"luTi bahaar kaa sukhaa gulaab rahne do hamaari aankhon mein koi to khvaab rahne do nae sire se chalo koi ahd karte hain vafaa jafaa kaa puraanaa hisaab rahne do tamaam-umr guzaari hai in dayaaron mein khulus hogaa yahaan dastiyaab rahne do khumaar utraa nahin hai abhi to ashkon kaa abhi ye saaghar-o-minaa sharaab rahne do uThaae phirte ho kyaa shahr-e-be-basirat mein kise dikhaaoge dil ki kitaab rahne do abhi to ham pe puraane hi qarz baaqi hain savaal kar ke na kahiye javaab rahne do giraa zarur hai lekin miraa nahin 'aslam' takallufaat muravvat janaab rahne do"
kisi ki yaad kaa saayaa thaa yaa ki jhonkaa thaa — Aslam Habeeb
"kisi ki yaad kaa saayaa thaa yaa ki jhonkaa thaa mire qarib se ho kar koi to guzraa thaa ajab tilism thaa us shahr mein bhi ai logo palak jhapakte hi apnaa jo thaa paraayaa thaa mujhe khabar ho jo apni to tum ko likh bhejun abhi to DhunD rahaa huun vo ghar jo meraa thaa kisi ne muD ke na dekhaa kisi ne daad na di lahuluhaan labon par mire bhi naghma thaa main bach ke jaataa to kis samt kis jagah ki mujhe kahin zamin ne kahin aasmaan ne gheraa thaa zaraa pukaar ke dekhun na un dayaaron mein miraa khayaal hai ik shakhs meraa apnaa thaa mahak lahu ki thi yaa tere pairahan ki thi mire badan se hayulaa saa ek lipTaa thaa udaas ghaDiyo zaraa ye pata to de jaao kahaan gayaa vo khushi kaa jo ek lamha thaa"
کسی کی یاد کا سایا تھا یا کہ جھونکا تھا مرے قریب سے ہو کر کوئی تو گزرا تھا عجب طلسم تھا اس شہر میں بھی اے لوگو پلک جھپکتے ہی اپنا جو تھا پرایا تھا مجھے خبر ہو جو اپنی تو تم کو لکھ بھیجوں ابھی تو ڈھونڈ رہا ہوں وہ گھر جو میرا تھا کسی نے مڑ کے نہ دیکھا کسی نے داد نہ دی لہولہان لبوں پر مرے بھی نغمہ تھا میں بچ کے جاتا تو کس سمت کس جگہ کہ مجھے کہیں زمیں نے کہیں آسماں نے گھیرا تھا ذرا پکار کے دیکھوں نہ ان دیاروں میں مرا خیال ہے اک شخص میرا اپنا تھا مہک لہو کی تھی یا تیرے پیرہن کی تھی مرے بدن سے ہیولیٰ سا ایک لپٹا تھا اداس گھڑیو ذرا یہ پتہ تو دے جاؤ کہاں گیا وہ خوشی کا جو ایک لمحہ تھا
किसी की याद का साया था या कि झोंका था मिरे क़रीब से हो कर कोई तो गुज़रा था अजब तिलिस्म था उस शहर में भी ऐ लोगो पलक झपकते ही अपना जो था पराया था मुझे ख़बर हो जो अपनी तो तुम को लिख भेजूँ अभी तो ढूँड रहा हूँ वो घर जो मेरा था किसी ने मुड़ के न देखा किसी ने दाद न दी लहूलुहान लबों पर मिरे भी नग़्मा था मैं बच के जाता तो किस सम्त किस जगह कि मुझे कहीं ज़मीं ने कहीं आसमाँ ने घेरा था ज़रा पुकार के देखूँ न उन दयारों में मिरा ख़याल है इक शख़्स मेरा अपना था महक लहू की थी या तेरे पैरहन की थी मिरे बदन से हयूला सा एक लिपटा था उदास घड़ियो ज़रा ये पता तो दे जाओ कहाँ गया वो ख़ुशी का जो एक लम्हा था

More by Aslam Habeeb
View all →"ziist ki dhuup se yuun bach ke nikaltaa kyuun hai tu jo suraj hai to phir saae mein chaltaa kyuun hai tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise tu samundar hai to phir aag mein jaltaa kyuun hai mere chehre mein jo shaaista-nazar aataa hai meri shiryaanon mein vo shakhs ubaltaa kyuun hai kal tumhin ne use ye pyaala diyaa thaa yaaro mo'tariz kyuun ho ki vo zahr ugaltaa kyuun hai meri saanson mein sisakne ki sadaa aati hai ek marghaT saa mire siine mein jaltaa kyuun hai jaane kin zarron se us khuun ki shanaasaai hai paanv us moD pe hi aa ke phisaltaa kyuun hai mahfil-e-laghv se tahzib ne kyaa lenaa hai aise shorida-saron mein tu sanbhaltaa kyuun hai"
"subuk saa dard thaa uThtaa rahaa jo zakhmon se to ham bhi karte rahe chheD-chhaaD ashkon se sabhi ko zakhm-e-tamannaa dikhaa ke dekh liye khudaa se daad mili aur na us ke bandon se dhuaan saa uThne lagaa fikr-o-fan ke aivaan mein lahu ki baas si aane lagi hai sheron se ab in se dekhiye kab manzilein huvaidaa hon uThaa ke laayaa huun kuchh naqsh teri raahon se bilak rahaa hai nigaahon mein hasraton kaa hujum laTak rahi hain patangein udaas khambon se ab aur kis se tire gham kaa tazkira karte tamaam-raat rahi guftugu sitaaron se bas ek jast mein aflaak se nikal jaaun phalaang jaaun zamin ko main chaar qadmon se"
"kaT gaiin saari patangein Dor se chalti hain kaise havaaein zor se bevafaa saare parinde ho gae dosti apni bhi thi ik mor se chand jazbe jang mein mashghul the raat-bhar main so na paayaa shor se aakhirash suraj uDaa ke le gae bhiik kab tak maangte ham bhor se ik na ik din sard jhonke aaeinge raabta rakhiye ghaTaa-ghanghor se qabr pe aansu bahaa ke aae hain baagh mein milne gae the mor se main ye samjhaa thaa qayaamat aa gai aadmi chikhaa thaa itni zor se"
"aankh ko ashk banaa ke dekh phir darshan ko jaa ke dekh manzil ki qimat mat puchh raah mein dhakke khaa ke dekh patthar bhi khil uTTheinge ek nazar muskaa ke dekh kaaba kaashi dekh liye mere bhi ghar aa ke dekh duniyaa meri muTThi mein logon ko bahkaa ke dekh andhiyaaron ko jot banaa khaamoshi ko gaa ke dekh kab tak puujaa ghairon ki khud pe imaan laa ke dekh"
"zakhmon kaa byopaari hai achchhi saahu-kaari hai bojhal bojhal palkon par raat abhi tak taari hai bas ik patthar jhuggi kaa shish-mahal par bhaari hai saanp Dase ik umr hui nashsha ab tak taari hai chand kahin ye fashion hai chand kahin bad-kaari hai amn-e-aalam ki khaatir jang yugon se jaari hai main hi 'aslam' sachchaa huun jhuTi duniyaa saari hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"