"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
lab taraste hain iltijaa ke liye — Jigar Moradabadi
"lab taraste hain iltijaa ke liye haath uThte nahin du'aa ke liye ham ne tanhaaiyon mein kyaa kyaa lutf ek aavaaz-e-be-sadaa ke liye vo rahe ham se duur duur to kyaa ham ne bose adaa adaa ke liye 'ishq ki vus'atein khudaa ki panaah hausla chaahiye vafaa ke liye gardishein aasmaan ko hain kyaa kyaa ik usi khaak-e-zer-e-paa ke liye phuul ko rang-o-raamish-o-nikhat aur aavaargi sabaa ke liye mujh ko jo chaaho naaseho kah lo kuchh na kahnaa use khudaa ke liye"
لب ترستے ہیں التجا کے لئے ہاتھ اٹھتے نہیں دعا کے لئے ہم نے تنہائیوں میں کیا کیا لطف ایک آواز بے صدا کے لئے وہ رہے ہم سے دور دور تو کیا ہم نے بوسے ادا ادا کے لئے عشق کی وسعتیں خدا کی پناہ حوصلہ چاہئے وفا کے لئے گردشیں آسماں کو ہیں کیا کیا اک اسی خاک زیر پا کے لئے پھول کو رنگ و رامش و نکہت اور آوارگی صبا کے لئے مجھ کو جو چاہو ناصحو کہہ لو کچھ نہ کہنا اسے خدا کے لئے
लब तरसते हैं इल्तिजा के लिए हाथ उठते नहीं दु'आ के लिए हम ने तन्हाइयों में क्या क्या लुत्फ़ एक आवाज़-ए-बे-सदा के लिए वो रहे हम से दूर दूर तो क्या हम ने बोसे अदा अदा के लिए 'इश्क़ की वुस'अतें ख़ुदा की पनाह हौसला चाहिए वफ़ा के लिए गर्दिशें आसमाँ को हैं क्या क्या इक उसी ख़ाक-ए-ज़ेर-ए-पा के लिए फूल को रंग-ओ-रामिश-ओ-निकहत और आवारगी सबा के लिए मुझ को जो चाहो नासेहो कह लो कुछ न कहना उसे ख़ुदा के लिए

More by Jigar Moradabadi
View all →"raaz jo sina-e-fitrat mein nihaan hotaa hai sab se pahle dil-e-shaair pe ayaan hotaa hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahaan hotaa hai nahin maalum ye insaan kahaan hotaa hai jab koi haadsa-e-kaun-o-makaan hotaa hai zarra zarra meri jaanib nigaraan hotaa hai jo nazar-karda-e-saahab-nazraan hotaa hai usi divaane ke qadmon pe jahaan hotaa hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahaan hotaa hai mujh ko mahsus khud apnaa hi ziyaan hotaa hai mutazalzal hai adab-gaah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangaama kahaan hotaa hai kahin aisaa to nahin vo bhi ho koi aazaar tujh ko jis chiiz pe raahat kaa gumaan hotaa hai dil ghani ho to har ik ranj bhi dil ki raahat zehn muflis ho to har suud ziyaan hotaa hai imtihaan-gaah-e-mohabbat mein na rakkhe vo qadam maut ke naam se jis ko khafaqaan hotaa hai yahi vo manzil-e-dushvaar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyaan hotaa hai har qadam maarka-e-karb-o-balaa hai darpesh har nafas saaneha-e-marg-e-javaan hotaa hai naaz jis khaak-e-vatan par thaa mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam kaa gumaan hotaa hai"
"husn-e-kaafir-shabaab kaa aalam sar se paa tak sharaab kaa aalam araq-aalud chehra-e-taabaan shabnam-o-aaftaab kaa aalam vo miri arz-e-shauq-e-behad par kuchh hayaa kuchh itaab kaa aalam allaah allaah vo imtizaaj-e-latif shokhiyon mein hijaab kaa aalam hama nur-o-surur ki duniyaa hama husn-o-shabaab kaa aalam vo lab-e-juebaar o mausam-e-gul vo shab-e-maahtaab kaa aalam zaanu-e-shauq par vo pichhle pahar nargis-e-nim-khvaab kaa aalam der tak ikhtilaat-e-raaz-o-niyaaz yak-ba-yak ijtinaab kaa aalam laakh rangin-bayaaniyon pe miri ek saada javaab kaa aalam gham ki har mauj mauj-e-tufaan-khez dil kaa aalam habaab kaa aalam dil-e-mutrib samajh sake shaayad ik shikasta rubaab kaa aalam vo samaan aaj bhi hai yaad 'jigar' haan magar jaise khvaab kaa aalam"
"shab-e-vasl kyaa mukhtasar ho gai zaraa aankh jhapki sahar ho gai nigaahon ne sab raaz-e-dil kah diyaa unhein aaj apni khabar ho gai baDi chiiz hai tarz-e-begaanagi ye tarkib agar kaargar ho gai ilaahi buraa ho gham-e-ishq kaa sunaa hai ki un ko khabar ho gai kiye mujh pe ehsaan gham-e-yaar ne hamesha ko nichi nazar ho gai numaayaan hui subh-e-piri 'jigar' bas ab daastaan mukhtasar ho gai"
"'aashiqi imtiyaaz kyaa jaane farq-e-naaz-o-niyaaz kyaa jaane naakhun-e-‘ishq kitne Tuut gae girah-e-nim-baaz kyaa jaane sina-e-nai pe jo guzarti hai vo lab-e-nai-navaaz kyaa jaane"
"vo adaa-e-dilbari ho ki navaa-e-aashiqaana jo dilon ko fath kar le vahi faateh-e-zamaana kabhi husn ki tabiat na badal sakaa zamaana vahi naaz-e-be-niyaazi vahi shaan-e-khusravaana ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana ye falak ye maah-o-anjum ye zamin ye zamaana tire husn ki hikaayat mire ishq kaa fasaana ye hai ishq ki karaamat ye kamaal-e-shaairaana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasaana ye miraa payaam kahnaa tu sabaa muaddabaana ki guzar gayaa hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat kuchh ye junun hi ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana tujhe haadsaat-e-paiham se bhi kyaa milegaa naadaan tiraa dil agar ho zinda to nafas bhi taaziyaana main huun us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise miraa ishq bhi kahaani tiraa husn bhi fasaana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana tire ishq ki karaamat ye agar nahin to kyaa hai kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana tiri duuri o huzuri kaa ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasaana mire ham-safir bulbul miraa teraa saath hi kyaa main zamir-e-dasht-o-dariyaa tu asir-e-aashiyaana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh mein tujh mein tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kyaa kyaa tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"