SHAWORDS

koi nahin hai intizaar subh-e-visaal ke sivaa — Arshad Lateef

HomeArshad LateefGhazal
"koi nahin hai intizaar subh-e-visaal ke sivaa koi talab nahin mujhe tere jamaal ke sivaa kis ke savaal par ye dil rotaa hai saari saari raat kaun habib hai miraa tere khayaal ke sivaa koi nahin jo ruuh par aisaa bhalaa asar kare nashshe tamaam hain vajud teri misaal ke sivaa chashma-e-khvaab se mujhe donon jahaan ataa hue kuchh bhi nahin hai mere paas rakht-e-maaal ke sivaa aao havaa ke vaaste mil ke sabhi duaa karein rasta koi dikhaai de surat-e-haal ke sivaa"
Urdu

کوئی نہیں ہے انتظار صبح وصال کے سوا کوئی طلب نہیں مجھے تیرے جمال کے سوا کس کے سوال پر یہ دل روتا ہے ساری ساری رات کون حبیب ہے مرا تیرے خیال کے سوا کوئی نہیں جو روح پر ایسا بھلا اثر کرے نشے تمام ہیں وجود تیری مثال کے سوا چشمۂ خواب سے مجھے دونوں جہاں عطا ہوئے کچھ بھی نہیں ہے میرے پاس رخت مآل کے سوا آؤ ہوا کے واسطے مل کے سبھی دعا کریں رستہ کوئی دکھائی دے صورت حال کے سوا

Hindi

कोई नहीं है इंतिज़ार सुब्ह-ए-विसाल के सिवा कोई तलब नहीं मुझे तेरे जमाल के सिवा किस के सवाल पर ये दिल रोता है सारी सारी रात कौन हबीब है मिरा तेरे ख़याल के सिवा कोई नहीं जो रूह पर ऐसा भला असर करे नश्शे तमाम हैं वजूद तेरी मिसाल के सिवा चश्मा-ए-ख़्वाब से मुझे दोनों जहाँ अता हुए कुछ भी नहीं है मेरे पास रख़्त-ए-मआल के सिवा आओ हवा के वास्ते मिल के सभी दुआ करें रस्ता कोई दिखाई दे सूरत-ए-हाल के सिवा

koī nahīñ hai intizār sub.h-e-visāl ke sivā
Arshad Lateef
Arshad Lateef
Arshad Lateef
poet16 quotes

More by Arshad Lateef

View all →
Quote
"tire khayaal se phir aankh meri pur-nam hai ki gham ziyaada hai aur hausla miraa kam hai baqaa ke vaaste sadiyon se jang jaari hai fanaa ke shor-sharaabe se naak mein dam hai nahin to kab kaa mukammal main ho chukaa hotaa jise main apnaa samajhtaa huun us mein kuchh kam hai ajiib daur hai ye daur mary mushkil kaa savaal mein hai na koi javaab mein dam hai main jis ko DhunD rahaa huun kai zamaanon se mujhe ho ilm ki vo meri zaat mein zam hai namaaz paDhtaa huun aur us ko yaad kartaa huun mire khayaal mein ik paanchvaan bhi mausam hai"
Arshad LateefArshad Lateef
Quote
"mohabbat sirf ik jazba nahin hai nazar aataa hai jo vaisaa nahin hai sabhi taabir us ki likh rahe hain kisi ne bhi use dekhaa nahin hai kisi khaai mein vo bhi jaa giraa hai jo teri raah se guzraa nahin hai na kar siine ke aatish-daan ThanDe bujhaa dil phir kabhi jaltaa nahin hai chalo baahar se ho kar lauT aaein kai din se koi aayaa nahin hai nazar mahtaab se Takraa gai hai to kyaa aage koi rasta nahin hai khalaa kaa masala hi mukhtalif hai samundar is qadar gahraa nahin hai qayaamat aa rahi hai jaa rahi hai magar ye aasmaan TuuTaa nahin hai"
Arshad LateefArshad Lateef

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud