"roz-o-shab ham ne ashk-baari ki intihaa hai ye be-qaraari ki meraa daaman siyaah thaa phir bhi ai khudaa tu ne paasdaari ki jaane kab kaa main mar gayaa hotaa un ki yaadon ne aabiyaari ki kostaa hi rahaa mujhe har dam qadr kyaa jaane vo bhikaari ki khaak huun khaak mein hi milnaa hai bu bhi aati hai khaaksaari ki kaam main ne kiyaa musavvir kaa main ne sheron mein dast-kaari ki main to majnun ban gayaa 'bismil' mujh pe logon ne sang-baari ki"
zakhm saare abhi javaan honge — Murtaza Bismil
"zakhm saare abhi javaan honge bistar-e-hijr par 'ayaan honge haakim-e-vaqt kab talak aakhir apne gaanv mein khaak-daan honge main ne tum ko kahaan kahaan chhuaa hai jaan maujud vo nishaan honge tujh ko taklif dene vaale log kal ko tere hi paasbaan honge in dukhon ko sanbhaal kar rakhnaa in se haasil kai jahaan honge har taraf hi dhuaan-dhuaan hogaa jab jahaan se sabhi dhuaan honge naaz hai apne aap par jin ko mere jaise vo khush-gumaan honge har ghaDi har-su hazrat-e-'bismil' tere aur gham ke darmiyaan honge"
زخم سارے ابھی جواں ہوں گے بستر ہجر پر عیاں ہوں گے حاکم وقت کب تلک آخر اپنے گاؤں میں خاک داں ہوں گے میں نے تم کو کہاں کہاں چھوا ہے جان موجود وہ نشاں ہوں گے تجھ کو تکلیف دینے والے لوگ کل کو تیرے ہی پاسباں ہوں گے ان دکھوں کو سنبھال کر رکھنا ان سے حاصل کئی جہاں ہوں گے ہر طرف ہی دھواں دھواں ہوگا جب جہاں سے سبھی دھواں ہوں گے ناز ہے اپنے آپ پر جن کو میرے جیسے وہ خوش گماں ہوں گے ہر گھڑی ہر سو حضرت بسملؔ تیرے اور غم کے درمیاں ہوں گے
ज़ख़्म सारे अभी जवाँ होंगे बिस्तर-ए-हिज्र पर 'अयाँ होंगे हाकिम-ए-वक़्त कब तलक आख़िर अपने गाँव में ख़ाक-दाँ होंगे मैं ने तुम को कहाँ कहाँ छुआ है जान मौजूद वो निशाँ होंगे तुझ को तकलीफ़ देने वाले लोग कल को तेरे ही पासबाँ होंगे इन दुखों को सँभाल कर रखना इन से हासिल कई जहाँ होंगे हर तरफ़ ही धुआँ-धुआँ होगा जब जहाँ से सभी धुआँ होंगे नाज़ है अपने आप पर जिन को मेरे जैसे वो ख़ुश-गुमाँ होंगे हर घड़ी हर-सू हज़रत-ए-'बिस्मिल' तेरे और ग़म के दरमियाँ होंगे

More by Murtaza Bismil
View all →"tum se qad mein bahut hi chhoTaa huun is liye chaar zaanu baiThaa huun shahr kaa shahr jal gayaa haae mar gae sab faqat main zinda huun haath mein tere haath meraa hai main tire saath kitnaa jachtaa huun tum rubaa'i kaa aakhiri misra' nazm kaa main izaafi TukDaa huun is pe jamhur kaa huaa ijmaa’ tu samundar hai aur main dariyaa huun hai tire vaaste ye khush-khabari main tujhe apnaa dil de baiThaa huun main hi huun apne aap kaa baaghi main mubaarak ghaDi mein sotaa huun paa liyaa vasl mein bhi khuub mazaa hijr kaa phir bhi dil se shaidaa huun tu agar kahtaa hai ba'id hai tu phir main kis ke qarib hotaa huun mujh ko behad sukun miltaa hai jab bhi main tere gham mein rotaa huun mujh ko kahte hain ‘murtazaa-bismil' vaadi-e-kaashmir mein rahtaa huun"
"maar do mujh ko be-hayaa huun main tere siine ko taaktaa huun main ab to kuchh yaad hi nahin khud se aakhiri baar kab milaa huun main aap ki shaadmaani ki khaatir baarhaa jhuuT boltaa huun main ashk jo hijr mein bahaae the gham-zadon ko pilaa rahaa huun main zindagi tu nahin khafaa mujh se zindagi tujh se to khafaa huun main surmai aankhon ko zaraa kholo ghaur se dekh lo judaa huun main daavar-e-hashr itnaa kah de bas khush raho teraa aasraa huun main"
"ziist pahchaan kho rahi hai tu qaht-saali mein so rahi hai tu hijr ki shaakh yaad kar kar ke dasht saaraa bhigo rahi hai tu kahte hain ban gai hai tu dhoban kahte hain kapDe dho rahi hai tu chaandni paas-e-aabru rakh ab chaandni sab Dubo rahi hai tu aab-o-gil ki hasin aankh bataa baat kyaa hai jo ro rahi hai tu ai miri saanvli judaai sun kaanTe har dam chubho rahi hai tu hai tazabzub ki laash-e-'bismil' par hans rahi hai ki ro rahi hai tu"
"saaraa din aaftaab soyaa thaa yaar bhi be-hijaab soyaa thaa vasl ki shab ba-fazl-e-allah-miyaan raat bhar maahtaab soyaa thaa ai hamaari kitaab-e-zist bataa kyon tiraa intisaab soyaa thaa peD ke kaandhe par thakaa-maanda subh tak ik 'uqaab soyaa thaa sar judaai ke taaq par rakh ke do dahaai se khvaab soyaa thaa chaand ke dil-fareb saae tale tar-o-taaza gulaab soyaa thaa ek bedaar main hi thaa bas aur 'aalam-e-iztiraab soyaa thaa aaj 'bismil' havaa ke aanchal mein be-jhijak be-hisaab soyaa thaa"
"palkein zamin pe apni bichhaati hai chaandni aise mein dil hamaaraa lubhaati hai chaandni jab saath chhoD detaa hai suraj to us ghaDi rasta musaafiron ko dikhaati hai chaandni vo dekhte hi dekhte aankhon ke shahr mein har su mohabbaton ko sajaati hai chaandni insaan ho yaa koi darinda zamin par saae mein apne sab ko biThaati hai chaandni har raaz se karaayaa mujhe us ne aashnaa har ek baat mujh ko bataati hai chaandni vo bhi hai mubtalaa-e-mohabbat miri tarah har raat khud ko khud hi jalaati hai chaandni hamraah baadalon ke hain 'bismil' ke daagh-e-dil apni ziyaa mein un ko chhupaati hai chaandni"
More on Maa
View all →"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"