"kuchh naqsh tiri yaad ke baaqi hain abhi tak dil be-sar-o-saamaan sahi viraan to nahin hai ham dard ke maare hi giraan-jaan hain vagarna jiinaa tiri furqat mein kuchh aasaan to nahin hai TuuTaa to aziiz aur huaa ahl-e-vafaa ko dil bhi kahin us shokh kaa paimaan to nahin hai"
mahrumi ke dukh aur tanhaai ke ranj uThaae — Azeem Murtaza
"mahrumi ke dukh aur tanhaai ke ranj uThaae lekin ham ko aaj bhi jhuTaa pyaar na karnaa aae sail-e-gham-e-duniyaa ne dil se kyaa kyaa naqsh miTaae hijr ki raaton mein ab teri shakl bhi yaad na aae tanhaai kaa sannaaTaa aur aati jaati raatein teri yaad na aur koi gham phir bhi niind na aae tere maasumaana pyaar ki daulat paa kar ham ne aksar naaz kiyaa hai lekin kabhi kabhi pachhtaae pyaasi kaliyaan paani ke qatre qatre ko tarsein aur karam kaa baadal dariyaaon pe barastaa jaae"
محرومی کے دکھ اور تنہائی کے رنج اٹھائے لیکن ہم کو آج بھی جھوٹا پیار نہ کرنا آئے سیل غم دنیا نے دل سے کیا کیا نقش مٹائے ہجر کی راتوں میں اب تیری شکل بھی یاد نہ آئے تنہائی کا سناٹا اور آتی جاتی راتیں تیری یاد نہ اور کوئی غم پھر بھی نیند نہ آئے تیرے معصومانہ پیار کی دولت پا کر ہم نے اکثر ناز کیا ہے لیکن کبھی کبھی پچھتائے پیاسی کلیاں پانی کے قطرے قطرے کو ترسیں اور کرم کا بادل دریاؤں پہ برستا جائے
महरूमी के दुख और तन्हाई के रंज उठाए लेकिन हम को आज भी झूटा प्यार न करना आए सैल-ए-ग़म-ए-दुनिया ने दिल से क्या क्या नक़्श मिटाए हिज्र की रातों में अब तेरी शक्ल भी याद न आए तन्हाई का सन्नाटा और आती जाती रातें तेरी याद न और कोई ग़म फिर भी नींद न आए तेरे मा'सूमाना प्यार की दौलत पा कर हम ने अक्सर नाज़ किया है लेकिन कभी कभी पछताए प्यासी कलियाँ पानी के क़तरे क़तरे को तरसें और करम का बादल दरियाओं पे बरसता जाए

More by Azeem Murtaza
View all →"tiraa khayaal bhi hai vaz-e-gham kaa paas bhi hai magar ye baat ki duniyaa nazar-shanaas bhi hai bahaar-e-subh-e-azal phir gai nigaahon mein vahi fazaa tire kuche ke aas paas bhi hai jo ho sake to chale aao aaj meri taraf mile bhi der hui aur ji udaas bhi hai khulus-e-niyyat-e-rah-rau pe munhasir hai 'azim' maqaam-e-ishq bahut duur bhi hai paas bhi hai"
"jab se hai vo raunaq-e-mahfil aankhon mein jaan labon par rahti hai dil aankhon mein suukh rahi hai ju-e-girya-e-gard-nishaan chubhne lagi hai ab khaak-e-dil aankhon mein hijr ki raatein arsa-e-be-khvaabi kaa safar kaaT rahaa huun manzil manzil aankhon mein khuun ki lahrein moti moti palkon par niklaa dil-dariyaa kaa saahil aankhon mein dekh rahaa huun guzre vaqt ki tasvirein utre hain yaadon ke mahmil aankhon mein"
"nim-shab aatish-e-fariyaad-e-asiraan raushan dhuup si phail rahi hai sar-e-divaar-e-chaman yaa tire qurb ki ye saaat-e-afsurda hai yaa kabhi tere tasavvur se sulagtaa thaa badan dil-jale roe hain shaayad kahin phir aakhir-e-shab bhigaa bhigaa hai nasim-e-sahari kaa daaman aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan dil ke zakhmon se mahak aati hai phulon ki 'azim' sina-e-chaak hai yaa rakhna-e-divaar-e-chaman"
"ye aur baat hai ki madavaa-e-gham na thaa lekin tiraa khulus tavaqqo se kam na thaa kyaa kyaa faraaghatein thiin mayassar hayaat ko vo din bhi the ki tere sivaa koi gham na thaa kuchh ham girift-e-gardish-e-dauraan mein aa gae kuchh dil bhi tere ishq mein saabit-qadam na thaa aae hain yaad tujh se bichhaD kar vo log bhi jin se taalluqaat bigaDne kaa gham na thaa vo daur-e-ishq mahz bhi kiyaa vaqt thaa 'azim' jab dil pe naqsh mohr-o-nishaan-e-sitam na thaa"
"afsaana-e-hayaat-e-pareshaan ke saath saath duniyaa badal gai gham-e-pinhaan ke saath saath betaabi-e-hayaat mein aasudgi bhi thi kuchh teraa gham bhi thaa gham-e-dauraan ke saath saath ab mere saath un ki nazar bhi hai be-qaraar nashtar taDap rahe hain rag-e-jaan ke saath saath ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath nairangi-e-jahaan-e-talab dekhnaa 'azim' baDhtaa hai shauq tangi-e-daamaan ke saath saath"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"