SHAWORDS

lab-e-jaan-bakhsh ke miThe kaa tere jo maza paayaa — Baqar Agah Vellori

"lab-e-jaan-bakhsh ke miThe kaa tere jo maza paayaa to chashma zindagi kaa apni labrez-e-baqaa paayaa na hoe kyuun ba-sad jaan dil miraa maftun tiraa jaanaan ki har jalve mein tere yak karishma main judaa paayaa do-baalaa kyuun na ho nashsha dil-e-hairaan ki hairat kaa jo tujh ko sab mein aur tere mein sab ko barmalaa paayaa tiri ik gadish-e-mizgaan se yuun be-taab-o-taaqat huun na kah saktaa huun kuchh gar koi puchhe tu ne kyaa paayaa na duniyaa us mein rah paave na uqbaa us ko phailaave dil-e-'aagaah' ke kausar mein jin ne inzivaa paayaa"
Urdu

لب جاں بخش کے میٹھے کا تیرے جو مزہ پایا تو چشمہ زندگی کا اپنی لبریز بقا پایا نہ ہوئے کیوں بصد جاں دل مرا مفتوں ترا جاناں کہ ہر جلوے میں تیرے یک کرشمہ میں جدا پایا دوبالا کیوں نہ ہو نشہ دل حیراں کی حیرت کا جو تجھ کو سب میں اور تیرے میں سب کو برملا پایا تری اک گردش مژگاں سے یوں بے تاب و طاقت ہوں نہ کہہ سکتا ہوں کچھ گر کوئی پوچھے تو نے کیا پایا نہ دنیا اس میں رہ پاوے نہ عقبیٰ اس کو پھیلاوے دل آگاہؔ کے کوثر میں جن نے انزوا پایا

Hindi

लब-ए-जाँ-बख़्श के मीठे का तेरे जो मज़ा पाया तो चश्मा ज़िंदगी का अपनी लबरेज़-ए-बक़ा पाया न होए क्यूँ ब-सद जाँ दिल मिरा मफ़्तूँ तिरा जानाँ कि हर जल्वे में तेरे यक करिश्मा मैं जुदा पाया दो-बाला क्यूँ न हो नश्शा दिल-ए-हैराँ की हैरत का जो तुझ को सब में और तेरे में सब को बरमला पाया तिरी इक गर्दिश-ए-मिज़्गाँ से यूँ बे-ताब-ओ-ताक़त हूँ न कह सकता हूँ कुछ गर कोई पूछे तू ने क्या पाया न दुनिया उस में रह पावे न उक़्बा उस को फैलावे दिल-ए-'आगाह' के कौसर में जिन ने इंज़िवा पाया

lab-e-jāñ-baḳhsh ke mīThe kā tere jo maza paayā
B
Baqar Agah Vellori
Baqar Agah Vellori
poet16 quotes

More by Baqar Agah Vellori

View all →
Quote
"agarche dil ko le saath apne aayaa ashk miraa nigaah mein tiri hargiz na bhaayaa ashk miraa main tere hijr mein jiine se ho gayaa thaa udaas pe garm-joshi se kyaa kyaa manaayaa ashk miraa hazar zaruri hai ai sarv-e-naaz is se tujhe ki aabshaar-e-mizha ko bahaayaa ashk miraa huaa hai kaun se khurshid-ru se garm itnaa ki mere dil ko jo aisaa jalaayaa ashk miraa ba-rang-e-ghuncha-e-afsurda ho gayaa thaa ye dil so vaise murda ko pal mein jalaayaa ashk miraa huaa vo jab nazar-andaaz yaar kaa 'aagaah' mujhe ye be-asari par hansaayaa ashk miraa"
B
Baqar Agah Vellori
Quote
"nahin hai ashk se ye khun-e-naab aankhon mein bharaa hai rang se tere shahaab aankhon mein kahaan nikal sake aansu nazar ko jaae nahin rakhaa huun shakl ko teri main daab aankhon mein uluhi kis ki tajalli se ho gayaa huun do-chaar jhamak rahaa hai sadaa maahtaab aankhon mein hue hain jab se vo kaif-e-nigah ke aaina-daar bajaae ashk bhari hai sharaab aankhon mein amal se apni zabaan kis tarah na ho be-kaar jahaan ho rasm savaal-o-javaab aankhon mein huaa huun jab se main itlaaq us ke se aagaah jahaan main dekhun hai vaan bu-turaab aankhon mein"
B
Baqar Agah Vellori
Quote
"rahtaa hai zulf-e-yaar mire man se man lagaa ai naag tire haath ye kyaa khuub man lagaa dekhaa hai jin ne ru-e-dil-afroz ko tire be-shak nazar mein baagh-e-iram us ki ban lagaa sarsabz nit rakheinge unhein mere ashk o aah ai nau-bahaar-e-husn jo chaahe chaman lagaa siina sipar kar aaungaa kuche mein main tire garche raqib baiThe hain vaan tan se tan lagaa kyaa faaeda hai qissa-e-rizvaan se tujhe koi shama-ru pari sate tu bhi lagan lagaa 'aagaah' khaar khaar judaai se hai hazin yak-baar tu gale se use gul-badan lagaa"
B
Baqar Agah Vellori

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui