SHAWORDS

maili chaadar saath liye — Asar Saeed

HomeAsar SaeedGhazal
"maili chaadar saath liye apni anaa ki zaat liye kucha kucha phirtaa huun tan kaa laasha saath liye ek darinda jiit gayaa phirtaa huun main maat liye DhunDein aao insaan ko paagal-pan ko saath liye un kaa daaman dekh chukaa aankhon mein barsaat liye TuuT chuke vo taaj-mahal soe the ham raat liye kis kaa bharosa aaj 'asar' yaar khaDaa hai ghaat liye"
Urdu

میلی چادر ساتھ لیے اپنی انا کی ذات لیے کوچہ کوچہ پھرتا ہوں تن کا لاشہ ساتھ لیے ایک درندہ جیت گیا پھرتا ہوں میں مات لیے ڈھونڈیں آؤ انساں کو پاگل پن کو ساتھ لیے ان کا دامن دیکھ چکا آنکھوں میں برسات لیے ٹوٹ چکے وہ تاج محل سوئے تھے ہم رات لیے کس کا بھروسہ آج اثرؔ یار کھڑا ہے گھات لیے

Hindi

मैली चादर साथ लिए अपनी अना की ज़ात लिए कूचा कूचा फिरता हूँ तन का लाशा साथ लिए एक दरिंदा जीत गया फिरता हूँ मैं मात लिए ढूँडें आओ इंसाँ को पागल-पन को साथ लिए उन का दामन देख चुका आँखों में बरसात लिए टूट चुके वो ताज-महल सोए थे हम रात लिए किस का भरोसा आज 'असर' यार खड़ा है घात लिए

mailī chādar saath liye
Asar Saeed
Asar Saeed
Asar Saeed
poet7 quotes

More by Asar Saeed

View all →
Quote
"tiri khushi na mili mujh ko teraa gham bhi nahin hayaat kyaa hai miri ab qazaa se kam bhi nahin ye kis maqaam pe saaqi ne laa ke chhoDaa hai nahin hai saaghar-e-jam to yahaan pe sam bhi nahin hai mere zarf mein jitnaa bharaa vo paimaana sharaab us mein hai jo us mein koi dam bhi nahin utaar letaa main saare ghamon kaa us se nasha harif-e-gham kaa ho aisaa ye jaam-e-jam bhi nahin javaan-saal huun mujh ko na shaan-e-piri de siyaah-rish abhi huun kamar mein kham bhi nahin tire alam ne kiyaa hai 'asar' ko pazhmurda milaaun ziist se aankhein ab itnaa dam bhi nahin"
Asar SaeedAsar Saeed
Quote
"miraa ye mulk muqaddas kitaab jaisaa hai har ek fard gulon mein gulaab jaisaa hai charaagh sab ne jalaae hain amn ke lekin andheraa vaqt kaa ik aaftaab jaisaa hai milein na haath faqat dil se dil bhi mil jaaein ye dekhne ko mujhe iztiraab jaisaa hai ajiib khvaab kaa hai intizaar aankhon ko ye intizaar bhi shaayad ki khvaab jaisaa hai shumaar mein hamein rakh be-shumaar hain ham bhi hamein gila hi kahaan hai hisaab jaisaa hai bharosa ab tire vaadon kaa kyaa karein saaqi tiraa ye jaam-o-subu tak saraab jaisaa hai tu de rahaa hai kahaan dars-e-ittihaad 'asar' tiraa khayaal faqat inqilaab jaisaa hai"
Asar SaeedAsar Saeed
Quote
"ibaarat is mein har ik be-naqaab meri hai likhaa hai naam tumhaaraa kitaab meri hai gulaab toD ke zinat banaa lo daaman ki na khaao khauf ye shaakh-e-gulaab meri hai ye mai-kada ye hasin jaam go tumhaare hain jo pi rahe ho maze se sharaab meri hai bhaTak na jaae kahin asp-e-ishq raahon se duaa labon pe tire ham-rikaab meri hai vo TuuT kar nahin girte zamin par na sahi sitaare charkh ke hain aab-o-taab meri hai main harf harf mein us ke basaa huun dhaDkan saa koi bhi kah le khushi se kitaab meri hai"
Asar SaeedAsar Saeed
Quote
"vo ek pal jo guzaaraa hai paasdaari mein sukun detaa rahaa mujh ko be-qaraari mein vo meri ruuh mein jab tak na bas gayaa aa kar sanbhal sakaa na kabhi dil ye be-qaraari mein hinaai dast ki mojiz-numaaiyaan mat puchh tamaam umr guzaari hai sharmsaari mein havas hai gauhar-e-naayaab ki agar tujh ko to Duub jaa kabhi shabnam ki taab-kaari mein samaa gae hain nazar mein lahu lahu manzar tujhe milegaa bhi kyaa khaak ashk-baari mein kisi ke dil ko bhalaa khinche kyaa tiraa naala 'asar' asar ho koi jab na aah-o-zaari mein"
Asar SaeedAsar Saeed

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud