SHAWORDS

lab pe tabassum roz sajaanaa paDtaa hai — Kareem Darvesh

HomeKareem DarveshGhazal
"lab pe tabassum roz sajaanaa paDtaa hai gham apnaa is tarah chhupaanaa paDtaa hai aisaa bhi hotaa hai usuli jangon mein haar ko bhi siine se lagaanaa paDtaa hai khaa kar rukhi-sukhi nanhe bachchon ko peT kaa shoala roz bujhaanaa paDtaa hai joD rahe hain paisa paisa sab lekin sab duniyaa mein chhoD ke jaanaa paDtaa hai ham mazduron ki qismat mein chhaanv kahaan dhuup mein khud ko roz jalaanaa paDtaa hai jhuTi tasalli de de kar armaanon ko saaraa saaraa din bahlaanaa paDtaa hai peT ki aag bujhaane ko 'darvesh' yahaan qatra qatra khuun jalaanaa paDtaa hai"
Urdu

لب پہ تبسم روز سجانا پڑتا ہے غم اپنا اس طرح چھپانا پڑتا ہے ایسا بھی ہوتا ہے اصولی جنگوں میں ہار کو بھی سینے سے لگانا پڑتا ہے کھا کر روکھی-سوکھی ننھے بچوں کو پیٹ کا شعلہ روز بجھانا پڑتا ہے جوڑ رہے ہیں پیسہ پیسہ سب لیکن سب دنیا میں چھوڑ کے جانا پڑتا ہے ہم مزدوروں کی قسمت میں چھاؤں کہاں دھوپ میں خود کو روز جلانا پڑتا ہے جھوٹی تسلی دے دے کر ارمانوں کو سارا سارا دن بہلانا پڑتا ہے پیٹ کی آگ بجھانے کو درویشؔ یہاں قطرہ قطرہ خون جلانا پڑتا ہے

Hindi

लब पे तबस्सुम रोज़ सजाना पड़ता है ग़म अपना इस तरह छुपाना पड़ता है ऐसा भी होता है उसूली जंगों में हार को भी सीने से लगाना पड़ता है खा कर रूखी-सूखी नन्हे बच्चों को पेट का शो'ला रोज़ बुझाना पड़ता है जोड़ रहे हैं पैसा पैसा सब लेकिन सब दुनिया में छोड़ के जाना पड़ता है हम मज़दूरों की क़िस्मत में छाँव कहाँ धूप में ख़ुद को रोज़ जलाना पड़ता है झूटी तसल्ली दे दे कर अरमानों को सारा सारा दिन बहलाना पड़ता है पेट की आग बुझाने को 'दरवेश' यहाँ क़तरा क़तरा ख़ून जलाना पड़ता है

lab pe tabassum roz sajānā paḌtā hai
K
Kareem Darvesh
Kareem Darvesh
poet4 quotes

More by Kareem Darvesh

View all →
Quote
"rangini-e-hayaat ke manzar se duur hai dil apnaa raushni-e-muqaddar se duur hai ye sach hai koi dost nahin zindagi ke saath ye kyaa hai kam ki fitna-e-mahshar se duur hai alfaaz kaa mahaktaa hai gul-daan har ghaDi afkaar kaa ujaalaa magar sar se duur hai gumraahiyon se us ko bachaa le khudaa-e-paak ye qaum aaj dars-e-payambar se duur hai main apnaa haath su-e-falak to baDhaae huun ye aur baat hai mah-o-akhtar se duur hai mazdur huun main kartaa huun mehnat tamaam din khush-haali phir bhi mere muqaddar se duur hai 'darvesh' apni zaat se tum kyon ho mutmain kyaa gardish-e-hayaat ke tevar se duur hai"
K
Kareem Darvesh
Quote
"bataaein kyaa tumhein khun-e-tamannaa roz hotaa hai miyaan chhalni gharibon kaa kaleja roz hotaa hai kabhi kaliyon ki dil-sozi kabhi hai qatl phulon kaa tumhin batlaao is gulshan mein ye kyaa roz hotaa hai yahaan muflis ujaale ki kiran ko bhi taraste hain magar kahne ko basti mein ujaalaa roz hotaa hai ye kah do qaaidon se ab yahaan zahmat na farmaaein hamaare shahr mein bedaar fitna roz hotaa hai yahaan nilaam ho jaati hai izzat chand sikkon mein ye duniyaa hai yahaan aisaa tamaashaa roz hotaa hai agar 'darvesh' tum rusvaa hue ho to taajjub kyaa sharifon ki haveli mein to aisaa roz hotaa hai"
K
Kareem Darvesh
Quote
"chaahte ho jo koi khanDar dekhnaa dosto ik nazar meraa ghar dekhnaa lab hilaae hain main ne khilaaf-e-sitam ab balaa aaegi mere sar dekhnaa pahle ghar ke charaaghon pe rakkho nazar baad mein tum ye shams-o-qamar dekhnaa aisaa lagtaa hai mere muqaddar mein hai daaman-e-zindagi khuun se tar dekhnaa de rahe ho havaa yaad rakhnaa magar shoala ban jaaegaa ye sharar dekhnaa ham ne sab sah liye tere zulm-o-sitam ab duaa kaa hamaari asar dekhnaa khair se aap ne khair dekhaa hai khair rahnumaa se kabhi us kaa shar dekhnaa teri chashm-e-inaayat kaa taalib huun main ik nigaah-e-ghalat hi magar dekhnaa kaash 'darvesh' ho meri taqdir mein manzar-e-khushnumaa umr bhar dekhnaa"
K
Kareem Darvesh

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud