham se raabta meraa na TuuTe ai khudaa yuun huaa to meri puuri shaairi mar jaaegi doston se be-rukhi achchhi nahin hoti 'aman' duriyaan zinda rahin to dosti mar jaaegi"
Aman ChandpuriAman Chandpuri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi