"mujh pe itnaa karam kare koi kuchh sukun bhi baham kare koi apni aankhon ko nam kare koi mere marne kaa gham kare koi dard siine kaa kam kare koi apni saanson se dam kare koi dil mein jalti hai aatish-e-ehsaas sukh ki shabnam baham kare koi"
koi na samjhe chaah kaa matlab koi na jaane priit — Asghar Ali Tabassum
"koi na samjhe chaah kaa matlab koi na jaane priit kaun kisi ke dard ko jaane kaun kisi kaa miit koi nahin hai dil kaa mahram koi nahin gham-khvaar aaj sunaaein kis ko ai dil dard bhare ye giit aankh se aansu bahein hamaare dil mein aag jale ik anjaan ko kar baiThe hain jis din se ham miit main huun bhulaa bhaTkaa raahi manzil meri duur jaane is tufaani khel mein haar mile yaa jiit aag mohabbat ki jis dil mein jal uTThe ik baar saari umr 'tabassum' us ki ro ro jaae biit"
کوئی نہ سمجھے چاہ کا مطلب کوئی نہ جانے پریت کون کسی کے درد کو جانے کون کسی کا میت کوئی نہیں ہے دل کا محرم کوئی نہیں غم خوار آج سنائیں کس کو اے دل درد بھرے یہ گیت آنکھ سے آنسو بہیں ہمارے دل میں آگ جلے اک انجان کو کر بیٹھے ہیں جس دن سے ہم میت میں ہوں بھولا بھٹکا راہی منزل میری دور جانے اس طوفانی کھیل میں ہار ملے یا جیت آگ محبت کی جس دل میں جل اٹھے اک بار ساری عمر تبسمؔ اس کی رو رو جائے بیت
कोई न समझे चाह का मतलब कोई न जाने प्रीत कौन किसी के दर्द को जाने कौन किसी का मीत कोई नहीं है दिल का महरम कोई नहीं ग़म-ख़्वार आज सुनाएँ किस को ऐ दिल दर्द भरे ये गीत आँख से आँसू बहें हमारे दिल में आग जले इक अंजान को कर बैठे हैं जिस दिन से हम मीत मैं हूँ भूला भटका राही मंज़िल मेरी दूर जाने इस तूफ़ानी खेल में हार मिले या जीत आग मोहब्बत की जिस दिल में जल उट्ठे इक बार सारी उम्र 'तबस्सुम' उस की रो रो जाए बीत

More by Asghar Ali Tabassum
View all →"aarzuein sabhi shabaab ke saath saari raunaq dil-e-kharaab ke saath kis ko hai taab husn-e-jaanaan ki kaun chaltaa hai aaftaab ke saath us ko ummid-e-sim-o-zar hai aur main faqat sheron ki kitaab ke saath mujh se bichhDo to sochnaa ye bhi khaar bhi hote hain gulaab ke saath ruuh ke saath ziist kaa rishta jaise tufaan rahe habaab ke saath kuchh na puchho shabaab kaa aalam muddaton ham chale saraab ke saath mujh ko dil se nahin gila koi khuub guzri dil-e-kharaab ke saath"
"maail-e-raqs-e-sharar baiThe hain kar ke tufaan pe nazar baiThe hain vo jo baa-dida-e-tar baiThe hain ranj-o-aalaam se Dar baiThe hain ab to jal jaanaa hi hogaa behtar dosti shama se kar baiThe hain dard ki raat kaThin hai lekin le ke ummid-e-sahar baiThe hain gham ke tufaan ko sadaf mein tan kar ham ba-andaaz-e-guhar baiThe hain zindagi Dhaal bane yaa na bane maut se sina-sipar baiThe hain"
"jurat hai to tufaan se guzar kyon nahin jaate zinda nahin ehsaas to mar kyon nahin jaate gesu tire lahraa ke bikhar kyon nahin jaate dil mein tire andaaz utar kyon nahin jaate main gosha-e-tanhaai mein sustaa luun zaraa saa kuchh der ko aalaam Thahar kyon nahin jaate siine mein machalte hue jazbaat ke dhaare ashaar ke qaalib mein utar kyon nahin jaate kis soch mein gum baiThe ho raahon mein 'tabassum' viraan sahi apnaa to hai ghar kyon nahin jaate"
"dil mein hazaar hasratein pinhaan kiye hue jiite hain taar taar garebaan kiye hue ai rifat-e-hayaat tiri justuju mein ham phirte hain zakhm zakhm charaaghaan kiye hue ai dost ham ne dard ki raatein guzaar diin palkon pe aansuon kaa charaaghaan kiye hue ham vo hain rif'aton ki tamannaa mein 'umr bhar rahte hain haadsaat ko mehmaan kiye hue kah do kali kali se khile ab chaman chaman ham aa gae hain azm-e-bahaaraan kiye hue"
"rukhsat hui bahaar nazaare chale gae daaman tiraa chhinaa ki sahaare chale gae aaya na lab pe harf-e-shikaayat bhi bhuul ke jaise bhi apni guzri guzaare chale gae sab kuchh luTaayaa phir bhi tujhe paa sake na ham baazi har ek gaam pe haare chale gae siine mein soz aankh mein aansu liye hue mahfil se teri dard ke maare chale gae hans hans ke ham ne zulm sahe hain tire liye mar mar ke bhi tujhi ko pukaare chale gae maujon se ai 'tabassum' abhi aur khel le kashti se teri duur kinaare chale gae"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"