"jab bhi barsi azaab ki baarish raas aai sharaab ki baarish main ne puchhaa ki pyaar hai mujh se us ne kar di gulaab ki baarish main ne to ik savaal puchhaa thaa us ne kar di javaab ki baarish husn vaalon ke vaaste kar de ai khudaa tu hijaab ki baarish shaairi par yaqin hai barsegi ek din to khitaab ki baarish main ne ik jaam aur maangaa thaa us ne kar di hisaab ki baarish der tak saath bhige ham us ke ham ne yuun kaamyaab ki baarish pyaar se rok di 'ahad' main ne aaj us ke itaab ki baarish"
khudaa ki kaun si hai raah behtar jaantaa hai — Amit Ahad
"khudaa ki kaun si hai raah behtar jaantaa hai maza hai nekiyon mein kyaa qalandar jaantaa hai bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab mire zakhmon ki haalat ko rafugar jaantaa hai kisi se main nahin kahtaa magar meri gharibi miri divaaron kaa ukhDaa plastar jaantaa hai kabhi mandir kabhi masjid pe hai is kaa baseraa dharam insaaniyat kaa bas kabutar jaantaa hai sanam teri judaai mein kaTaa hai vaqt mushkil gine din hijr mein kitne calendar jaantaa hai kahin bhar peT roTi to kahin se haath khaali kisi ki kaisi hai niyyat gadaagar jaantaa hai main pyaasaa rah ke bhi minnat nahin kartaa kisi ki bahut khuddaar huun main ye samundar jaantaa hai kisi bhi vaqt ye mazlum kar deinge baghaavat sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaantaa hai rahein arthi se baahar haath us kaa qaul hai ye na kuchh bhi saath jaaegaa sikandar jaantaa hai tumhaari yaad mein raatein kaTi hain mushkilon se rahaa huun kitnaa main bechain bistar jaantaa hai na hogaa dusraa paidaa jahaan mein koi gaandhi bahut achchhi tarah se porbandar jaantaa hai yahaan hai bhiiD mein bhi kis qadar har shakhs tanhaa tumhaare shahr kaa har ek manzar jaantaa hai 'ahad' jiine ko to sab ji rahe hain is jahaan mein magar is ziist kaa matlab sukhanvar jaantaa hai"
خدا کی کون سی ہے راہ بہتر جانتا ہے مزہ ہے نیکیوں میں کیا قلندر جانتا ہے بہت ہمدرد ہیں میرے مگر انجان ہیں سب مرے زخموں کی حالت کو رفوگر جانتا ہے کسی سے میں نہیں کہتا مگر میری غریبی مری دیواروں کا اکھڑا پلستر جانتا ہے کبھی مندر کبھی مسجد پہ ہے اس کا بسیرا دھرم انسانیت کا بس کبوتر جانتا ہے صنم تیری جدائی میں کٹا ہے وقت مشکل گنے دن ہجر میں کتنے کلنڈر جانتا ہے کہیں بھر پیٹ روٹی تو کہیں سے ہاتھ خالی کسی کی کیسی ہے نیت گداگر جانتا ہے میں پیاسا رہ کے بھی منت نہیں کرتا کسی کی بہت خوددار ہوں میں یہ سمندر جانتا ہے کسی بھی وقت یہ مظلوم کر دیں گے بغاوت ستم کی ہو چکی ہے حد ستم گر جانتا ہے رہیں ارتھی سے باہر ہاتھ اس کا قول ہے یہ نہ کچھ بھی ساتھ جائے گا سکندر جانتا ہے تمہاری یاد میں راتیں کٹی ہیں مشکلوں سے رہا ہوں کتنا میں بے چین بستر جانتا ہے نہ ہوگا دوسرا پیدا جہاں میں کوئی گاندھی بہت اچھی طرح سے پوربندر جانتا ہے یہاں ہے بھیڑ میں بھی کس قدر ہر شخص تنہا تمہارے شہر کا ہر ایک منظر جانتا ہے احدؔ جینے کو تو سب جی رہے ہیں اس جہاں میں مگر اس زیست کا مطلب سخنور جانتا ہے
ख़ुदा की कौन सी है राह बेहतर जानता है मज़ा है नेकियों में क्या क़लंदर जानता है बहुत हमदर्द हैं मेरे मगर अंजान हैं सब मिरे ज़ख़्मों की हालत को रफ़ूगर जानता है किसी से मैं नहीं कहता मगर मेरी ग़रीबी मिरी दीवारों का उखड़ा प्लस्तर जानता है कभी मंदिर कभी मस्जिद पे है इस का बसेरा धरम इंसानियत का बस कबूतर जानता है सनम तेरी जुदाई में कटा है वक़्त मुश्किल गिने दिन हिज्र में कितने कैलेंडर जानता है कहीं भर पेट रोटी तो कहीं से हाथ ख़ाली किसी की कैसी है निय्यत गदागर जानता है मैं प्यासा रह के भी मिन्नत नहीं करता किसी की बहुत ख़ुद्दार हूँ मैं ये समुंदर जानता है किसी भी वक़्त ये मज़लूम कर देंगे बग़ावत सितम की हो चुकी है हद सितमगर जानता है रहें अर्थी से बाहर हाथ उस का क़ौल है ये न कुछ भी साथ जाएगा सिकंदर जानता है तुम्हारी याद में रातें कटी हैं मुश्किलों से रहा हूँ कितना मैं बेचैन बिस्तर जानता है न होगा दूसरा पैदा जहाँ में कोई गाँधी बहुत अच्छी तरह से पोरबंदर जानता है यहाँ है भीड़ में भी किस क़दर हर शख़्स तन्हा तुम्हारे शहर का हर एक मंज़र जानता है 'अहद' जीने को तो सब जी रहे हैं इस जहाँ में मगर इस ज़ीस्त का मतलब सुख़नवर जानता है

More by Amit Ahad
View all →"saath kis ko chaahiye ab dhuup kaa ThanD mein leinge maza sab dhuup kaa baT gae hain mazhabon mein sab yahaan koi batlaae to mazhab dhuup kaa mushkilon mein saath koi bhi nahin aaj samjhe ham to matlab dhuup kaa garm mausam se pareshaan sab hue jism ThanDaa kar de ai rab dhuup kaa chhaanv ghar se oDh kar niklaa karo kyaa pata mausam Dhale kab dhuup kaa paDh ke aaein phir nayaa koi sabaq khul gayaa hai dekho matlab dhuup kaa chhaanv tab haasil hui mujh ko 'ahad' tai kiyaa har din safar jab dhuup kaa"
"bhalaa-buraa vo khudaa karegaa gharib to bas duaa karegaa teri judaai ko yaad kar ke kai dafa dil bujhaa karegaa milaayaa hai jab khudaa ne ham ko to kaun ham ko judaa karegaa jiyeinge tere baghair bhi ham magar bahut dil dukhaa karegaa kabhi miloge ye soch kar dil hazaar sapne bunaa karegaa ye saansein tere baghair chup hain tire binaa dam ghuTaa karegaa 'ahad' vo khud ko fareb degaa jo vaqt ko an-sunaa karegaa"
"jo ishq mein guzaara lamha pasand aayaa aankhon mein bas gayaa jo chehra pasand aayaa yuun to safar kiyaa hai kitne hi raaston par lekin tire hi ghar kaa rasta pasand aayaa meri nigaah mein hai teri talaash baaqi meri divaangi ko sahraa pasand aayaa be-shak nibhaa na paae vaada kiyaa jo tum ne lekin sanam tumhaaraa vaada pasand aayaa uThti hai is liye bhi teri taraf nigaahein tere hasin rukh par chashma pasand aayaa ghusse mein lag rahi ho tum aur khub-surat dil ko bahut tumhaaraa nakhra pasand aayaa kuchh aur dekhne ki hasrat rahi na baaqi jab se sanam tumhaaraa chehra pasand aayaa ho jaaegi mukammal ab to ghazal yaqin hai tere hasin labon kaa misra pasand aayaa be-shak bahut shikaayat tujh ko hai is jahaan se phir bhi 'ahad' ye teraa lahja pasand aayaa"
"zindagi be-qaraar kaun kare khvaahishein be-shumaar kaun kare chhoD kar kaam ye mohabbat kaa khud ko be-rozgaar kaun kare jab vafaa hi nahin zamaane mein ishq sar par savaar kaun kare maut aai hai ziist ko lene maut se ab udhaar kaun kare haal jab puchhtaa nahin koi dard ko ishtihaar kaun kare tirgi mein adab ki duniyaa hai ab ye raushan dayaar kaun kare khaar hi khaar hain 'ahad' jis par raah vo ikhtiyaar kaun kare"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"