SHAWORDS

kyon ye husn-e-nazar diyaa tu ne — Azeemullah Khan Waqar

"kyon ye husn-e-nazar diyaa tu ne vaqf-e-aalaam kar diyaa tu ne mundamil jo kabhi na ho paae aisaa zakhm-e-jigar diyaa tu ne kaun mansur jo chaDhe suuli yuun to sab ko jigar diyaa tu ne Dubti nabz karb sannaaTe aur hukm-e-safar diyaa tu ne zindagi chhaanv ko tarasti hai kaisaa jaltaa safar diyaa tu ne taaj bante hi haath kaTte hain kaisaa dast-e-hunar diyaa tu ne is jahaan kaa har ek gham laa kar mere daaman mein bhar diyaa tu ne sab ke haathon mein de diye patthar mujh ko shishe kaa ghar diyaa tu ne jis ne mujh ko vaqaar bakhshaa hai vo gham-e-mo'tabar diyaa tu ne"
Urdu

کیوں یہ حسن نظر دیا تو نے وقف آلام کر دیا تو نے مندمل جو کبھی نہ ہو پائے ایسا زخم جگر دیا تو نے کون منصور جو چڑھے سولی یوں تو سب کو جگر دیا تو نے ڈوبتی نبض کرب سناٹے اور حکم سفر دیا تو نے زندگی چھاؤں کو ترستی ہے کیسا جلتا سفر دیا تو نے تاج بنتے ہی ہاتھ کٹتے ہیں کیسا دست ہنر دیا تو نے اس جہاں کا ہر ایک غم لا کر میرے دامن میں بھر دیا تو نے سب کے ہاتھوں میں دے دیے پتھر مجھ کو شیشے کا گھر دیا تو نے جس نے مجھ کو وقار بخشا ہے وہ غم معتبر دیا تو نے

Hindi

क्यों ये हुस्न-ए-नज़र दिया तू ने वक़्फ़-ए-आलाम कर दिया तू ने मुंदमिल जो कभी न हो पाए ऐसा ज़ख़्म-ए-जिगर दिया तू ने कौन मंसूर जो चढ़े सूली यूँ तो सब को जिगर दिया तू ने डूबती नब्ज़ कर्ब सन्नाटे और हुक्म-ए-सफ़र दिया तू ने ज़िंदगी छाँव को तरसती है कैसा जलता सफ़र दिया तू ने ताज बनते ही हाथ कटते हैं कैसा दस्त-ए-हुनर दिया तू ने इस जहाँ का हर एक ग़म ला कर मेरे दामन में भर दिया तू ने सब के हाथों में दे दिये पत्थर मुझ को शीशे का घर दिया तू ने जिस ने मुझ को वक़ार बख़्शा है वो ग़म-ए-मो'तबर दिया तू ने

kyoñ ye husn-e-nazar diyā tū ne
A
Azeemullah Khan Waqar
Azeemullah Khan Waqar
poet4 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi