Quote
"zaaviya honTon kaa vo dilkash banaataa kis tarah ruuh zakhmida bahut thi muskuraataa kis tarah ungliyaan bhi quvvat-e-binaai rakhti hain bahut main kisi ke jism ko ye sach bataataa kis tarah kal mire bachche bhi aa sakte hain khushbu ke liye shahr-e-gul mein zahr ke kaanTe bichhaataa kis tarah fan ki daulat baDh gai to dil ke TukDe ho gae main samundar ban gayaa to ghar bachaataa kis tarah main huun ik patthar magar dast-e-hunar mein rah gayaa shish-mahlon ki hai qismat kyaa bataataa kis tarah"
