SHAWORDS

maar do mujh ko be-hayaa huun main — Murtaza Bismil

HomeMurtaza BismilGhazal
"maar do mujh ko be-hayaa huun main tere siine ko taaktaa huun main ab to kuchh yaad hi nahin khud se aakhiri baar kab milaa huun main aap ki shaadmaani ki khaatir baarhaa jhuuT boltaa huun main ashk jo hijr mein bahaae the gham-zadon ko pilaa rahaa huun main zindagi tu nahin khafaa mujh se zindagi tujh se to khafaa huun main surmai aankhon ko zaraa kholo ghaur se dekh lo judaa huun main daavar-e-hashr itnaa kah de bas khush raho teraa aasraa huun main"
Urdu

مار دو مجھ کو بے حیا ہوں میں تیرے سینے کو تاکتا ہوں میں اب تو کچھ یاد ہی نہیں خود سے آخری بار کب ملا ہوں میں آپ کی شادمانی کی خاطر بارہا جھوٹ بولتا ہوں میں اشک جو ہجر میں بہائے تھے غم زدوں کو پلا رہا ہوں میں زندگی تو نہیں خفا مجھ سے زندگی تجھ سے تو خفا ہوں میں سرمئی آنکھوں کو ذرا کھولو غور سے دیکھ لو جدا ہوں میں داور حشر اتنا کہہ دے بس خوش رہو تیرا آسرا ہوں میں

Hindi

मार दो मुझ को बे-हया हूँ मैं तेरे सीने को ताकता हूँ मैं अब तो कुछ याद ही नहीं ख़ुद से आख़िरी बार कब मिला हूँ मैं आप की शादमानी की ख़ातिर बारहा झूट बोलता हूँ मैं अश्क जो हिज्र में बहाए थे ग़म-ज़दों को पिला रहा हूँ मैं ज़िंदगी तू नहीं ख़फ़ा मुझ से ज़िंदगी तुझ से तो ख़फ़ा हूँ मैं सुरमई आँखों को ज़रा खोलो ग़ौर से देख लो जुदा हूँ मैं दावर-ए-हश्र इतना कह दे बस ख़ुश रहो तेरा आसरा हूँ मैं

maar do mujh ko be-hayā huuñ maiñ
Murtaza Bismil
Murtaza Bismil
Murtaza Bismil
poet11 quotes

More by Murtaza Bismil

View all →
Quote
"tum se qad mein bahut hi chhoTaa huun is liye chaar zaanu baiThaa huun shahr kaa shahr jal gayaa haae mar gae sab faqat main zinda huun haath mein tere haath meraa hai main tire saath kitnaa jachtaa huun tum rubaa'i kaa aakhiri misra' nazm kaa main izaafi TukDaa huun is pe jamhur kaa huaa ijmaa’ tu samundar hai aur main dariyaa huun hai tire vaaste ye khush-khabari main tujhe apnaa dil de baiThaa huun main hi huun apne aap kaa baaghi main mubaarak ghaDi mein sotaa huun paa liyaa vasl mein bhi khuub mazaa hijr kaa phir bhi dil se shaidaa huun tu agar kahtaa hai ba'id hai tu phir main kis ke qarib hotaa huun mujh ko behad sukun miltaa hai jab bhi main tere gham mein rotaa huun mujh ko kahte hain ‘murtazaa-bismil' vaadi-e-kaashmir mein rahtaa huun"
Murtaza BismilMurtaza Bismil
Quote
"saaraa din aaftaab soyaa thaa yaar bhi be-hijaab soyaa thaa vasl ki shab ba-fazl-e-allah-miyaan raat bhar maahtaab soyaa thaa ai hamaari kitaab-e-zist bataa kyon tiraa intisaab soyaa thaa peD ke kaandhe par thakaa-maanda subh tak ik 'uqaab soyaa thaa sar judaai ke taaq par rakh ke do dahaai se khvaab soyaa thaa chaand ke dil-fareb saae tale tar-o-taaza gulaab soyaa thaa ek bedaar main hi thaa bas aur 'aalam-e-iztiraab soyaa thaa aaj 'bismil' havaa ke aanchal mein be-jhijak be-hisaab soyaa thaa"
Murtaza BismilMurtaza Bismil
Quote
"zakhm saare abhi javaan honge bistar-e-hijr par 'ayaan honge haakim-e-vaqt kab talak aakhir apne gaanv mein khaak-daan honge main ne tum ko kahaan kahaan chhuaa hai jaan maujud vo nishaan honge tujh ko taklif dene vaale log kal ko tere hi paasbaan honge in dukhon ko sanbhaal kar rakhnaa in se haasil kai jahaan honge har taraf hi dhuaan-dhuaan hogaa jab jahaan se sabhi dhuaan honge naaz hai apne aap par jin ko mere jaise vo khush-gumaan honge har ghaDi har-su hazrat-e-'bismil' tere aur gham ke darmiyaan honge"
Murtaza BismilMurtaza Bismil
Quote
"palkein zamin pe apni bichhaati hai chaandni aise mein dil hamaaraa lubhaati hai chaandni jab saath chhoD detaa hai suraj to us ghaDi rasta musaafiron ko dikhaati hai chaandni vo dekhte hi dekhte aankhon ke shahr mein har su mohabbaton ko sajaati hai chaandni insaan ho yaa koi darinda zamin par saae mein apne sab ko biThaati hai chaandni har raaz se karaayaa mujhe us ne aashnaa har ek baat mujh ko bataati hai chaandni vo bhi hai mubtalaa-e-mohabbat miri tarah har raat khud ko khud hi jalaati hai chaandni hamraah baadalon ke hain 'bismil' ke daagh-e-dil apni ziyaa mein un ko chhupaati hai chaandni"
Murtaza BismilMurtaza Bismil

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb