"kahaan main abhi tak nazar aa sakaa huun khudaa jaane kitni tahon mein chhupaa huun ye kis ne sadaa di mujhe zindagi ne magar main to sadiyaan huiin mar chukaa huun ye kah kar to manzil ne dil toD Daalaa jahaan se chalaa thaa vahi marhala huun ye dilchasp vaade ye rangin dilaase ajab saazishein hain kahaan aa gayaa huun tiraa qurb haasil huaa bhi to kyaa hai vahi faasla thaa vahi faasla huun"
kyaa bataaun ki ab khudaa kyaa hai — Dil Ayubi
"kyaa bataaun ki ab khudaa kyaa hai aaine mein ye dusraa kyaa hai sar se paa tak miri nigaah mein ho munh chhupaane se faaeda kyaa hai muskuraataa hai jaan le kar bhi ab khudaa jaane chaahtaa kyaa hai daav-e-ishq ham to kar baiThe tu sunaa teraa faisla kyaa hai hai bahut kuchh abhi to parde mein dekhtaa jaa abhi huaa kyaa hai ilm bhi ik hijaab hai naadaan jaantaa hai to jaantaa kyaa hai vo khudaa ho ki naakhudaa ai 'dil' Dubnaa hai to sochtaa kyaa hai"
کیا بتاؤں کہ اب خدا کیا ہے آئنے میں یہ دوسرا کیا ہے سر سے پا تک مری نگاہ میں ہو منہ چھپانے سے فائدہ کیا ہے مسکراتا ہے جان لے کر بھی اب خدا جانے چاہتا کیا ہے دعویٔ عشق ہم تو کر بیٹھے تو سنا تیرا فیصلہ کیا ہے ہے بہت کچھ ابھی تو پردے میں دیکھتا جا ابھی ہوا کیا ہے علم بھی اک حجاب ہے ناداں جانتا ہے تو جانتا کیا ہے وہ خدا ہو کہ ناخدا اے دلؔ ڈوبنا ہے تو سوچتا کیا ہے
क्या बताऊँ कि अब ख़ुदा क्या है आइने में ये दूसरा क्या है सर से पा तक मिरी निगाह में हो मुँह छुपाने से फ़ाएदा क्या है मुस्कुराता है जान ले कर भी अब ख़ुदा जाने चाहता क्या है दा'वा-ए-इश्क़ हम तो कर बैठे तू सुना तेरा फ़ैसला क्या है है बहुत कुछ अभी तो पर्दे में देखता जा अभी हुआ क्या है इल्म भी इक हिजाब है नादाँ जानता है तो जानता क्या है वो ख़ुदा हो कि नाख़ुदा ऐ 'दिल' डूबना है तो सोचता क्या है

More by Dil Ayubi
View all →"naqd-e-dil hai ki garebaan ke har taar mein hai hausla ab bhi bahut tere kharidaar mein hai yaan koi shoala-ba-jaan aur bhi Thahraa hogaa kis qayaamat ki tapish saaya-e-divaar mein hai kitnaa miltaa hai mire qalb ki kaifiyyat se ye jo hangaama tire kucha-o-baazaar mein hai zakhm ehsaas ko jo zahr haraa hi rakkhe tegh-e-aahan mein nahin baat ki talvaar mein hai saare gulshan ko jalaane ke liye kaafi hai ek shoala jo dil murgh-e-giraftaar mein hai zaamin nashv-o-numaa-e-gul-e-tar hai ai 'dil' dard-mandi ki khalish si jo dil-e-khaar mein hai"
"saare nuqush jis pe tire aashiyaan ke hain dair-o-haram ghubaar usi kaarvaan ke hain vaadi-e-kohsaar-o-bayaabaan-o-gulsitaan ajzaa-e-rang-rang miri daastaan ke hain har chand ku-e-yaar bahut faasle pe hai badle hue abhi se mizaaj aasmaan ke hain hamdam hansi uDaa na dil-e-daagh-daagh ki tohfe diye hue ye kisi mehrbaan ke hain hon zehn ke dariche agar vaa to dekh le parvarda sab yaqin mire husn-e-gumaan ke hain kyaa dushmanon ki kijiye ai 'dil' shikaayatein maare hue to ham karam-e-dostaan ke hain"
"phir marhala-e-khvaab-e-bahaaraan se guzar jaa mausam hai suhaanaa to garebaan se guzar jaa shishe ke makaan aur nazar ke mutahammil divaana na ban shahr-e-nigaaraan se guzar jaa sab qatl ke asbaab baham hain sar-e-maqtal aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar jaa phir deinge vahi mashvara-e-tark-e-mohabbat ahbaab-numaa halqa-e-yaaraan se guzar jaa kuchh duur nahin manzil-e-maqsud-e-tamannaa ik faasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar jaa ai 'dil' inhein idraak kahaan namratiyon kaa jo kahte hain pal bhar mein bayaabaan se guzar jaa"
"'aql hairaan hai vo manzar nazar aataa hai mujhe aaina dil kaa sikandar nazar aataa hai mujhe log kyaa dekh sakeinge vo khuli aankhon se band aankhon pe jo manzar nazar aataa hai mujhe vo bhi 'aalam hai tiri bazm kaa taa-hadd-e-nazar jo tiri bazm se uTh kar nazar aataa hai mujhe ik kashish si jo ye maujud har ik shakl mein hai tu hi kyaa ruup badal kar nazar aataa hai mujhe aalam-e-khvaab ho yaa haalat-e-bedaari ho ek chehra hai jo aksar nazar aataa hai mujhe uns kyunkar na ho ai dil mujhe viraanon se har kharaabe mein miraa ghar nazar aataa hai mujhe"
"kitne hue hain khuun yahaan ik usuul ke aaeinge ab na shahr-e-tamannaa mein bhuul ke saari musaafirat ki thakan duur ho gai pesh aae kitne pyaar se kaanTe babul ke chehre hue jo gard to aaina ban gae kyaa turfa moajizaat the sahraa ki dhuul ke kitnaa hasin thaa jurm-e-gham-e-dil ki do-jahaan dar pe hain aaj tak mire rang-e-qubul ke naazaan hai zindagi miri ab un ki maut par jo log rah gae tiri baahon mein jhuul ke aane ko thi bas aakhiri hichki mariz ko qurbaan jaaiye tiri shaan-e-nuzul ke ai 'dil' ye haal ishq mein hogaa khabar na thi pachhtaae ham to rog lagaa kar fuzul ke"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"