SHAWORDS

maarka jab chhiD gayaa to kyaa huaa ham se suno — Anees Ashfaq

HomeAnees AshfaqGhazal
"maarka jab chhiD gayaa to kyaa huaa ham se suno kushtagaan-e-shahr-e-khun kaa maajraa ham se suno kyuun shajar sukhe hue hain kyuun nahin barg o samar mausamon ne is chaman mein kyaa kiyaa ham se suno parda-e-sad-rang-hairat khaana-e-nairang mein kaun hai aaina-andar-aaina ham se suno taaq o dar mein kyuun charaaghon ki lavein khaamosh hain kyaa huaa vo raushni kaa silsila ham se suno aur ye chashm-e-tamaashaa band ho jaati hai jab parda-e-dil par nazar aataa hai kyaa ham se suno kyuun nahin hote munaajaaton ke maani munkashif ramz ban jaataa hai kyuun harf-e-duaa ham se suno"
Urdu

معرکہ جب چھڑ گیا تو کیا ہوا ہم سے سنو کشتگان شہر خوں کا ماجرا ہم سے سنو کیوں شجر سوکھے ہوئے ہیں کیوں نہیں برگ و ثمر موسموں نے اس چمن میں کیا کیا ہم سے سنو پردۂ صد رنگ حیرت خانۂ نیرنگ میں کون ہے آئینہ اندر آئنہ ہم سے سنو طاق و در میں کیوں چراغوں کی لویں خاموش ہیں کیا ہوا وہ روشنی کا سلسلہ ہم سے سنو اور یہ چشم تماشا بند ہو جاتی ہے جب پردۂ دل پر نظر آتا ہے کیا ہم سے سنو کیوں نہیں ہوتے مناجاتوں کے معنی منکشف رمز بن جاتا ہے کیوں حرف دعا ہم سے سنو

Hindi

म'अरका जब छिड़ गया तो क्या हुआ हम से सुनो कुश्तगान-ए-शहर-ए-ख़ूँ का माजरा हम से सुनो क्यूँ शजर सूखे हुए हैं क्यूँ नहीं बर्ग ओ समर मौसमों ने इस चमन में क्या किया हम से सुनो पर्दा-ए-सद-रंग-हैरत ख़ाना-ए-नैरंग में कौन है आईना-अंदर-आइना हम से सुनो ताक़ ओ दर में क्यूँ चराग़ों की लवें ख़ामोश हैं क्या हुआ वो रौशनी का सिलसिला हम से सुनो और ये चश्म-ए-तमाशा बंद हो जाती है जब पर्दा-ए-दिल पर नज़र आता है क्या हम से सुनो क्यूँ नहीं होते मुनाजातों के मअनी मुन्कशिफ़ रम्ज़ बन जाता है क्यूँ हर्फ़-ए-दुआ हम से सुनो

ma.arka jab chhiḌ gayā to kyā huā ham se suno
Anees Ashfaq
Anees Ashfaq
Anees Ashfaq
poet40 quotes

More by Anees Ashfaq

View all →
Quote
"ru-e-gul chehra-e-mahtaab nahin dekhte hain ham tiri tarah koi khvaab nahin dekhte hain sina-e-mauj pe kashti ko ravaan rakhte hain gird apne koi gardaab nahin dekhte hain tishnagi mein bhi vo paaband-e-qanaaat hain ki ham bhuul kar bhi taraf-e-aab nahin dekhte hain sar bhi maujud hain shamshir-e-sitam bhi maujud shahr mein khuun kaa sailaab nahin dekhte hain aa gae hain ye mire shahr mein kis shahr ke log guftugu mein adab-aadaab nahin dekhte hain aanaa jaanaa unhin galiyon mein abhi tak hai magar ab vahaan majma-e-ahbaab nahin dekhte hain kis chaman mein hain ki mausam to gulon kaa hai magar ek bhi shaakh ko shaadaab nahin dekhte hain is pe hairaan hain kharidaar ki qimat hai bahut mere gauhar ki tab-o-taab nahin dekhte hain ho gae saare balaa-khez samundar paayaab ab safina koi gharqaab nahin dekhte hain"
Anees AshfaqAnees Ashfaq
Quote
"puchh mat meraa lahu sarf-e-sinaan kitnaa huaa dekh ye aa kar ki zaalim kaa ziyaan kitnaa huaa khauf-e-jaan thi us ki tegh-e-chashm ki tezi magar khaa liyaa jab zakhm to aaraam-e-jaan kitnaa huaa ho rahi hain aasmaan mein in ki parvaazein bahut in parindon se magar tai aasmaan kitnaa huaa har taraf gahri siyaahi hai muhit-e-'ishq mein ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuaan kitnaa huaa vo jo majlis thi alam-paaron ke paDhne ki vahaan kuchh bataa mujh ko miraa qissa bayaan kitnaa huaa kar diyaa mere liye farsh-e-badan aaraasta raat hote hi vo mujh par mehrbaan kitnaa huaa main ne to us ke liye aankhein bichaai thiin magar pur-tapaaki se vo meri bad-gumaan kitnaa huaa yaad karne ki hamein mohlat mile to ham bataaein zulm teri mamlikat mein kab kahaan kitnaa huaa"
Anees AshfaqAnees Ashfaq
Quote
"aage ye garebaan na kabhi chaak karungaa vahshat se tire dasht ko ab paak karungaa jis din bhi huaa tez miraa sho'la-e-zulmat us din varaq-e-mahr tujhe khaak karungaa shab us ke liye masnad-e-mahtaab bichhaa kar taaron kaa tamaashaa tah-e-aflaak karungaa us ko bhi banaaungaa khush-aamoz talaatum aur khud ko bhi khaar o khas-o-khaashaak karungaa dekhungaa abhi aur bhi khanjar ki ravaani qaatil ko abhi aur bhi saffaak karungaa bal khaate hue jism pe ik zakhm lagaa kar is naar-e-mohabbat ko ghazabnaak karungaa dauD aayegaa vo aahu-e-chaalaak kahaan tak ik din to use basta-e-fitraak karungaa pahle to karungaa main tiri aatish-e-khun tez phir farsh-e-badan par tujhe bebaak karungaa"
Anees AshfaqAnees Ashfaq
Quote
"rukh kisi aur ki jaanib hai ishaare kuchh aur shahr mein chaahne vaale hain tumhaare kuchh aur itni jaldi nahin is raat mein aataa hai qaraar dil se kah do ki shab-e-hijr ko vaare kuchh aur saath rahtaa hai bahut roz koi 'ishq mein kab hain jo kuchh aur tumhaare to hamaare kuchh aur ho gaiin yaad tiri aayatein kuchh aur hamein paDh liye ham ne tire 'ishq ke paare kuchh aur main to samjhaa thaa ki ab raat hai jaane vaali aakhir-e-shab nikal aae hain sitaare kuchh aur ek aavaaz pe divaane kahaan lauTe hain mere aahu se kaho mujh ko pukaare kuchh aur khatm hotaa hi nahin silsila-e-tishna-labi log maujud hain dariyaa ke kinaare kuchh aur aaj ki raat vo baiThaa hai mire pahlu mein aaj ki raat falak chaand utaare kuchh aur itnaa aasaan nahin zanjir banaanaa is kaa pech vo aur de gesu ko sanvaare kuchh aur phir tiraa mulk rahegaa na tiraa taaj na takht baDh gae shahr mein gar zulm ke maare kuchh aur de mire haath mein ab apni mohabbat kaa 'asaa 'umr kaa tai ho safar is ke sahaare kuchh aur shahr mein khush-tanon khush-pairahanon ki khaatir 'ishq mein phir se uThaa lungaa khasaare kuchh aur"
Anees AshfaqAnees Ashfaq
Quote
"aisaa bhi tez nashtar-e-naa-mehrbaan na thaa yuun zakhm-zakhm chehra-e-uftaad-gaan na thaa vo pyaas thi ki halq se baahar thi har zabaan aur duur tak kahin koi dariyaa ravaan na thaa dastak pe ab gharon se koi boltaa nahin pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaan na thaa ab ke the kaar-zaar mein sab aashnaa harif lekin vo khush-qatil ki shikva-kunaan na thaa khaamosh saa'aton mein thi raushan tiri sadaa Thahraa huaa thaa vaqt magar raaegaan na thaa baaraan-e-tez mein bhi rahe aashiyaana-soz sahn-e-chaman mein ham saa koi tafta-jaan na thaa"
Anees AshfaqAnees Ashfaq
Quote
"jald is shahr mein hai vaqt vo aane vaalaa ham se Dar jaaegaa khud ham ko Daraane vaalaa kal vahi shahr mein sho'lon ko havaa detaa thaa ham samajhte the jise aag bujhaane vaalaa vaqt har daur mein taarikh nai likhtaa hai miT na jaae kahin khud ham ko miTaane vaalaa uTh khaDe honge agar zulm ke maare hue log phir na aaegaa koi tujh ko bachaane vaalaa tu kisi aur taraf kuuch ki tayyaari kar hai koi aur tire takht par aane vaalaa koi hotaa nahin zanjir-e-sitam se aazaad vo sataayaa huaa ho yaa ho sataane vaalaa bhuul jaataa hai ki haath us ke bhi jal jaaeinge vo jo hai zulm ke sho'lon ko baDhaane vaalaa us se har khuun ke qatre kaa khudaa legaa hisaab hashr mein jaaegaa jab hashr uThaane vaalaa chup ye haq vaale na baiThe hain na baiTheinge kabhi sun le honTon pe mire muhr lagaane vaalaa ai parindo tumhein hushiyaar kiye dete hain phir nayaa jaal hai sayyaad bichhaane vaalaa piT chuke sab tire mohre ab uThaa apni bisaat khel hai khatm tiraa maat hai khaane vaalaa ham pe jo zakhm lage hain so lage hain lekin ek din khuun mein tu bhi hai nahaane vaalaa main karun tere liye jam' zar-o-laa’l-o-guhar aur tu mere khazaanon ko luTaane vaalaa yuun tire shahr mein fariyaad suni jaati hai paa-ba-zanjir hai zanjir hilaane vaalaa kyaa 'ajab ret ki divaar saa khud bhi gir jaae mere ghar ke dar-o-divaar giraane vaalaa"
Anees AshfaqAnees Ashfaq

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari