Quote
"apne hi ghar ke fard agar dushmani karein kis aasare pe ham ye basar zindagi karein yaaro qadam qadam pe andhere hain hukmraan suraj kidhar ugaaein kahaan raushni karein laDvaa rahe hain raam ko jo bhi rahim se in mazhabi khudaaon se kyaa dosti karein ai dosto tanaav mein jiinaa haraam hai had se baDhein jo zulm to ham sar-kashi karein aaraam ke vasile to laakhon jahaan mein hain dil kaa sukun chaahiye to bandagi karein kitnaa aziim dars rasul-e-khudaa kaa hai dushman se bhi milaap karein aashti karein zulmat ye vo nahin hai jo suraj se duur ho apnaa hi dil jalaa ke chalo raushni karein ghuT hi na jaae dam kahin dil ke ghubaar se 'anvaar' zinda rahnaa hai to shaairi karein"
