"josh-e-vahshat mein musallam ho gayaa islaam-e-ishq kucha-gardi se miri puuraa huaa ehraam-e-ishq mere marne se khulaa haal-e-mohabbat khalq par sang-e-marqad ban gayaa aaina-e-anjaam-e-ishq ye sila paayaa vafaa kaa husn ki sarkaar se chehra-e-aashiq ki zardi hai zar-e-inaam-e-ishq pahle thaa rukh kaa tasavvur ab hai gesu kaa khayaal vo thi subh-e-ishq goyaa aur ye hai shaam-e-ishq aastaan-e-yaar par har vaqt sajde kijiye hai yahi bas din-e-ishq imaan-e-ishq islaam-e-ishq huun asir-e-zulf zaahir hai khat-e-taqdir se daaere harfon ke mil kar ban gae hain daam-e-ishq arsh-e-aazam se bhi unchi ho gai meri fughaan aaj tak paayaa na ai 'aazaad' auj-e-baam-e-ishq"
kyuun asir-e-gesu-e-kham-daar-e-qaatil ho gayaa — Abul Kalam Azad
"kyuun asir-e-gesu-e-kham-daar-e-qaatil ho gayaa haae kyaa baiThe-biThaae tujh ko ai dil ho gayaa koi naalaan koi giryaan koi bismil ho gayaa us ke uThte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gayaa intizaar us gul kaa is darja kiyaa gulzaar mein nuur aakhir dida-e-nargis kaa zaail ho gayaa us ne talvaarein lagaain aise kuchh andaaz se dil kaa har armaan fidaa-e-dast-e-qaatil ho gayaa qais-e-majnun kaa tasavvur baDh gayaa jab najd mein har bagula dasht kaa lailaa-e-mahmil ho gayaa ye bhi qaidi ho gayaa aakhir kamand-e-zulf kaa le asiron mein tire 'aazaad' shaamil ho gayaa"
کیوں اسیر گیسوئے خم دار قاتل ہو گیا ہائے کیا بیٹھے بٹھائے تجھ کو اے دل ہو گیا کوئی نالاں کوئی گریاں کوئی بسمل ہو گیا اس کے اٹھتے ہی دگر گوں رنگ محفل ہو گیا انتظار اس گل کا اس درجہ کیا گل زار میں نور آخر دیدۂ نرگس کا زائل ہو گیا اس نے تلواریں لگائیں ایسے کچھ انداز سے دل کا ہر ارماں فداے دست قاتل ہو گیا قیس مجنوں کا تصور بڑھ گیا جب نجد میں ہر بگولہ دشت کا لیلیٰ محمل ہو گیا یہ بھی قیدی ہو گیا آخر کمند زلف کا لے اسیروں میں ترے آزادؔ شامل ہو گیا
क्यूँ असीर-ए-गेसू-ए-ख़म-दार-ए-क़ातिल हो गया हाए क्या बैठे-बिठाए तुझ को ऐ दिल हो गया कोई नालाँ कोई गिर्यां कोई बिस्मिल हो गया उस के उठते ही दिगर-गूँ रंग-ए-महफ़िल हो गया इंतिज़ार उस गुल का इस दर्जा किया गुलज़ार में नूर आख़िर दीदा-ए-नर्गिस का ज़ाइल हो गया उस ने तलवारें लगाईं ऐसे कुछ अंदाज़ से दिल का हर अरमाँ फ़िदा-ए-दस्त-ए-क़ातिल हो गया क़ैस-ए-मजनूँ का तसव्वुर बढ़ गया जब नज्द में हर बगूला दश्त का लैला-ए-महमिल हो गया ये भी क़ैदी हो गया आख़िर कमंद-ए-ज़ुल्फ़ का ले असीरों में तिरे 'आज़ाद' शामिल हो गया

More by Abul Kalam Azad
View all →"in shokh hasinon ki adaa aur hi kuchh hai aur in ki adaaon mein mazaa aur hi kuchh hai ye dil hai magar dil mein basaa aur hi kuchh hai dil aaina hai jalva-numaa aur hi kuchh hai ham aap ki mahfil mein na aane ko na aate kuchh aur hi samjhe the huaa aur hi kuchh hai be-khud bhi hain hoshiyaar bhi hain dekhne vaale in mast nigaahon ki adaa aur hi kuchh hai 'aazaad' huun aur gesu-e-pechaan mein giraftaar kah do mujhe kyaa tum ne sunaa aur hi kuchh hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"