SHAWORDS

kyaa kahiye ru-e-husn pe aalam naqaab kaa — Andaleeb Shadani

"kyaa kahiye ru-e-husn pe aalam naqaab kaa munh par liyaa hai mahr ne daaman sahaab kaa tasvir main ne maangi thi shokhi to dekhiye ik phuul us ne bhej diyaa hai gulaab kaa ab kyaa sunaaein TuuTe hue dil ki daastaan aahang be-maza hai shikasta raubaab kaa itne fareb khaae hain dil ne ki ab mujhe hotaa hai ju-e-aab pe dhokaa saraab kaa tum chaandni ho phuul ho naghma ho sher ho allaah-re husn-e-zauq mire intikhaab kaa allaah bolte nahin to muskuraa hi do main kab se muntazir huun tumhaare javaab kaa sab vaaqiaat hain magar allaah-re inqalaab aaj un pe hai gumaan kasi rangin khvaab kaa"
Urdu

کیا کہیے روئے حسن پہ عالم نقاب کا منہ پر لیا ہے مہر نے دامن سحاب کا تصویر میں نے مانگی تھی شوخی تو دیکھیے اک پھول اس نے بھیج دیا ہے گلاب کا اب کیا سنائیں ٹوٹے ہوئے دل کی داستاں آہنگ بے مزہ ہے شکستہ رباب کا اتنے فریب کھائے ہیں دل نے کہ اب مجھے ہوتا ہے جوئے آب پہ دھوکا سراب کا تم چاندنی ہو پھول ہو نغمہ ہو شعر ہو اللہ رے حسن ذوق مرے انتخاب کا اللہ بولتے نہیں تو مسکرا ہی دو میں کب سے منتظر ہوں تمہارے جواب کا سب واقعات ہیں مگر اللہ رے انقلاب آج ان پہ ہے گماں کسی رنگین خواب کا

Hindi

क्या कहिए रू-ए-हुस्न पे आलम नक़ाब का मुँह पर लिया है महर ने दामन सहाब का तस्वीर मैं ने माँगी थी शोख़ी तो देखिए इक फूल उस ने भेज दिया है गुलाब का अब क्या सुनाएँ टूटे हुए दिल की दास्ताँ आहंग बे-मज़ा है शिकस्ता रुबाब का इतने फ़रेब खाए हैं दिल ने कि अब मुझे होता है जू-ए-आब पे धोका सराब का तुम चाँदनी हो फूल हो नग़्मा हो शेर हो अल्लाह-रे हुस्न-ए-ज़ौक़ मिरे इंतिख़ाब का अल्लाह बोलते नहीं तो मुस्कुरा ही दो मैं कब से मुंतज़िर हूँ तुम्हारे जवाब का सब वाक़िआत हैं मगर अल्लाह-रे इंक़लाब आज उन पे है गुमाँ कसी रंगीन ख़्वाब का

kyā kahiye rū-e-husn pe aalam naqāb kā
Andaleeb Shadani
Andaleeb Shadani
Andaleeb Shadani
poet15 quotes

More by Andaleeb Shadani

View all →
Quote
"mujhe ilzaam na de tark-e-shakebaai kaa mujh se poshida hai aalam tiri raanaai kaa maana-e-jalvagari khauf hai rusvaai kaa bas usi par tumhein daavaa hai zulekhaai kaa kyaa kahun gar use eajaaz-e-mohabbat na kahun husn khud mahv-e-tamaashaa hai tamaashaai kaa ashk jo aankh se baahar nahin aane paataa aaina hai mire jazbaat ki gahraai kaa tere aaghosh mein kyaa jaaniye kyaa aalam ho dil dhaDaktaa hai tasavvur se tamannaai kaa shikan-e-bistar-o-namnaaki-e-baarish hain gavaah puchh lo un se fasaana shab-e-tanhaai kaa kashish-e-badr se chaDhtaa huaa dariyaa dekhaa allaah allaah vo aalam tiri angDaai kaa"
Andaleeb ShadaniAndaleeb Shadani
Quote
"jahaan ahd-e-tamannaa khatm ho jaae azaab-e-jaavedaani zindagi hai rulaati hai mujhe kyuun chaandni raat yahi ik raaz meri zindagi hai khalish ho dard ho kaahish ho kuchh ho faqat jiinaa bhi koi zindagi hai halaak-anjaam takmil-e-tamannaa baqaa-e-aarzu hi zindagi hai jigar mein Tiis lab hansne pe majbur kuchh aisi hi hamaari zindagi hai vo chaahe jis qadar bhi mukhtasar ho mohabbat ki javaani zindagi hai umidein mar chukin main ji rahaa huun ajab be-ikhtiyaari zindagi hai javaani aur hangaamon se khaali ye jiinaa hai ye koi zindagi hai guzaari thiin khushi ki chand ghaDiyaan unhin ki yaad meri zindagi hai mohabbat donon jaanib se mohabbat na puchho aah kaisi zindagi hai"
Andaleeb ShadaniAndaleeb Shadani
Quote
"hansti aankhein hanstaa chehra ik majbur bahaana hai chaand mein sach-much nuur kahaan hai chaand to ik viraana hai naaz parastish ban jaaegaa sabr zaraa ai shorish-e-dil ulfat ki divaana-gari se husn abhi begaana hai mujh ko tanhaa chhoDne vaale tu na kahin tanhaa rah jaae jis par tujh ko naaz hai utnaa us kaa naam zamaana hai tum se mujh ko shikva kyuun ho aakhir baasi phulon ko kaun gale kaa haar banaae kaun aisaa divaana hai ek nazar mein duniyaa bhar se ek nazar mein kuchh bhi nahin chaahat mein andaaz nazar hi chaahat kaa paimaana hai khud tum ne aaghaaz kiyaa thaa jis kaa ek tabassum se mahrumi ke aansu ban kar khatm pe vo afsaana hai yuun hai us ki bazm-e-tarab mein ik dil gham-dida jaise chaaron jaanib rang-mahal hain beach mein ik viraana hai"
Andaleeb ShadaniAndaleeb Shadani
Quote
"der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to aas ne dil kaa saath na chhoDaa vaise ham ghabraae to shafaq dhanak mahtaab ghaTaaein taare naghme bijli phuul is daaman mein kyaa kyaa kuchh hai daaman haath mein aae to chaahat ke badle mein ham to bech dein apni marzi tak koi mile to dil kaa gaahak koi hamein apnaae to kyuun ye mehr-angez tabassum madd-e-nazar jab kuchh bhi nahin haae koi anjaan agar is dhoke mein aa jaae to suni-sunaai baat nahin ye apne uupar biiti hai phuul nikalte hain shoalon se chaahat aag lagaae to jhuuT hai sab taarikh hamesha apne ko dohraati hai achchhaa meraa khvaab-e-javaani thoDaa saa dohraae to naadaani aur majburi mein yaaro kuchh to farq karo ik be-bas insaan kare kyaa TuuT ke dil aa jaae to"
Andaleeb ShadaniAndaleeb Shadani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil