SHAWORDS

maadar-e-hind ki 'azmat kaa pata chaltaa hai — Aalam Nizami

HomeAalam NizamiGhazal
"maadar-e-hind ki 'azmat kaa pata chaltaa hai husn-e-kashmir se jannat kaa pata chaltaa hai qatra-e-aab ki qimat kaa pata chaltaa hai dhuup mein pyaas ki shiddat kaa pata chaltaa hai jab bhi kaandhon pe uThaataa huun janaaza koi zindagi teri haqiqat kaa pata chaltaa hai paanv ho jaate hain jab raah-e-vafaa mein zakhmi tab kahin 'ishq ki 'azmat kaa pata chaltaa hai 'ilm par apne bahut jab koi kartaa hai ghurur us ke andar ki jahaalat kaa pata chaltaa hai us ki tahqiq jab aati hai khalaaon mein nazar 'ilm insaan ki taaqat kaa pata chaltaa hai jab nahin milti hamein vaqt-e-zarurat 'aalam' tab kisi chiiz ki qimat kaa pata chaltaa hai"
Urdu

مادر ہند کی عظمت کا پتہ چلتا ہے حسن کشمیر سے جنت کا پتہ چلتا ہے قطرۂ آب کی قیمت کا پتہ چلتا ہے دھوپ میں پیاس کی شدت کا پتہ چلتا ہے جب بھی کاندھوں پہ اٹھاتا ہوں جنازہ کوئی زندگی تیری حقیقت کا پتہ چلتا ہے پاؤں ہو جاتے ہیں جب راہ وفا میں زخمی تب کہیں عشق کی عظمت کا پتہ چلتا ہے علم پر اپنے بہت جب کوئی کرتا ہے غرور اس کے اندر کی جہالت کا پتہ چلتا ہے اس کی تحقیق جب آتی ہے خلاؤں میں نظر علم انسان کی طاقت کا پتہ چلتا ہے جب نہیں ملتی ہمیں وقت ضرورت عالمؔ تب کسی چیز کی قیمت کا پتہ چلتا ہے

Hindi

मादर-ए-हिन्द की 'अज़्मत का पता चलता है हुस्न-ए-कश्मीर से जन्नत का पता चलता है क़तरा-ए-आब की क़ीमत का पता चलता है धूप में प्यास की शिद्दत का पता चलता है जब भी काँधों पे उठाता हूँ जनाज़ा कोई ज़िंदगी तेरी हक़ीक़त का पता चलता है पाँव हो जाते हैं जब राह-ए-वफ़ा में ज़ख़्मी तब कहीं 'इश्क़ की 'अज़्मत का पता चलता है 'इल्म पर अपने बहुत जब कोई करता है ग़ुरूर उस के अंदर की जहालत का पता चलता है उस की तहक़ीक़ जब आती है ख़लाओं में नज़र 'इल्म इंसान की ताक़त का पता चलता है जब नहीं मिलती हमें वक़्त-ए-ज़रूरत 'आलम' तब किसी चीज़ की क़ीमत का पता चलता है

mādar-e-hind kī 'azmat kā pata chaltā hai
Aalam Nizami
Aalam Nizami
Aalam Nizami
poet57 quotes

More by Aalam Nizami

View all →
Quote
"hasin khvaab dikhaayaa dikhaa ke chhoD diyaa kisi ne apnaa banaayaa banaa ke chhoD diyaa jo us ki yaadon kaa dipak kabhi huaa raushan to aansuon se bujhaayaa bujhaa ke chhoD diyaa kiyaa na us ne mire dard ko kabhi mahsus hamesha dil ko dukhaayaa dukhaa ke chhoD diyaa bataataa kaise main hassaas ke ma'aani use so aaine ko uThaayaa uThaa ke chhoD diyaa main hausla na juTaa paayaa us ko chhune kaa naqaab rukh se haTaayaa haTaa ke chhoD diyaa kahin na us ki buraai mein ham hue shaamil nazar se jis ko giraayaa giraa ke chhoD diyaa bahut saliqe se us ne kiyaa nazar-andaaz qarib apne biThaayaa biThaa ke chhoD diyaa na un se rakkhi kabhi raushni ki ummidein diyon ko ham ne jalaayaa jalaa ke chhoD diyaa"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"dhuup mein qatra-e-shabnam ko taras jaaoge shahr mein gaanv ke mausam ko taras jaaoge zakhm itne tumhein aavaara-mizaaji degi gardish-e-vaqt ke marham ko taras jaaoge din mein jugnu ki tabaahi pe manaa lo khushiyaan shab mein chamkegaa to maatam ko taras jaaoge zindagi se kabhi aaraam talab mat karnaa dosto mehnat-e-paiham ko taras jaaoge aadamiyyat ke libaade mein raho tum varna ek din nisbat-e-aadam ko taras jaaoge aaj aasaani se miltaa huun to mil lo varna dekhne ke liye 'aalam' ko taras jaaoge"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"vo tohmatein na lagaataa to aur kyaa kartaa mire hunar na chhupaataa to aur kyaa kartaa khaDi thiin har-su mazaalim ki aandhiyaan phir main charaagh-e-haq na jalaataa to aur kyaa kartaa gharibi saath miraa de rahi thi bachpan se na us kaa saath nibhaataa to aur kyaa kartaa main chhaale maan ki hatheli pe dekhtaa kaise kamaane shahr na aataa to aur kyaa kartaa tamaam basti pareshaan thi raushni ke liye main apnaa ghar na jalaataa to aur kyaa kartaa samajh rahaa thaa farishta vo khud ko ai 'aalam' main aaina na dikhaataa to aur kyaa kartaa"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"kisi maqaam se guzre nahin phisaltaa hai jo haq-paraston ke naqsh-e-qadam pe chaltaa hai sunaa hai karne lagaa hai vo raushni taqsim mire charaagh se jis kaa charaagh jaltaa hai fazaa-e-zist pe chhaai hui hai taariki bahut dinon se ye manzar nahin badaltaa hai bisaat itni kahaan hai jo chheDein suraj ko in aandhiyon kaa diyon par hi zor chaltaa hai tumhaare zulm pe chup huun ye zarf hai meraa ubalne ko to miraa bhi lahu ubaltaa hai hamein na kijiye majbur hijraton ke liye darakht apnaa Thikaana nahin badaltaa hai khudaa hi haami-o-naasir hai us kaa ai 'aalam' jo khaa ke baarhaa Thokar nahin sanbhaltaa hai"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"chaahtaa jo bhi hai vo kah ke guzar jaataa hai dil-e-hassaas is ehsaas se mar jaataa hai zehn mein baat buzurgon ki tabhi baiThti hai jab javaani kaa nasha sar se utar jaataa hai jab anaa meri zarurat kaa galaa ghonTti hai rang khud-daari ke chehre kaa nikhar jaataa hai Dasne lagti hai miri khaana-badoshi mujh ko jab koi panchhi kabhi shaam ko ghar jaataa hai jhuTi taarif se hoti hai masarrat us ko aaina koi dikhaa de to biphar jaataa hai jurm kartaa hai koi aur yahaan par 'aalam' aur ilzaam kisi aur ke sar jaataa hai"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"apni khudi ko tum sar-e-baazaar bech kar zinda ho kaise daulat-e-kirdaar bech kar yaarab ye kyaa 'azaab hai nasl-e-jadid par karti hai aish purkhon ki dastaar bech kar haasil ki us ke beTe ne kursi mudir ki itnaa paDhaayaa baap ne akhbaar bech kar us bad-nasib baap ki majburiyaan na puchh khushiyaan kharidtaa hai jo ghar-baar bech kar mahngi bahut paDi mujhe suraj ki dosti pachhtaa rahaa huun saaya-e-divaar bech kar jin ko shu’ur-e-bandagi kartaa hai rab 'ataa jangal kharid lete hain ghar-baar bech kar 'aalam' isi tarah se jo ham muntashir rahe khaa jaaeinge vatan ko ye ghaddaar bech kar"
Aalam NizamiAalam Nizami

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb