SHAWORDS

le kar mohabbaton ke taraane chale gae — Kamil Janetvi

HomeKamil JanetviGhazal
"le kar mohabbaton ke taraane chale gae jaane kahaan vo log puraane chale gae khaamosh the to saaraa zamaana thaa saath saath goyaa hue to jism se shaane chale gae un ko barahnagi ke sivaa kuchh na mil sakaa chaadar jo khvaahishaat ki taane chale gae aankhon mein hai khumaar to bas rat-jagon kaa aaj kis samt jaane khvaab suhaane chale gae faaqon kaa bojh had se ziyaada baDhaa to bas saDkon pe bachche giit sunaane chale gae chaupaal khatm jab se hui apne gaanv ki pariyon ke dil-fareb fasaane chale gae mumkin hai 'kaamil' aaj na pahchaan paae vo us se mile bhi ab to zamaane chale gae"
Urdu

لے کر محبتوں کے ترانے چلے گئے جانے کہاں وہ لوگ پرانے چلے گئے خاموش تھے تو سارا زمانہ تھا ساتھ ساتھ گویا ہوئے تو جسم سے شانے چلے گئے ان کو برہنگی کے سوا کچھ نہ مل سکا چادر جو خواہشات کی تانے چلے گئے آنکھوں میں ہے خمار تو بس رت جگوں کا آج کس سمت جانے خواب سہانے چلے گئے فاقوں کا بوجھ حد سے زیادہ بڑھا تو بس سڑکوں پہ بچے گیت سنانے چلے گئے چوپال ختم جب سے ہوئی اپنے گاؤں کی پریوں کے دل فریب فسانے چلے گئے ممکن ہے کاملؔ آج نہ پہچان پائے وہ اس سے ملے بھی اب تو زمانے چلے گئے

Hindi

ले कर मोहब्बतों के तराने चले गए जाने कहाँ वो लोग पुराने चले गए ख़ामोश थे तो सारा ज़माना था साथ साथ गोया हुए तो जिस्म से शाने चले गए उन को बरहनगी के सिवा कुछ न मिल सका चादर जो ख़्वाहिशात की ताने चले गए आँखों में है ख़ुमार तो बस रत-जगों का आज किस सम्त जाने ख़्वाब सुहाने चले गए फ़ाक़ों का बोझ हद से ज़ियादा बढ़ा तो बस सड़कों पे बच्चे गीत सुनाने चले गए चौपाल ख़त्म जब से हुई अपने गाँव की परियों के दिल-फ़रेब फ़साने चले गए मुमकिन है 'कामिल' आज न पहचान पाए वो उस से मिले भी अब तो ज़माने चले गए

le kar mohabbatoñ ke tarāne chale ga.e
K
Kamil Janetvi
Kamil Janetvi
poet7 quotes

More by Kamil Janetvi

View all →
Quote
"basti-basti sahraa-sahraa ek ik jangal ham khud ko kab se DhunDh rahe hain paidal paidal ham kaale kaale saanp badan se lipTein bhi to kyaa duniyaa ko to mahkaaeinge ban kar sandal ham dariyaa chhoD ke pyaas ko apne gale lagaate hain duniyaa vaalon ko lagte hain yuun bhi paagal ham viraanon ko aksar ham ne zinat bakhshi hai tapte sahraaon par barse ban kar baadal ham nok-e-sinaan par chaDh kar jab jab goyaa hote hain paidaa kar dete hain aivaanon mein halchal ham pyaas sataae bhi kyon 'kaamil' fikr ke sahraa mein lafzon se pur kar lete hain fan ki chhaagal ham"
K
Kamil Janetvi
Quote
"na saltanat na koi apni raajdhaani hai javaan dilon pe hamaari hi hukmraani hai ye zard chehre sulagte mohabbaton ke khanDar har ek chiiz tire zulm ki nishaani hai rakhaa hai 'azmat-e-ajdaad kaa bharam aksar hamaari aankhon mein sharm-o-hayaa kaa paani hai tamaam 'umr saraabon ke shahr mein bhaTki ye zindagi hai ki laDki koi divaani hai khaDe hain donon doraahe par ik zamaana huaa tire ghurur na meri anaa kaa saani hai jahaan jale vahin aamaada sar-kashi pe huiin havaaon ki ye charaaghon se zid puraani hai bataae kyaa tumhein 'kaamil' na jaane kis ke liye fazaa-e-dil hai ki muddat se zaa'fraani hai"
K
Kamil Janetvi
Quote
"khatm jab donon taraf se bad-gumaani ho gai sabz har mausam huaa har rut suhaani ho gai aao dekhein kis ne zulfon ko bikheraa vaqt-e-shaam kyon ghaTaa chhaai fazaa kyon zaa'fraani ho gai ruThnaa phir maan jaanaa maan kar phir ruThnaa kyaa bataaun us ki ye 'aadat puraani ho gai baa'd muddat ke mile the kal anaa ke moD par ik zaraa si baat par phir aanaa-kaani ho gai saamne fōtpath hai aur be-sar-o-saamaaniyaan khatm ab ajdaad ki ik ik nishaani ho gai rafta-rafta ho gayaa maqbul main bhi shahr mein kaamyaab apne qalam ki jaan-fishaani ho gai hukm saadir kar diyaa haakim ne 'kaamil' ke khilaaf har taraf jab 'aam us ki haq-bayaani ho gai"
K
Kamil Janetvi
Quote
"sahraa ki tapti dhuup mein laayaa gayaa huun main phir mom kaa khilaunaa banaayaa gayaa huun main saanson mein kheinch di gai aavaaz ki lakir lafzon ke pairahan se sajaayaa gayaa huun main miTTi ko meri bakhsh ke aflaak kaa 'uruj phir kyon bulandiyon se giraayaa gayaa huun main lekin kabhi na past huaa meraa hausla sau baar aandhiyon mein jalaayaa gayaa huun main main tujh se duur aur na tu mujh se duur hai tu hai jahaan jahaan vahin paayaa gayaa huun main chehre pe dhuul jam gai pahchaan miT gai kaise museum mein sajaayaa gayaa huun main 'kaamil' har ik nafas miraa aahang-e-she'r hai ghazlon ki khushbuon mein basaayaa gayaa huun main"
K
Kamil Janetvi
Quote
"rakhtaa hai ek ek qadam yuun uThaa ke vo chaltaa ho jaise dosh pe mahki havaa ke vo tasvir apne haath pe meri banaa ke vo khud pahron dekhtaa hai use muskuraa ke vo dil maangtaa hai aur kabhi maangtaa hai jaan har rukh se dekhtaa hai mujhe aazmaa ke vo katraa rahaa hai haath milaane se is liye laayaa hai aastin mein khanjar chhupaa ke vo rusvaaiyon ke khauf se ye ehtiyaat hai miltaa hai roz mujh se magar chhup-chhupaa ke vo shaayad ki raaz khulne kaa ab us ko Dar nahin 'masrur' ho rahaa hai bahut khat jalaa ke vo 'kaamil' use zarurat-e-tegh-o-tabar nahin kartaa hai qatl barq-e-tabassum giraa ke vo"
K
Kamil Janetvi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim