SHAWORDS

kis se dil bahlaaun main — Aazam Khursheed

"kis se dil bahlaaun main kis ke naaz uThaaun main niind bhari in aankhon mein khvaab kahaan se laaun main meri baatein teri hain kaun si baat chhupaaun main shahr ne puchhaa gaanv kaa us ko kyaa batlaaun main raah mein kaise der hui kis kis ko samjhaaun main sahraa sahraa baarish hai dhuup kidhar se laaun main"
Urdu

کس سے دل بہلاؤں میں کس کے ناز اٹھاؤں میں نیند بھری ان آنکھوں میں خواب کہاں سے لاؤں میں میری باتیں تیری ہیں کون سی بات چھپاؤں میں شہر نے پوچھا گاؤں کا اس کو کیا بتلاؤں میں راہ میں کیسے دیر ہوئی کس کس کو سمجھاؤں میں صحرا صحرا بارش ہے دھوپ کدھر سے لاؤں میں

Hindi

किस से दिल बहलाऊँ मैं किस के नाज़ उठाऊँ मैं नींद भरी इन आँखों में ख़्वाब कहाँ से लाऊँ मैं मेरी बातें तेरी हैं कौन सी बात छुपाऊँ मैं शहर ने पूछा गाँव का उस को क्या बतलाऊँ मैं राह में कैसे देर हुई किस किस को समझाऊँ मैं सहरा सहरा बारिश है धूप किधर से लाऊँ मैं

kis se dil bahlā.ūñ maiñ
A
Aazam Khursheed
Aazam Khursheed
poet5 quotes

More by Aazam Khursheed

View all →
Quote
"soch di hai javaab bhi de kuchh to yaarab hisaab bhi de qatra qatra sharaab barse thoDaa thoDaa azaab bhi de chaahaton ke to silsile hain mausamon kaa shabaab bhi de ik kinaaraa hai dusraa bhi paaniyon mein habaab bhi de jis ke kaanTe bhi mujh ko chumein koi aisaa gulaab bhi de dhuup hansti hai vaahime bhi tirgi de saraab bhi de aag basti kaa rahne vaalaa rang-e-gardish-e-sahaab bhi de lamhe-bhar mein hazaar khvaahish banda-parvar javaab bhi de mohabbaton kaa azaab jhelun nafraton kaa savaab bhi de teraa meraa hisaab kaisaa khvaab huun aur khvaab bhi de kun to meraa vajud hai huun lafz utrein khitaab bhi de main payambar nahin huun tauba aankh di hai kitaab bhi de main to apne tavaaf mein huun raah-e-khaana-kharaab bhi de"
A
Aazam Khursheed
Quote
"tere honTon pe sajaa hai kyaa hai teraa har rang du'aa hai kyaa hai tere aangan mein luTaa hai kyaa hai vo bhi baarish mein khulaa hai kyaa hai rang chaDhte hain utar jaate hain mausam-e-hijr pata hai kyaa hai log alfaaz badal lete hain aur chehron pe likhaa hai kyaa hai apni barbaad nigaahi ke sitam ek dar aur khulaa hai kyaa hai mere haathon ki lakiron pe na jaa tu ne khud hi to likhaa hai kyaa hai khud se miltaa huun bichhaD jaataa huun khvaab zanjir huaa hai kyaa hai naddiyaan khushk hui jaati hain koi us paar khaDaa hai kyaa hai meri aankhon se qayaamat barse jo bhi kuchh tu ne diyaa hai kyaa hai apne vaqton ki zabaan boltaa huun phir ye baazaar lagaa hai kyaa hai meri basti mein udaasi kaisi shahr ki samt chalaa hai kyaa hai kitni khush-posh fazaa hai 'khurshid' teri aankhon kaa nasha hai kyaa hai"
A
Aazam Khursheed

More on Dil

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer