Quote
"gham-e-hayaat mein koi kami nahin aai nazar-fareb thi teri jamaal-aaraai vo daastaan jo tiri dilkashi ne chheDi thi hazaar baar miri saadgi ne dohraai fasaane aam sahi meri chashm-e-hairaan ke tamaashaa bante rahe hain yahaan tamaashaai tiri vafaa tiri majburiyaan bajaa lekin ye sozish-e-gham-e-hijraan ye sard tanhaai kisi ke husn-e-tamannaa kaa paas hai varna mujhe khayaal-e-jahaan hai na khauf-e-rusvaai main sochtaa huun zamaane kaa haal kyaa hogaa agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhaai kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai"
