SHAWORDS

lo dil-e-be-zabaan TuuT gayaa — Haidar Raza Koralvi

"lo dil-e-be-zabaan TuuT gayaa kaanch kaa thaa makaan TuuT gayaa dil ye shaayad khilaune jaisaa thaa khel ke darmiyaan TuuT gayaa chhoD kar maan ko kyaa mile jannat pahlaa hi paaedaan TuuT gayaa aise maare gae javaan fauji jaise hindostaan TuuT gayaa godiyaan maan ki ho gaiin suuni maamtaa kaa jahaan TuuT gayaa dekh pulvaamaa qalb-e-muztar par yuun lagaa aasmaan TuuT gayaa chaar su khalfashaar barpaa hai koh-e-amn-o-amaan TuuT gayaa bhaai kaa bhaai ho gayaa dushman kyaa ye bhaarat mahaan TuuT gayaa vo jo qismat kaa ik sitaara thaa kah ke shab ki azaan TuuT gayaa dekh 'haidar' siyaasati saazish des kaa naujavaan TuuT gayaa"
Urdu

لو دل بے زبان ٹوٹ گیا کانچ کا تھا مکان ٹوٹ گیا دل یہ شاید کھلونے جیسا تھا کھیل کے درمیان ٹوٹ گیا چھوڑ کر ماں کو کیا ملے جنت پہلا ہی پائیدان ٹوٹ گیا ایسے مارے گئے جواں فوجی جیسے ہندوستان ٹوٹ گیا گودیاں ماں کی ہو گئیں سونی مامتا کا جہان ٹوٹ گیا دیکھ پلواما قلب مضطر پر یوں لگا آسمان ٹوٹ گیا چار سو خلفشار برپا ہے کوہ امن و امان ٹوٹ گیا بھائی کا بھائی ہو گیا دشمن کیا یہ بھارت مہان ٹوٹ گیا وہ جو قسمت کا اک ستارہ تھا کہہ کے شب کی اذان ٹوٹ گیا دیکھ حیدرؔ سیاستی سازش دیس کا نوجوان ٹوٹ گیا

Hindi

लो दिल-ए-बे-ज़बान टूट गया काँच का था मकान टूट गया दिल ये शायद खिलौने जैसा था खेल के दरमियान टूट गया छोड़ कर माँ को क्या मिले जन्नत पहला ही पाएदान टूट गया ऐसे मारे गए जवाँ फ़ौजी जैसे हिन्दोस्तान टूट गया गोदियाँ माँ की हो गईं सूनी मामता का जहान टूट गया देख पुलवामा क़ल्ब-ए-मुज़्तर पर यूँ लगा आसमान टूट गया चार सू ख़लफ़शार बरपा है कोह-ए-अम्न-ओ-अमान टूट गया भाई का भाई हो गया दुश्मन क्या ये भारत महान टूट गया वो जो क़िस्मत का इक सितारा था कह के शब की अज़ान टूट गया देख 'हैदर' सियासती साज़िश देस का नौजवान टूट गया

lo dil-e-be-zabān TuuT gayā
Haidar Raza Koralvi
Haidar Raza Koralvi
Haidar raza Koralvi
poet6 quotes

More by Haidar Raza Koralvi

View all →
Quote
"vahshatein phaili hain har su do-jahaan khaamosh hai hai zamin girya-kunaan aur aasmaan khaamosh hai beTiyon ke maan honaa chaahiye apmaan hai dekh kar sab kuchh bhi ye hindostaan khaamosh hai zulmaton ki aanch se jhulse gharibon ke hi ghar aag baDhti jaa rahi hai aur dhuaan khaamosh hai thaa chaman gulzaar pahle ab hai ujDi vaadiyaan ho gayaa barbaad gulshan baaghbaan khaamosh hai jaante to hain yahaan sab hi siyaasat ke fareb kyaa khabar kis maslahat se har zabaan khaamosh hai"
Haidar Raza KoralviHaidar Raza Koralvi
Quote
"tumhaari nazrein yuun barq dil pe giraa rahi hain ki soi soi si dhaDkanon ko jagaa rahi hain diyaa mohabbat kaa mere siine mein jal rahaa hai ye chaahatein dil se tirgi ko miTaa rahi hain suno na aisi nashili nazron se mujh ko dekho tumhaari nazrein ye tiir ham pe chalaa rahi hain haqiqatan ab to apni baanhon ko do ijaazat ki ye tasavvur mein mujh ko siine lagaa rahi hain chalo chalein mil ke ham mohabbat ke giit gaaein suhaane mausam ki ye fazaaein bhi gaa rahi hain qarib aao tumhaare honTon ko chuum luun main ye duriyaan ab to be-qaraari baDhaa rahi hain labon ko jumbish zaraa saa kar do ki aaj 'haidar' taDap rahaa hai ye us ki aankhein bataa rahi hain"
Haidar Raza KoralviHaidar Raza Koralvi
Quote
"TuuTaa hai bas khushi kaa bharam aur kuchh nahin paayaa hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahin mujh par garaan ye hijr ki ab kaali raat hai tanhaaiyon mein ghuTtaa hai dam aur kuchh nahin bechainiyon ke saath Tahal kar tamaam raat paanv mein rah gae hain varam aur kuchh nahin munh moDnaa vo dil kaa jalaanaa mire habib Dhaae gae hain mujh pe sitam aur kuchh nahin dhaDkan udaas dil pe udaasi ki dhuup hai lipTaa hai mujh se teraa ye gham aur kuchh nahin 'haidar' ki dhaDkanon ki sadaa hai ye ham-nashin dil pe hai teraa naam raqam aur kuchh nahin"
Haidar Raza KoralviHaidar Raza Koralvi
Quote
"kyon khafaa ho mire dilbar ye bataao mujh ko aise khaamosh to rah kar na sataao mujh ko soch kar bas yahi din raat taDaptaa huun main vaqt aae vo gale phir se lagaao mujh ko be-qaraari ke sabab chain nahin miltaa hai jo bhi ahvaal hain dil ke vo sunaao mujh ko duriyaan kis liye aai hain hamaare maabain kuchh to bolo ki na ab aise sataao mujh ko ruuTh jaane kaa sabab kyaa hai bataa kar jaao chhoD kar aise taDaptaa to na jaao mujh ko dard siine mein uThaa hai mire jaani dekho dekhne maut se pahle chale aao mujh ko girte 'haidar' ke ye aankhon se pukaare moti paas ik baar mujhe apne bulaao mujh ko"
Haidar Raza KoralviHaidar Raza Koralvi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud